Sunday, May 13, 2007

Dard ki phul bhi khilate hain bikhar jate hain – Javed Akhtar



Dard ki phul bhi khilate hain bikhar jate hain
zakhm kaise bhi hon kuch roz mein bhar jate hain
us dariche mein bhi ab koi nahi aur hum bhi
sar jhukae hue chup-chap guzar jate hain
rasta roke khadi hai yahi ulajhan kab se
koi puche to kahen kya ki kidhar jate hain
narm aavaz bhali baten mohazzab lahaje
pahali barish mein hi ye rang utar jate hain




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Javed Akhtar



No comments:

Post a Comment