Friday, July 5, 2013

Phir daman-e-ummid wo phoolon se bhar gaya – Mushtaq Ahmed ‘Khayaal



Phir daman-e-ummid wo phoolon se bhar gaya
jadu bhari nigah se jadu-sa kar gaya
bas dekhte hi dekhte duniya badal gai
kuch sochate hi sochate chehara utar gaya
betab beqarar tha pahale hi dil bahut
phir aap ka aana aur bhi betab kar gaya
ik bekhudi ka naam muhabbat hai dosto
chahat mein kis ko hosh hai kya kya guzar gaya
kuch bhi pata nahi hai muhabbat mein ae dost
kab raat subah ban gai kab din guzar gaya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mushtaq Ahmed ‘Khayaal



No comments:

Post a Comment