Wednesday, May 23, 2007

raat sunsan dasht-o-dar khamosh – Himayat Ali Shair



raat sunsan dasht-o-dar khamosh
chand sitare shajar hajar khamosh
koi aavaz-e-pa na bang-e-jaras
karavan aur is qadar khamosh
har taraf ek muhib sannata
dil dhadakata to hai magar khamosh
huye jate hain kis liye aakhir
hamsafar baat baat par khamosh
hain ye aadab-e-rahguzar ke kahuf
rahrau chup hain rahabar khamosh
mukhtasar ho na ho shab-e-tarik
hum ko jalana hai raat bhar khamosh
jane kya baat kar rahe the ki hum
ho gaye ek naam par khamosh


Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Himayat Ali Shair



No comments:

Post a Comment