shauq har rang raqeeb-e-sar-o-saamaaN niklaa
qais tasveer ke parde meiN bhee uriyaaN niklaa.
zaKHm ne daad na dee, tangee-e-dil ki yaarab !
teer bhee seena-e-bismil se par_afshaaN niklaa.
boo-e-gul, naala-e-dil, dood-e-charaaGH-e-mehfil
jo teree bazm se nikla, so parishaaN niklaa
thee nau_aamoz_fana’a himmat-e-dushwaar_pasand
saKHt mushkil hai ki yah kaam bhee aasaaN nikla
dil meiN fir giryaaN ne ik shor uThaaya ‘GHalib’
aah jo qatra na nikla tha, so toofaaN nikla.
No comments:
Post a Comment