Sunday, May 20, 2007

Jahan talak bhi ye sehra dikhai deta hai – Shakeb Jalali



jahan talak bhi ye sehra dikhai deta hai
meri tarah se akela dikhai deta hai
na itna tez chale sar-phiri hawa se kaho
shajar pe ek hi patta dikhai deta hai
bura na maniye logon ke aib-jui ka
inhen to din ka bhi saya dikhai deta hai
ye ek abr ka tukara kahan kahan barase
tamam dasht hi pyasa dikhai deta hai
wo alvida ka manzar wo bhigati palaken
pas-e-gubar bhi kya kya dikhai deta hai
meri nigah se chup kar kahan rahega koi
ke ab to sang bhi shisha dikhai deta hai
simat ke rah daye aakhir pahar se qad bhi
zamin se har koi uncha dikhai deta hai
ye kis maqam pe lai hai justaju teri
jahan se arsh bhi nicha dikhai deta hai
khili hai dil mein kisi ke badan ke dhup “shakeb”
har ek phul sunehara dikhai deta hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Shakeb Jalali



No comments:

Post a Comment