Na jana aj tak kya shai khushi hai
hamari zindagi bhi zindagi hai
tere gham se shikayat-si rahi hai
mujhe sach-much badi sharmindagi hai
mohabbat mein kabhi socha hai yun bhi
ki tujh se dosti ya dushamani hai
koi dam ka hun mehaman muh na phero
abhi aankhon mein kuch kuch roshani hai
zamana zulm mujh par kar raha hai
tum aisa kar sako to baat bhi hai
jhalak masumiyon mein shokhiyon ke
bahut rangin teri sadagi hai
ise sun lo sabab is ka na pucho
mujhe tum se mohabbat ho gai hai
suna hai ik nagar hai aansuon ka
usi ka dusara naam aankh bhi hai
wohi teri mohabbat ke kahani
jo kuch bhuli hui kuch yaad bhi hai
tumhara zikr aaya ittefaqan
na bigado baat par baat aa gai hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Firaq Gorakhpuri
No comments:
Post a Comment