Monday, July 29, 2013

Jahan Zulf Bhikhre Gi Barsaat Hogi



Jahan Zulf Bhikhre Gi Barsaat Hogi
Jahan Tum Rukoge Wahein Raat Hogi
Tere Aage Peeche Badi Roshni Hai
Yaqeenan Sitaron Ki Baraat Hogi
Falak Ke Sitaron Ko Bhi Tod LaUnga
Meri Jaan Jis Din tu Mere Saat Hogi
Tere Chahne Wale Shayad Honge Hazaron
Magar Mere Ishq Ki Auqaat Hogi
Mujhe Muskuraake Tu Kab Dekh logi
Najaane Kis Din vo Karaamaat Hogi
Zara Lab To Kholo Zara Kuch To Bolo
Buhuth Kuch Kahoonga Agar Baat Hogi
Har Ek Rang Phoolon Ka Pheeka Pada Hai
Ke Gulshan Mein Aao to Inayaat Hogi



No comments:

Post a Comment