Tuesday, May 29, 2007

Gazab kiya, tere wade pe aitabar kiya



gazab kiya, tere wade pe aitabar kiya
tamam raat qayamat ka intezar kiya
hansa hansa ke shab-e-vasl ashk-bar kiya
tasalliyan mujhe de-de ke beqarar kiya
hum aise mahv-e-nazara na the jo hosh aata
magar tumhare tagaful ne hoshiyar kiya
fasana-e-shab-e-gam un ko ek kahani thi
kuch aitabar kiya aur kuch na-aitabar kiya
ye kis ne jalva hamare sar-e-mazar kiya
ki dil se shor utha, hae! beqarar kiya
tadap phir ae dil-e-nadan, ki gair kahate hain
aakhir kuch na bani, sabr ikhtiyar kiya
bhula bhula ke jataya hai unko raz-e-nihan
chipa chipa ke mohabbat ko aashakar kiya
tumhen to vada-e-didar hum se karana tha
ye kya kiya ke jahan ko ummidavar kiya
ye dil ko tab kahan hai ke ho malandesh
unhone wada kiya hum ne aitabar kiya
na puch dil ke haqiqat magar ye kahate hain
wo beqarar rahe jisne beqarar kiya
kuch aage davar-e-mahashar se hai umeed mujhe
kuch aap ne mere kahane ka aitabar kiya


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Daag Dehlvi



No comments:

Post a Comment