hum hi mein thi na koi bat, yaad na tum ko aa sake
tumne hamen bhula diya, hum na tumhen bhula sake
tum hi na sun sake agar, qissa-e-gam sunega kon
kis ke zuban khulegi phir, hum na agar suna sake
hosh mein aa chuke the hum josh mein aa chuke the hum
bazm ka rang dekh kar sar na magar utha sake
shauq-e-visal hai yahan, lab pe saval hai yahan
kis ke majal hai yahan, hum se nazar mila sake
raunaq-e-bazm ban gae lab pe hikayaten rahin
dil mein shikayaten rahin lab na magar hila sake
aisa bhi koi namabar bat pe kan dhar sake
sun kar yakin kar sake ja ke unhen suna sake
ahal-e-zaban to hain bahut koi nahi hai ahal-e-dil
kon teri tarah “hafeez” dard ke geet ga sake
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Hafeez Jullundhary
No comments:
Post a Comment