Sunday, May 20, 2007

Aey Sabz Gunbad Waale




Aey Sabz Gunbad Waale, Manzuur Du’a Karna


Jab Waqt Naza’eye Deedar Ataa Karna



Aey Noor-E-Khuda Aa Kar, Ankhoon Mein Smaa Jaana


Yaan Dar Pe Bulaa Lena, Yaan Khwab Mein Aa Jaana


Aey Pardah Nashin Dil Ke, Parde Mein Rahaa Karna


Jab Waqt Naza’ey Didaar Ataa Karna



Mahbub-E-Ilaahi Sa Koi Na Hasin Dekha


Yeh Shaan Hai Un Ki, Sayah Bhi Nahin Deikha*


Allah Ne Saey Ko, Chaha Na Juda Karna


Jab Waqt Naza’ey Didar Ataa Karna




No comments:

Post a Comment