Thursday, May 17, 2007

Hijr ke pahali sham ke saye dur ufaq tak chaye the – Qateel Shifai



hijr ke pahali sham ke saye dur ufaq tak chaye the
hum jab us ke shahar se nikle sab raste sanvalaye the
jane wo kya soch raha tha apne dil mein sari raat
pyar ke baten karte karte us ke nain bhar aaye the
mere andar chali thi aandhi thik usi din patajhad ke
jis din apne jude mein usane kuch phul sajaye the
usane kitne pyar se apana kufr diya nazarane mein
hum apne iman ka sauda jis se karne aaye the
kaise jati mere badan se bite lamhon ke khushbu
khwabon ke us basti mein kuch phul mere ham-saye the
kaisa pyara manzar tha jab dekh ke apne sathi ko
ped pe baithi ik chidiya ne apne par phailaye the
rukhsat ke din bhigi aankhon us ka wo kahana hae “qateel”
tum ko laut hi jana tha to is nagari q aaye the



 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qateel Shifai



No comments:

Post a Comment