Monday, December 11, 2006

Aata hai yaad mujhako guzara hua zamana – Sir Mohammed Iqbal



aata hai yaad mujhako guzara hua zamana
wo bag ke baharen wo sab ka chah-chahana
aazadiyan kahan wo ab apne ghonsale ke
apni khushi se aana apni khushi se jana
lagti ho chot dil par, aata hai yaad jis dam
shabanam ke aansuon par kaliyon ka muskurana
wo pyari pyari surat, wo kamini si murat
aabad jis ke dam se tha mera aashiyana



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sir Mohammed Iqbal



No comments:

Post a Comment