cha rahi kali ghata jiya mora laharaye hai
sun ri koyal banvari tu kyun malahar gaye hai
ae papiha aa idhar main bhi sarapa dard hun
aam par kyun jam raha hai main bhi to aisi zard hun
farq itna hai ki us mein ras hai mujh mein hay hai
sare aazaron se badhake ishq ka aazar hai
aafaton mein jan-o-dil ka dalana bekar hai
bevafa se dil lagakar kya koi phal paye hai
ae papiha chup khuda ke vaste tu ho zara
rat aadhi ho chuki hai ab tujhe kya hogaya
teri pi-pi se papiha pi mujhe yad aaye hai
muddaton dhundha piya ko main ne kar jogan ka bhes
na to main ne un ko paya aur na paya un ka des
log kahate hain ki dhundhe se khuda mil jaye hai
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Jurrat
No comments:
Post a Comment