Agr websites Girls create krti, tow liNks kuch istrha sy hOty
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Awww.facebook.com
Awww.google.com
Awww.yahoo.com
Friday, August 31, 2007
Girls create krti
Nafrat Na Kerna
Nafrat Kabhi na kerna tum humse ..
ye hum kabi na seh payenge
Ek bar keh dena humse ke
Zarurat nai tumhari
Tumari duniya se HANS ker chale jayenge …
Submit By: bilal (0300722251)
Kuch Phool Sokhte Hain Rang Pane Ke Baad
Kuch Phool Sokhte Hain Rang Pane Ke Baad,
Kuch Dost Bicharte Hain Dil Lagane Ke Bad,
Na Thi Koi Mushkil Hame Rota Hua Chora,
Ye Dil Jalate Hain Kisi Aur Ko Chahne Ke Bad,
Kiyon Karte Hain Muhabbat Jo Pori Nahen Karte,
Kiyon Chorr Jate Hain Manzil Pe Jane Ke Bad,
Ye Dard E Muhabbat Ham Ne Sahena Hai Tanha,
Kiyon Apna Banate Hain Dil Lagane Ke Bad,
Kiyon Apna Banate Hain Dil Lagane Ke Bad,
Ho Jate Hain Khafa Dil Lagane Ke Bad,
Mercy Of Angel
I wish An ANGEL of mercy always sits next to u & Covers u with gentle wings
So that
U walk wrapped in
ALLAH ‘S GRACE,
Protected & Peacefull
4ever
Happy New Year 2015
I am sorry. ik buri khabar hai Mujey Hamesha ka Liye bhul jana plz. Mujhe kuch dino bad tumhey, Hamesha ka liye chor kar Chale jana hey tumhara apna 2015..
Or Meri taraf Se tumhen new year 2015 mubarak ho
<Happy New Year 2015>
Phoolon ke aarzoo mein bade zakhm khaye hain – Abdul Hameed Adam
Phoolon ke aarzoo mein bade zakhm khaye hain
lekin chaman ke khar bhi ab tak paraye hain
us par haram hai gam-e-dauran ke talkhiyan
jisake nasib mein teri zulfon ke saye hain
mahashar mein le gai thi tabiyat ke sadagi
lekin bade khulus se hum laut aaye hain
aaya hun yaad bad-e-fana unko bhi ‘adam’
kya jald mere sikh pe iman laye hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Abdul Hameed Adam
Thursday, August 30, 2007
Once Was A Girl Who Believed
Here Once Was A Girl Who Believed In All There Was To Believe
She Would Pray To Her God And Even With Her Eyes Closed She Could See
Then A Lot Of Bad Stuff Just Happened To Come Her Way
She Tried To Do Everything So She Wouldn’t Have To Live The Pains Of Another Day
But For Some Reason She Got Through It All Waking Up To Find The Sun Shinning Bright
From That Day Forward The Happiest Times Would Seems Darker Than Night
So She Stopped Believing Never Tried To Talk To Him Again
She Had No One Else To Talk To No One Left To Befriend
Looking At The World From A Darker Point Of View
It Seemed As If There Was Nothing Left Never Again To Be New
So Finally She Found Something To Confide In The Most Unexpected Thing
The Brightest Star In The Sky Gave Her A Set Of Wings.
She Made Wishes Nightly It Held Her Hopes And Prayers
For That Star Was Something That Would Never Fade Away
And It Would Always Be There She Told It Of Her Loves
And Told It How She Begun To Hate Told That Star The Story
Of How She Lost Her Faith Even Though It Couldn’t Talk Back To Her
It Kept Her Going Far So Now She Has A Name For It
Its Her Mourning Star
Tum Raat Ho Tum Hi Din Ho
Fir Kyu Dost Humse Tum Hi Juda Ho
Tum Raat Ho Tum Hi Din Ho
Tum Aaj Ho Tum Hi Kal Ho
Tum Chand Ho Tum Hi Suraj Ho
Tum Ambar Ho Tum Hi Dharti Ho
Tum Baadal Ho Tum Hi Baris Ho
Tum Nadi Ho Tum Hi Saagar Ho
Tum Gul Ho Tum Hi Gulshan Ho
Tum Baag Ho Tum Hi Bahar Ho
Tum Phool Ho Tum Hi Kali Ho
Tum Dil Ho Tum Hi Dhadkan Ho
Tum Mann Ho Tum Hi Manmeet Ho
Tum Nain Ho Tum Hi Sapna Ho
Tum Sans Ho Tum Hi Jindagi Ho
Tum Chahat Ho Tum Hi Armaan Ho
Tum Aas Ho Tum Hi Pyas Ho
Fir Kyu Dost Humse Tum Hi Juda Ho……
Ajeeb tarz-e-mulaqat ab ke bar rahi – Parveen Shakir
Ajeeb tarz-e-mulaqat ab ke bar rahi
tumhin the badle hue ya meri nigahen thin
tumhari nazron se lagata tha jaise meri bajaye
tumhare ghar mein koi aur shakhs aaya hai
tumhare ohade ke denen tumhen mubarak
so tum ne mera svagat usi tarah se kiya
jo afasaran-e-hukumat ke aitaqad mein hai
takallufan mere nazadik aa ke baith gaye
phir ehatamam se mausam ka zikr ched diya
kuch us ke bad siyasat ke baat bhi nikali
adab par bhi koi do char tabasare faramaye
magar na tum ne hamesha ke tarah ye pucha
kya waqt kaisa guzarata hai tera jan-e-hayat
pahad din ke aziyat mein kitni shiddat hai
ujad raat ke tanhai kya qayamat hai
shabon ke sust ravi ka tujhe bhi shikwa hai
gam-e-firaq ke qisse nishat-e-vasl ka zikr
ravayatan hi sahi koi baat to karte
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Parveen Shakir
Surat mein Bikhar jata hoon
Reza-e-Kaanch Ki Surat Mein Bikhar Jata Hoon
Mai Teri Yaad Mein Jab Hadd Se Guzar Jata Hoon
Ab Gurezaan Hai Wo Milne Se, Jo Kehta Tha Kabhi
Tum Se Milte He Mai Kuch Aur Nikher Jata Hoon
Roz Khata Hoon Tujhe Yaad Na Kerne Ki Qasam
Roz Waadon Se Mai Apne Hi Mukar Jata Hoon
Mujh Ko Tamasha Bana Diya Hai Mohabbat Ne Teri
Log Kasstay Hai n Aawazen ,Mai Jidhar Jata Hoon
Her Qadam Pe Khaya Hai, Mohabbat Ka Dhoka
Ab Koi Pyar Se Bulata Hai Toh Darr Jata Hoon
Shayari on mother
Seeny se laga ke kaha kerti thi maa mujh ko to laaal hai na sata mujh ko
pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi na chahty hue bhi akela choor jaun gi
zamana dikhaee ga garmi ki shiddat tujh ko yaad kerke roye ga tu phir mujh ko
muddad se meri maa ne seeny se nahin lagaya a ab so gayi khaak main jab kuch
kehny ka waqt aya
Maa Sath ha to saya-e-Qudrat bi sath ha Maa k beghair lagy din b raat ha .
Mein dur jaon to uksa mery sar pe hath ha Mery liye to meri Maa hi kaynat ha .
Daaman mein Maa k sirf wafaon k phool hein Hum sarey apni Maa k Qadmoon k dhool hein .
Aulaad k Sitam usey Hass k Qabool hein Bachon ko Bakash deina hi Maa k Usool hein .
Din Raat Us ne Paal Pos k bada kiya Girney laga to Maa nemuje phir khara kiya
Ek baar Ishwar kaap utha tha vichilit hua tha
Soch ke who bhi khabraya tha, Ki Prem who apna kaise baatein
Koti Prashno ne janm liya fhir uske vishal Hridya mein???
Kaun hai who, jo degi Sheetal chayaa
Jo Pilayegi Mamta kaa jal
Jo Sawaare gi, Dulare gi,
Choth lage agar shishu ko toh usko bhi dard hoga.
Inn prashno ko rakha gaya anyaa devtaaon ke saamne jab,
Woh devta baandhane lage Inn Prashno ko dhaage se tab,
Baandh Baandh Ek murat bani jise naam dena zaroori tha,
Jo Ishwar se bhi unchi hai, use sammman dena zarori tha,
OM, RAM, RAHIM ko le jab uss Murat ka ucchhaar hua,
Tab unn aksharon ke anth ke “M” se “MAA” akshar kaa Nirnmaan Hua,
Tab Ishwar ne mann mein socha,
Kash Meri bhi “MAA” hoti, toh aaj jise meine racha hai….
Share with us more Shayari on mother .in comments section below.
Happy Ramadan Wishes Urdu SMS
Mere Lab Pe Mola Na Koi Sadaa He
Faqat Mujh Nikamme Ki Yehi Dua He
Meri Sanse Nikle Dar E Mustafa Pe
Gham E Dil Nabi Ko Sunate Sunate
Mera Yeh He Imaan, Mera Ye Yaqeen He
Mere Mustafa Sa Na Koi Haseen He
Rukh Un Ka Dekha He Jab Se Qamar Ne
Nikalta He Munh Ko Chupate Chupate
Wednesday, August 29, 2007
Juma Mubarak Sms
Juma Mubarak
Zamzam Jesa Koi Pani Nahi
Namaz Jesi Koi Ebadat Nahi
Hajj Jesi Koi Ziyarat Nahi
Islam Jesa Koi Mazhab Nahi
Quran Jesi Koi Kitab Nahi
Madine Jesa Koi Sheher Nahi.
Kalme Jesi Koi Dolat Nahi.
Durud Pak Jesa Koi Khazana Nahi.
Aur
Jumma Jesa Koi Din Nahi.
Juma Mubarak…
Zara Daikhna Uth Gaye
Zara Daikhna Uth Gaye Sahib Neend Se..?
Ay Dill
Suna Hai Bahot Soutey Hain Ye Hussan Waley…
Good Morning..
Funny Pathan Eid-ul-Fitar
Eid-ul-Fitar ki namaz k waqat
Major Rohail-
Khan sab fitrana aada nhi krna?
.
.
.
Pathan-
Oy! Khocha, hum ne to fitrana
Ur zakat 14 August pr he
Dedya tha 😀
From: Asma Zafar
Call from unknown number
A man got a call from unknown number
Girl: Hi, r u single ??
Man: Yes, but who r u ??
Ans: Your wife
Aaj ghar aana tab bataoogi
Another call from unknown number
Girl: R u married ??
Man: Yes, but who R u ??
Girl: Your girlfriend, U cheat
Man: Sorry baby, I thought it was my wife
Ans: Wife hi hoon kutte, aaj tu bas ghar aaja.
Haqeeqat yaaro ke
Jab garaz hoi tab yaad jab waqat mila tab waar kiya
Ab or haqeeqat kiya likhon us door k mukhlis yaaron ki??
Chupke Chupke Raat Din Aansu Bahana Yaad Hai
Hasrat Mohani Ghazal
Ham Ko Ab Tak Aashiqi Ka Wo Zamana Yaad Hai
Tujh Se Wo Pehle Pehal Ka Dil Lagana Yaad Hai
Aur Tera Daanton Mein Wo Ungli Dabana Yaad Hai
Aur Dopatey Se Tera Wo Munh Chupana Yaad Hai
Wo Tera Ro Ro Kar Mujh Ko Bhi Rulana Yaad Hai
Wo Tera Kothe Pe Nange Paon Aana Yaad Hai
Aaj Tak Ehad-e-Hawis Ka Wo Fasana Yaad Hai
Video by Ghulam Ali
Dekha jo aaina to mujhe sochana pada – Farag Roohvi
Dekha jo aaina to mujhe sochana pada
khud se na mil saka to mujhe sochana pada
us ka jo khat mila to mujhe sochana pada
apana-sa wo laga to mujhe sochana pada
mujhko tha guman ki mujh mein hai ek ada
dekhi teri ada to mujhe sochana pada
duniya samajh rahi thi ki naraz mujhase hai
lekin wo jab mila to mujhe sochana pada
ik din wo mere aib ginane laga ‘farag’
jab khud hi thak gaya to mujhe sochana pada
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Farag Roohvi
Tuesday, August 28, 2007
What does GF Mean?
Bhai ko bhai say juda kar daiti hai “GF”
Ma ko baity say juda kar daiti hai “GF”
Bivi ko shohar say Lara daiti hay “GF”
Insan ko dunya say juda kar daiti hai “GF”
Ghar main jhagra paida kar daiti hai “GF”
“GF” say murad “Ghalat Fehmi” hai jo es waqt aap ko howi!.
Aadat Uski Thi Bus Mujhe Jalane Wale
Aadat Uski Thi Bus Mujhe Jalane Wale
Baat Ki Hans Ke Mgr Dil Ko Dukhane Wali
Ajkal Wo Mujhe Kuch Badla Howa Lgta Hy
Ho Gain Uski Nighein Bhi Zamane Wali
Hum Ne Ikhlas Ka Daman Nhi Chhora Ab Tk
Haye Uski Tu Muhabbat Hy Rulane Wali
Main Ne Samjha Tha Guzar Jaye Ga Mausam Lekin
Rut – E – Barsat Bi Nikli Tu Satane Wali
Tumhare Waste Ab Koi Nhi Hy WASI
Khud Se Batein Na Karo Dil Ko Behlane Wali…’
Ae Khuda Jeene Kaa Saleeka Sikha
Ae Khuda Sabhi Ko Jeene Kaa Saleeka Sikha De,
Har Dil Ke Kone Mei Kahin,Chiraag-E-Wafaa Jala De,
Kitne Hi Dil Toot Gaye,Par Tu Sada Hi Chup Raha,
Kuch Aisa Kar Kii Koi Kabhi,Phir Kisi Ko Naa Daga De,
Un Toote Dilon Ke Dher Me,Kahin Kuch Tukde Mere Bhi The,
Kam Se Kam Us Bewafa Ko Un Tukdon Ka Hisaab To Bata De,
Keh Khuda Apni Hawa Se,Ki Ab To Apna Rukh Mod Le,
Meri Daastaan-E-Dil Jaakar Us Bekhabar Ko Suna De,
Wo Shakhs Bharam Mei Jee Raha,Dil Tod Ke Khush Baitha Hain,
Nahi Bheegi Palkein Uski Ab To Use Rula De,
Uske Dard Me Ta-Umr Jal-Jal Ke Raakh Hui Hoon Main,
Kab Tak Jalaayega Mujhe,Ab To Is Aag Ko Bujha De,
Gar Tu Hai Is Jahaan Me,To Apne Hone Kaa Ehsaas Dila,
Meri Roothi Taqdeer Ko Chand Khushiyon Ke Gehno Se Saja De,
Uthti Hai Kayi Baar Kasak,Ke Dil-O-Zehen Mei Bhi,
Tamaam Gulistaan Naa Sahi,Par Dil Mei Ekk Phool To Khila De
I Love Myself The Way I Am
I Love Myself The Way I Am, There’s Nothing I Need To Change.
I’ll Always Be The Perfect Me, There’s Nothing To Rearrange.
I’m Beautiful And Capable, Of Being The Best Me I Can.
And I Love Myself, Just The Way I Am.
I Love You The Way You Are, There’s Nothing You Need To Do.
When I Feel The Love Inside, It’s Easy To Love You.
Behind Your Fears, Your Rage And Tears, I See Your Shining Star.
And I Love You, Just The Way Your Are.
I Love The World The Way It Is, Cause I Can Clearly See.
That All The Things I Judge Are Done, By People Just Like Me.
So ‘Til The Birth Of Peace On Earth, That Only Love Can Bring.
I’ll Help It Grow, By Loving Everything.
I Love Myself The Way I Am, And I Still Want To Grow.
But Change Outside Can Only Come, When Deep Inside I Know.
I’m Beautiful And Capable, Of Being The Best Me I Can.
And I Love Myself, Just The Way I Am
Hamein Wo Chahey Yeh Chahtey Rehey Hum Umar Bhar
Zinda Laash Hai Aab To Yeh Zism
Bahut Hansa Tha Main,
Jinko Bhi Hansaane Ki Liye.
Wahi Chod Gaye Hain Mujhe Aaj,
Tanhai Main Aansoo Bahaane Ke Liye.
Woh Hanste Hain Haamare Saamne,
Shayad Hamein Tadpaane Ke Liye.
Par Hum To Kambakht Ro Bhi Nahi Sakte,
Zamaane Ko Gum Dikhane Ke Liye.
Khushiyan Sab Woh Le Gaye,
Aashk Hain Bas Aab Mere Liye.
Par Yeh Aashk Bhi Aab Nahi Dete Hain Saath,
In Aankhon Se Aashk Bahaane Ke Liye.
Bade Sambhal Kar Rakhe The Kadam Humne,
Unke Saaye Ko Bhi Bachaane Ke Liye.
Par Aaj Apna Hi Saaya Saath Chod Gaya,
Humein Tanhai Ka Ehsaas Dilaane Ke Liye.
Ruke The Hum Har Moad Par,
Unke Intezaar Ke Liye.
Aaj Chod Gaye Hain Woh Ek Naye Moad Par,
Zindagi Bhar Intezaar Karwaane Ke Liye
Bahut Khushiyan Hain Aas-Pass,
Mujhe Khush Karne Ke Liye.
Phir Bhi Koi Wajah Doondhta Hoon,
Shaayad Main Muskuraane Ke Liye.
Kuch Yaadein Hongi Unke Pass Bhi,
Humein Yaad Karne Ke Liye.
Par Woh Kabhi Humein Na Yaad Kar Payenge,
Doondhenge Kisi Bahane Ke Liye.
Kabhi To Woh Bhi Sochenge,
Humaare Pass Waapis Aane Ke Liye.
Lekin Tub Hum Honge Hi Nahi,
Unko Pachtaane Ka Mauka Dene Ke Liye.
Zinda Laash Hai Aab To Yeh Zism,
Aapna Hi Bhoja Dhone Ke Liye.
Thodi Si Zamin Talaashta Hoon,
Khud Ko Dafnaane Ke Liye.
Monday, August 27, 2007
The sweetness Of Choclate
The sweetness of choclate remians in tongue for some minutes but the sweetness of person like you remains in heart forever and ever always. Share
Mere Aba Kunwain Men Gir Gye
Sardar:Kal mere aba Kunwain men gir gye or zor zor se cheekhne lge:
Bachao Bachao
2nd:Ab kese hen?
1st:Theek hi honge, kal se koi awaz to nahi aayi..
Sunday, August 26, 2007
Just Tell Me One Thing
Dear weather just tell me 1 thing…
.
.
.
.
.
.
.
mai sweater peti wich rakhan ya haley nai…:/:p
Miti Da Bawa Bnaea
Miti Da Bawa Bnaea ,
Is Bawe Te Mein Tail Chdaea,
Ap Bnaea Apne Hthi Dudh Pilaea,
Jd Loki Lge Poojn Is Nu ,
Merea V Dil Kr Aaea,
Ik Rati Mein V Apna Dard Sunaea,
Soh Rub Miti Da But V Akhian Bhar Aaea ,
O Rat Nai Bhuldi Yaro ,
Jd Miti Da Bava V Rub Varga Najr Aaea,
C Ta O Miti Yaro , Pr Lagea Rub Varga ,
Jd Mein Kale Beh K Hal Dil Da,
Kise Apne Vang Sunaea , Kise Apne Vang Sunaea.
Best Urdu Dua Sms
Itni Si “DUA” Hai K
Har Any Wale
“Lamhey” Me.
Tumhari Duniya Me
“Roshni” Ho.
Tumhare Honton Pe
“Muskurahat”Ho.
Tumhari Har 1
“Tamana” Har 1
“Khwahish”.
Tumhare
“Honton” Tak
Aany se pahly pori hon.
Ye Dua Ka “Tohfa”
Sambhal K Rakhna
Bus Tum Apna
“KHAYAL RAKHNA”
GOOD MornIng
Din ko bhi itna andhera hai mere kamare mein – Zafar Gorakhpuri
Din ko bhi itna andhera hai mere kamare mein
saya aate hue darta hai mere kamare mein
gham thaka hara musafir hai chala jayega
kuch dinon ke liye thahara hai mere kamare mein
subah tak dekhana afasana bana dalega
tujh ko ek shakhs ne dekha hai mere kamare mein
darbadar din ko bhatakata hai tasavvur mera
han magar raat ko rehta hai mere kamare mein
chor baitha hai kahan soch raha hun main ‘zafar’
kya koi aur bhi kamara hai mere kamare mein
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Zafar Gorakhpuri
Sheikh Hajj Per
1 SHEIKH Hajj per Gaya
aur zor zor sy DUA Mangny laga.
”YA ALLAH Mery SARY GUNAH MAAF Kar dy
WarnaMera 2 Lakh WAPAS Kar dy.”… :-):
Saturday, August 25, 2007
Best Dua For All Muslims
“Ay-ALLAH”
Jab tu apni rehmton k drwaze khole or pukare
“Hai koi rehmt mangne wala?
Hai koi khushiyan mangne wala?
Hai koi Shifa Mangne wala?
Hai koi mere
“MEHBOOB”
ki chaht mangne wala?
To meri dua hai k “YA-ALLAH”
Sari Khushiyan
Sari Rehmatain
Sari Kamyabiyan
Sari Brkatain
Sari nimaten
“NABI” (S.A.W.W) ki chaht
us shaks ko de de jo ye sms parh k dosre logon ko bhi is khubsorat dua me shamil kre
Aameen
A Paper Dropped From Her Softy Hand
A Paper Dropped
From Her Softy Hand
She Went Out From The Restaurant Quickly
I Thought The Paper Is A Perfume Love Letter
It Was The Restaurant Bill
The Boat Was Close From The Coast
And There Was No Problem
Which Crazy Time This Storm Had?!
To Destroyed A Boat Which Anchored
For Moments
Meri Zindgi Hi Mujhe Azaab Lage
Meri Zindgi Hi Mujhe Azaab Lage,
Aankh Me Ashkon Ka Sailaab Lage.
Tere Husn Ka Sani Duniya Me Nahi Koi,
Chehra Tera Mujhe Khilta Gulaab Lage.
Kya Zarurat Hai Tumhe Parde Ki,
Tere Qesu Hi Sanam Tera Naqaab Lage.
Kyon Toden Teri Kasmon Ko Mahkhane Jakar,
Jab In Aankhon Ke Ashq Hi Mujhe Sharab Lage.
Kya Khabar Teri Inyaten Hain Kitni Mujhpar,
Zakhmo Ko Ginu To Kuch Hisaab Lage.
Yoon To Kai Roop Saje The Rahon Me,
Dekha To Har Shakhs Me Janaab Lage……
Friday, August 24, 2007
Zindagi Ki Dard-e-Tanhai shayari
Bin Us K Zindagi Dard-e-Tanhai Hai,
Meri Aankhon Mai Q Mout Simat i Hai,
Kehtay Hain Log Ishq Ko Ibadat Yaro,
Ibadat Mai Phr Q Itni Ruswai Hai,
Mahfil mai reh kar b Tanha rehna,
Ye ada uski mohabbat nay sekhai hai,
Us sy taluq hai kuch aisa dil ka,
Jb b sochA usko Aankh bhAr i hai
Zakhm Pehlay Kay Bhar Nahin Jatay
Yun Shikast Se Dar Nahi Jatay
Koi Bichrrey To Mar Nahi Jatay
Doosri Baar Pyar Karney Se
Zakhm Pehlay K Bhar Nahi Jatay
Main Urranein To Kab Ki Bhool Chuka
Bas Mery Bal-O-Par Nahi Jatay
Aankh Khulney Se Toot-Ti Hay Neend
Khuwab Gir Kar Bikhar Nahi Jatay
Hijr K Sahilon Se Takra Kar
Dil K Darya Utar Nahi Jatay
Main To Shayer Hoon..So Hoon Awara
Aap Kiun Apney Ghar Nahi Jatay?
Yaaron Uss Bewafa Se Milney Ko
Dil To Chahey,Magar Nahi Jatay…!!
Betaab Se Rehte Hai Teri Yaad Mein Aksar
• प्रधानमंत्री कनाडा पहुंचे। परमाणु ऊर्जा, व्यापार और निवेश एजेंडा में ।
• उच्चतम न्यायालय राष्ट्रीय न्यायिक नियुक्ति आयोग कानून की याचिका पर सुनवाई करेगी।
I Long To Feel Your Touch
I See You Standing Alone
I Want To Kiss Your Face
I Long To Feel Your Touch
And Your Arms Around My Waist
I Want To Be With You
And Stare Deep Into Your Eyes
I’d Like To Be There For Eternity
But The Time Really Flies
It Seems When We Finally See Eachother
One Of Us Has To Go
All I Want To Do Is Sit And Talk
So Our Feelings We Can Show
You Make Me Really Crazy
But It Just Feels So Right
I Think About You The Whole Day Through
Wishing To Be With You At Night
You Make Me So Happy
Your Constantly On My Mind
There Is No One Better In The Whole Wide World
That I Could Possibly Find
My Feelings Are For No One Else
I Love Everything You Do
These Feelings I Have Simply Are
I Love You!!!!!!!!!!
Bethy Hain Sunehri Kashti Me Or Samny Neela Pani
Thursday, August 23, 2007
Funny Pathan And Sardar
Sardar and pathan ja rahy thay un ko 1000Rs. ka note mila,
Pathan: Chalo fifty fifty kr laity hain.
Sardar: Bqaya 900 da ki karan gy….?
From: Qamar Saghir
Pyar Ki Nishani Tum Se Mili
Muje Pyar Ki Nishani Tum Se Mili
Mere Andaz Ko Shola Byaani Tum Se Mili
Hum Ne Tou Kabi Socha Be Na Tha
Achanak Muquder Ki Kahani Tum Se Mili
Jise Mar Kar Be Na Bhool Paaon Ga
Aisi Mohabat Bhri Zindgani Tum Se Mili
Mein Kaise Bhula Doon Wo Haseen Yadein
Wo Jo Ik Shaam Suhaani Tum Se Mili
Asghar Ko Sdaa Mili Khusuian Tum Se
Muje Koi Na Pareshaani Tum Se Mili
Have a great 2011
May the spirit of this holiday season fill your heart with love, peace and serenity.
Wishing you many wishes for the New Year.
Have a great 2011 ahead Happy New Year 2011
Suno Tum Khwaab Na Hona - Urdu Poetry
Urdu Script - Sad Poetry
Suno Tum Khwaab Ho Mere...!Tera ishq kaddaan
Love related quotes.
love isn’t seen by eyes,it’s seen by heart.
(shakespeare)
The one who gets in love again and again,he doesn’t know how to get in love truly.
(juli snake)
3.love is that game in which you become witless.
(juli samurai)
4.Eddar mar tera ishq kaddaan
(Ammi)
Humein Tum Bhool Jaoge
Bahut Khamosh Logo Se Bahut Uljha Nhi Krty,
Jo Dil Ko Rog Lag Jaen Wo Phir Suljha Nahi Krty,
Chalo Tm Keh Rhy Ho To Phir Hm Aisa Nhi Krty
Mgr Ab Dil Ye Wapis Lain Ye Hm Sauda Nhi Krty,
Hmara Dil Tmhara Hy Bhaly Tm Jis Jaga Jao,
Tasalli Dil Ko Ye Di Hy K Tm Dhoka Nhi Krty,
Dilon K Mamly Hen Ye Tmhi Se Pyar Krty Hen,
Hmen Tm Bhool Jao Gy Ye Hm Socha Nhi Krty,
Bht khamOsh logo se,
Bht uljha nhi krty,
Wednesday, August 22, 2007
Mujhe de rahen hain tasalliyan wo har ek taza payam se – Jigar Moradabadi
mujhe de rahen hain tasalliyan wo har ek taza payam se
kabhi aake manzar-e-am par kabhi hat ke manzar-e-am se
na garaz kisi se na vasta, mujhe kam apne hi kam se
tere zikr se, teri fikr se, teri yaad se, tere naam se
mere saqiya, mere saqiya, tujhe marahaba, tujhe marahaba
tu pilaye ja, tu pilaye ja, isi chashm-e-jam ba jam se
teri subh-o-aish hai kya bala, tujhe ae falak jo ho hausla
kabhi karale aake muqabila, gam-e-hijr-e-yar ke sham se
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Jigar Moradabadi
Tu kaheen bhi rahe sar pe tere ilzam to hai – Sabir Jalalabadi
Tu kaheen bhi rahe sar pe tere ilzam to hai
tere hathon ke lakiron mein mera naam to hai
mujhko tu apna bana ya na bana teri khushi
tu zamane mein mere naam se badanam to hai
mere hisse mein koi jam na aaya na sahi
teri mahafil mein mere naam koi sham to hai
dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main khush hun muhabbat ka ye anjam to hai
wo sitamagar hi sahi dekh ke usako “sabir”
shukr is dil-e-bimar ko aaram to hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sabir Jalalabadi
Har Haar Ke Baad Aik Jeet Hoti Hai
Har Haar Ke Baad Aik Jeet Hoti Hai,
Main Us Jeet Ka Intzaar Karon Ga,
Us Ne Tou Kabhi Ehsaas Nahi Kiya,
Phir Be Main Uska Ehsaas Karon Ga,
Jitni Be Dard Main Gehrai Bhadhay Gi,
Main Usi Shiddat Se Khushi Ko Talash Karon Ga,
Har Haar Ke Baad Aik Jeet Hoti Hai,
Main Us Jeet Ka Intzaar Karon Ga,
Aankhen meri talavon se mal jaye to achcha – Ibrahim Zauq
aankhen meri talavon se mal jaye to achcha
hai hasrat-e-pa-bos nikal jaye to achcha
jo chashm ke be-nam hon, wo ho kor to bahatar
jo dil ke ho be-dag, wo jal jaye to achcha
furqat mein teri tar-e-nafas sine mein mere
kanta sa khatakata hai, nikal jaye to achcha
wo subah ko aaye to karun baten main do-pahar
aur chahun ke din thoda sa dhal jaye to achcha
dhal jaye jo din bhi to isi tarah karun sham
aur chahun ke gar aj se kal jaye to achcha
jab kal ho to phir wohi karun kal ke tarah se
gar aj ka din bhi yun hi tal jaye to achcha
al-qissa nahi chahata main, jaye wo yan se
dil usaka yahin garache bahal jaye to achcha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ibrahim Zauq
Tuesday, August 21, 2007
marana hai to maro watan ke liye
Kyo marate ho yaaro bewafa sanam ke liye,
dupatta bhi nahi degi tere kafan ke liye,
marana hai to maro watan ke liye,
haseena bhi utaar degi dupatta tere kafan ke liye.
I salute brave mEn BHAGAT SINGH JI. ASFAK ULLA KHAN JI. SUKHDEVji. CHANDRASEKHAR ji
Shared by Vishu
Great Bosses Grant The Glory
Great Bosses Grant The Glory They Receive,
Offering Their Praise And Their Devotion.
On Them The Mantle Settles Like A Cloak
Designed To Shelter Lots Of Little Folk,
Bearing Them Along In Its Emotion.
Yet Freely We Give More Than We Receive,
Eager To Float That Ship Upon Our Ocean.
Tere nisar saqiya jitani piyun pilaye ja – Rustom Sehgal Wafa
Tere nisar saqiya jitani piyun pilaye ja
mast nazar ka vasta mast mujhe banaye ja
tujh ko kisi se garaz kya bijli kaheen giraye ja
dil jale ya jigar jale tu yun hi muskuraye ja
samane mere aa ke dekh rukh se naqab hata ke dekh
khilaman-e-dil hai muntazair barq-e-nazar giraye ja
‘wafa’-e-badanasib ko bakhsha hai tune dard jo
hai koi is ke bhi dawa itna zara bataye ja
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rustom Sehgal Wafa
Dhanwantri Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Dhanwantri Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Dhanwantri Jayanti greeting.
Diwali aai, masti chahi, rangi rangoli,
Diwali aai, masti chahi, rangi rangoli,
deep jalaye, Dhoom Dhadaka, chhoda phataka, jali Phuljadiyan,
Sabko Bhaye, ‘Happy Diwali’
Diwali Parva hai Khushio ka,
Diwali Parva hai Khushio ka,
Ujalo ka, Laxmi ka…. Is Diwali Aapki Jindagi khushio se bhari ho,
Duniya ujalo se roshan ho, ghar par Maa Laxmi ka Aagman ho…
Happy Diwali
Laxmi aayegi itni ki sab jagah Naam hoga,
Laxmi aayegi itni ki sab jagah Naam hoga,
Din raat vyapar bade itna adhik kaam hoga,
Ghar Pariwar samaj me banoge Sartaj, Yehi Kamna hai hamari aap ke liye
Diwali ki Dhero Shubh Kamanaye…
Aai aai Diwali aai, Saath me kitni Khushiya laayi,
Aai aai Diwali aai, Saath me kitni Khushiya laayi,
Dhoom machao, mauz manao, aap sabhi ko Diwali ki badhai.
Happy Diwali
Deep Jalte jagmagate rahe,
Deep Jalte jagmagate rahe, Hum aapko Aap hame yaad aate rahe,
Jab tak zindagi hai, dua hai hamari ‘Aap Chand ki tarah Zagmagate rahe…’ Happy Diwali
Troubles as light as Air,
Troubles as light as Air,
love as deep as Ocean,
Friends as Solid as Diamonds,
and Success as bright as Gold…
These are the wishes for you and your family on the eve of Diwali.
Diwali ki Shubhkamana!
Happy Dhanwantri Jayanti Mubarak to all of you from Shayari Online Team
Tu nahi to zindagi main aur kya reh jayega – Iftikhar Imam Siddiqui
Tu nahi to zindagi main aur kya reh jayega
dur tak tanhaiyon ka silsila reh jayega
kijiye kya guftagu kya un se mil kar sochiye
dil-shikasta khvahishon ka zayaqa reh jayega
dard ke sari tahen aur sare guzri hadase
sab dhuan ho jayenge ek vaqiya reh jayega
ye bhi hoga wo mujhe dil se bhula dega magar
yun bhi hoga khud usi mein ek khala reh jayega
dayar-e-inkar ke iqarar ke saragoshiyan
ye agar tute kabhi to fasala reh jayega
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Iftikhar Imam Siddiqui
Tanhai Ki Ek Raat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi
Majboor Ye Halat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi
Tanhai Ki Ek Raat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi
Kehne Ko Buht Kuch Hai Magar Kis Se Kahe Hum
Kub Tak Yuhi Dabte Yuhi Sehte Rahe Hum
Dil Kehta Hai K Dunia Ki Har Rasm Utha Dein
Dewar Johum Dono Mai Ha Aaj Gira Dein
Ab Dil Mai Yahi Baat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi
Comes Special in Life
A Person Changes 4 Two Reason Either
Someone Special Comes In His Life Or
Someone Special Leaves His Life!
You Are My Sweet SONA
You are my sweet SONA,
I dont want u KHONA,
I want a place in your hearts KONA,
Otherwise i will start RONA,
Atleast good morning to KAR LONA…….
funny pathan sms chiragh
PATHAN ko chiragh mila . chirag ragara.
JIN ne kaha “3 wishes bato.”
PATHAN: No 1 . Eik bara bangla .
No 2 us main Khob dolat mand log.
No 3 Humko is main chokidar lagwa do
Monday, August 20, 2007
Ganga Toh Bahtii Jayegi
Ganga Toh Bahtii Jayegi
Ganga Toh Bahtii Jayegi
Khud Mein Sab Ko Samayegi
Karte Hain Paap Jo Din Raat
Unke Liye Bhee Mukti Layegee
Ganga Toh Bahtii Jayegi
Loot.Te Kis Tarha Zindgiyan
Baith Ke Ganga Kinare Phir
Japte Hain Raam Naam Yeh
Karte Hain Balatkar Phir
Ik Din Zind Tadpaayegi
Ganga Toh Behti Jayegi
Chori Dakaiti Inke Shauq Hain
Hathiyaar Se Holi Khelte Hain
Aatank Faila Rakha Hai Yahaan
Desh Ko Bhi Baich Dete Hain
Ik Din Ufaan Ye Laayegi
Ganga Toh Behti Jayegi
Ganga Sab Kuch Janti Hai
Paapi Ke Liye Bhee Ro Letee Hai
Dil Uska Bahut Mahan Hai
Sab Ke Paap Dho Deti Hain
Wo Dil Shiv-Shiv Kehlaayegi
Ganga Toh Behti Jayegi
Paap Ya Ho Aastiyan Kisiki
Har Cheez Baha Le Jati Hai
Ganga Jal Paawan Hai Itna
Jise Chhue Usey Bha Jaati Hai
Har Dil Main Jagah Banayegi
Ganga Toh Behti Jaati Hai
Shiv Keshse Utar Maa Ganga
Bhav Sagar Mil Jati Hai.
Happy Pakistan Day
Azad Pakistan K Nalayak Jawano
Agar Aaj Valentines
Ya Frndship Day Hota
To INBOX Full Hota
Chalo!
Jaldi Se Utho Or
Sab Ko Wish Karo.
HAPPY Pakistan Day
Fasting is about
Fasting Is Not About Diet Of Burning Calories,
But Burning Of Pride,Ego & Sins !!!
Lets focus on Taqwa instead of Diet
Lets try to loose Sins instead of Weight !!!
Hero Nikle Autograph Dena
Jab QUAID E AZAM Ne Pakistan Azad Karwaya
To Madar E Millat FATIMA JINAH Ne Bohat Pyar Se Quaid Se Kaha BHAIYA…!
Ap To Hero Nikle AUTOGRAPH Dena 😀
Urdu Father Day Poetry Sms
Mere Khuda Tera Shukriya,
Mere Khuda Tera Karam,
Mere Abbu Ki Mohabbat Ki Mohabbat Sabse Badi..
Yahi Dua K Rahe Uska Sada Mujhpe Reham!
Happy Forever
“If you wait for happy moments,
you will wait forever.”
“But if you start believing that you are happy,
you will be happy forever.”
Sunday, August 19, 2007
Hal usaka tere chehare pe likha lagata hai – Shehzad Ahmed
hal usaka tere chehare pe likha lagata hai
wo chup chap khada hai tera kya lagata hai
yun to har cheez salamat hai meri duniya mein
ek ta’alluq hai jo tuta hua lagata hai
main ne socha tha ki aabad hun ek shahar mein main
yan to har shakhs ka andaz juda lagata hai
moddaten bit gain tay na hui manzil-e-shauq
ek aalam mere raste mein pada lagata hai
ae mere jazba-e-dauron mujh mein kashish hai itani
jo khata hota hai wo tir bhi aa lagata hai
jane kon si pasti mein gira hun “shehzad”
suraj bhi is qadar dur hai ki diya lagata hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Shehzad Ahmed
Dil Ke Kagaz Par Paigaam
Dil Ke Kagaz Par Maine Ye Paigaam Likha Hai
Kuchh Panne Bhar Ke Tera Naam Likha Hai.
Bana Julfo Ko Chandni Raat Aur Aanchal Ko Baadal,
Tere Jism Ko Sitaaro Se Saja Aasmaan Likha Hai.
Baha Lu Meri Hamnafas Tujhe Mehka Du Duniya
Apne Aangan Ka Maine Tumhe Gulistaan Likha Hai.
Tere Shabnami Hotho Ke Tabbsaum Ko Chura Kar,
Apne Dil Mai Chhupe Khuda Ki Muskaan Likha Hai.
Sirf Meri Tanhai Hai
Main Hoon Aur Mere Saath
Sirf Meri Tanhai Hai
Pehle Saaya Toh Tha Mere Saath
Aaj Kal Woh Bhi Harjaai Hai
Aaj Phir Aansuon Ki Baarish Hai
Aaj Phir Yaad Unki Aayi Hai
Jaanta Hun Kahin Nahi Hai Woh
Dil Ko Shak Hai Yaheen Kahin Hai Woh
Kaash Yeh Mera Dil Sanbhal Jaaye
Yeh Haseen Wahem Bhi Nikal Jaaye
Ek Dilkash Haseen Chehra Tha
Aks Aankhon Me Uska Gehra Tha
Roz Milte The Baat Hoti Thi
Har Jageh Mere Saath Hoti Thi
Haath Me Haath Apne Hote The
Chaand Taare Bhi Saath Hote The
Kya Samaan Khoob Woh Bhi Hota Tha
Dil Hamara Kahin Jo Khota Tha
Apni Duniya Ajeeb Hoti Thi
Maano Jannat Kareeb Hoti Thi
Ek Dooje Ki Aankhon Me Aankhen
Aankhon Aankhon Mein Pyar Ki Baaten
Zulf Se Khelti Machalti Woh
Bahke Andaaz Se Sanbhalti Woh
Aaj Har Oos Haseen Lamhe Ki
Har Kali Phir Se Muskurai Hai
Main Hoon Aur Mere Saath
Sirf Meri Tanhai Hai…
Sirf Meri Tanhai Hai…
Lutf wo ishq mein paye hain ki jee janata hai – DaaG Dehlvi
Lutf wo ishq mein paye hain ki jee janata hai
ranj bhi itane uthaye hain kio jee janata hai
jo zamane ke sitam hain wo zamana jane
tune dil itane dukhaye hain ki jee janata hai
tum nahi janate ab tak ye tumhare andaz
wo mere dil mein samaye hain ki jee janata hai
inhin qadmon ne tumhare inhin qadmon ke qasam
khak mein itane milaye hain ki jee janata hai
dosti mein teri daraparda hamare dushman
is qadar apne paraye hain ki jee janata hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : DaaG Dehlvi
Kia Baat Kahon Un Ankhon Ki
Kia Baat Kahon Un Ankhon Ki
Jin Ankhon Pe Main Marta Hoon
Woh Ankhen Jheel Si Ankhen Hain
Jin Main Doob Ke Rooz Ubherta Hoon
Mujhe Dekhne Ke Liee Uthiti Hain
Miltey Hi Nazar Woh Jhuktin Hain
Sare Jahan Main Aesi Ankhen Nahi
Jin Ankhon Pe Main Marta Hoon
In Ankhon Main Koi Ansoo Na Aee Koi
Kabhi Koi Gham Na Pass Aae Koi
Sada Muskuratin Rahen Ye
Har Dam Ye Dua Main Karta Hoon
Kia Baat Kahon Un Ankhoon Ki
Jin Ankhon Pe Main Marta Hoon
Saturday, August 18, 2007
Take My Life My Life Tonight
I’m Really Not The Praying Kind,
But, Lately I’ve Been Down On My Knees,
Looking For A Reason To Believe,
Searching For An Answer To My Dreams,
Praying For A Miracle To End My Anxiety
To Find Rest For My Constant Worried Mind,
Disintegrate All My Problems,
Confess My Sins And Lies
Longing For The Happiness,
That Has Completely Disappeared Out Of Sight
Seeing The Pain That I Can Feel So Clear,
Fearing The Fear Within Me Here,,
Shouting Out With A Fierce Cry,
Feeling The Pain Shoot Through My Eyes
Looking To The Stars Up High,
Wishing For My Dreams To Come True,
Who Am I Kidding,
My Wishes Have Run Out Of Time
I’m Just Sitting Here Crying,
As My Body Is Slowly Dying,
Giving Up To One Last Wish,
That I Will Commit To Suicide
I Kneel Upon The Heavenly Skies
Star Light, Star Bright,
The Last Star I Will See Tonight,
Will I Won’t, Wish I Might,
Take My Life, My Life Tonight
A Cup of Coffee
Good Morning !!
I just wanted to share
a virtual cup of coffee with you
I thought it would be a nice way
to begin our day.
Who R BOYs
Who r BOYs ?
Woh Jo Hell mein Bhi milein To Kahein
ABEY Shaitan KI BETI DEKHI .
Mast dikhti hai YAR
Who r girls ?
Goes 2 heaven & say
Woh pari ki nail polish dekhi
How Cheap na.
Mrray Ba Deeway Da Intezar
Mrray Ba Deeway Da ‘Intezar’ Krrm,Ta Ba Na Yaadawm,
sabr Ba Sawai Zrra Lachaar Krrm, Ta Ba Na Yaadawm.
Sta Chi Pa Zrra Bande Kha Na Lagam No Na Ba Darzm,
Hera Ba Sta Da Kusay Laar Krrm, Ta Ba Na Yaadawm.
Agha Waday Ao Muhabat Ba De Yow Khob Wa Ganrram,
Wochay Ba Okhkay Da Rukhsar krrm,Ta Ba Na Yaadawm.
Sta Da Jafa Aw Bay-Nangai Gilayy Ba Na Kawoma,
Khpal Lewantoob Ba Gunna-gar Krrm, Ta Ba Na Yaadawm.
Sta qasamona ao wade ba wara heery krama,
Sta na khaista ba zanla yaar krrm, ta ba Na Yaadawm
Za Imdad Khiyal ba Grewan sery krram ratol Janana,
Za ba pakhpala zan pa Dar krrm, ta ba Na Yaadawm.
Under your feet
“A mountain is not higher than your confidence
because,
it will be under your feet, if you reach the top.
Ret par likh ke mera naam mitaya na karo- Mohsin Naqvi
ret par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolati hain pyar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko halat ke rudad sunaya na karo
ye zaruri nahi har shakhs masiha hi ho
pyar ke zakhm amanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehasas mein pattharav bahut hain ‘mohsin’
dil ko shishe ke jharonkhon mein sajaya na karo
ret par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolati hain pyar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko halat ke rudad sunaya na karo
ye zaruri nahi har shakhs masiha hi ho
pyar ke zakhm amanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehasas mein pattharav bahut hain ‘mohsin’
dil ko shishe ke jharonkhon mein sajaya na karo
Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Mohsin Naqvi
Ye zindagi – Nida Fazli
Ye zindagi
aj jo tumhare
badan ke choti-badi nason mein
machal rahi hai
tumhare pairon se chal rahi hai
tumhari aavaz mein gale se nikal rahi hai
tumhare lafzon mein dhal rahi hai
ye zindagi
jane kitni sadiyon se
yun hi shaklen
badal rahi hai
badalati shaklon
badalate jismon mein
chalata-phirata ye ik sharara
jo is ghadi
naam hai tumhara
isi se sari chahal-pahal hai
isi se roshan hai har nazara
sitare todo ya ghar basao
qalam uthao ya sar jhukao
tumhari aankhon ke roshni tak
hai khel sara
ye khel hoga nahi dubara
ye khel hoga nahi dubara
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli
Sharad Poornima Shayari and Poetry in Hindi and Urdu
Find latest Sharad Poornima Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Sharad Poornima greeting.
@On this auspicious occasion
I wish you are blessed with prosperity and success
HAPPY Kojagari Purnima
@Sang Gopiya radha chali krushna ke dvar
kanha ke savale rang ke bhikhare chata apar
purnima ke ujjval prakash mili vo krushna se
ras lila aaj hogi aur nachega sara sansar
sharad Purnima ke badhaeya aapke liye !!!
Sharad Purnima is observed on the night of full moon of Ashvina. The Moon-good is also the lord of herbs, seeds, the Brahmins, waters and Nakshatras or Constellations. It is believed that on Sharad Purnima, Amrit or elixir is being showered on the earth by the Moon through his beams.
Sharad Poornima when full moon comes to bless us, it is also the time when Krishna had its Maha raas lila, a time beautiful fragrance of love and celebration. Use our Sharad Purnima Greeting / picture message on orkut scrap, facebook or anywhere you want.
Happy Sharad Poornima Mubarak to all of you from Shayari Online Team
Friday, August 17, 2007
Yeh haq hai tumhe
Tum Mujhe Bhool Bhi jao Toh Yeh Haqq Hai Tumhe,
Meri Baat Our Hai maine toh Mohabbat ki Hai…!!
Zalim tha wo aur zulm ke aadat bhi bahut thi – Kaleem Ajiz
Zalim tha wo aur zulm ke aadat bhi bahut thi
majabur the hum us se muhabbat bhi bahut thi
us but ke sitam sah ke dikha hi diya hum ne
go apni tabiyat mein bagavat bhi bahut thi
vaqif hi na tha ramz-e-muhabbat se wo warna
dil ke liye thodi si inayat bhi bahut thi
yun hi nahi mashur-e-zamana mera qatil
us shakhs ko is fan mein maharat bhi bahut thi
kya daur-e-gazal tha ke lahu dil mein bahut tha
aur dil ko lahu karne ke fursat bhi bahut thi
har sham sunate the hasinon ko gazal hum
jab mal bahut tha to sakhavat bhi bahut thi
bulava ke hum ‘ajiz’ ko pasheman bhi bahut hain
kya kijiye kambakht ke shoharat bhi bahut thi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kaleem Ajiz
Ruthe Hue Ko Manana Zindagi Hai
Tum Dil Ki Baaten Kya Samjho,
Tum Dil Ka Lagana Kya Jano,
Tum Aag Lagana Seekh Gaye,
Tum Aag Bujana Kya Jano,
Ek Baar Agar Tum Rooth Gaye,
Hum Tum Ko Mana He Lain Gay
Magar
Ek Baar Agar Hum Rooth Gaye
Tum Hum Ko Manana Kya Jano
Kuch Sath Chaley Kuch Chhor Gaye
Waadey Jo Kiye Wo Tor Gaye
Saathi To Banate Rehte Ho Magar
Tum Sath Nibhana Kya Jano…!
wohi taj hai wohi takht hai wohi zeher hai wohi jam hai – Bashir Badr
wohi taj hai wohi takht hai wohi zeher hai wohi jam hai
ye wohi khuda ke zamin hai ye wohi buton ka nizam hai
bade shauq se mera ghar jala koi aanch na tujhape aayegi
ye zuban kisi ne kharid li ye qalam kisi ka gulam hai
main ye manata hun mere diye teri aandhiyon ne bujha diye
magar ik jugnu hawaon mein abhi roshni ka imam hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Bashir Badr
Jo bhi bura bhala hai ALLAH janata hai – Akhtar Shirani
jo bhi bura bhala hai ALLAH janata hai
bande ke dil mein kya hai ALLAH janata hai
ye farsh-o-arsh kya hai ALLAH janata hai
pardon mein kya chupa hai ALLAH janata hai
jakar jahan se koi vapas nahi hai aata
wo kon si jagah hai ALLAH janata hai
neki-badi ko apne kitna hi tu chupaye
ALLAH ko sab pata hai ALLAH janata hai
ye dhup-chaon dekho ye subah-sham dekho
sab q ye ho raha hai ALLAH janata hai
kismat ke naam ko to sab janate hain lekin
kismat mein kya likha hai ALLAH janata hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Akhtar Shirani
Husn ko be-hijab hona tha – Majaz Lucknawi
husn ko be-hijab hona tha
shauq ko kamayab hona tha
hijr mein kaif-e-iztarab na puch
khun-e-dil bhi sharab hona tha
tere jalvon mein ghir gaya aakhir
zarre ko aafatab hona tha
kuch tumhari nigah kafir thi
kuch mujhe bhi kharab hona tha
raat taron ka tutana bhi ‘majaz’
bais-e-iztarab hona tha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Majaz Lucknawi
Thursday, August 16, 2007
Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga
Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga
Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga
Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga
Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga
Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga…!!!
Bana gulab to kanten chubha gaya ik shakhs – Obaidullah Aleem
Bana gulab to kanten chubha gaya ik shakhs
hua chirag to ghar hi jala gaya ik shakhs
tamam rang mere aur sare khvab mere
fasana kah ke fasana bana gaya ik shakhs
main kis hawa mai udun kis faza mai laharaun
dukhon ke jal har-su bicha gaya ik shakhs
palat sakun main na aage badh sakun jis par
mujhe ye kon se raste laga gaya ik shakhs
muhabbaten bhi ajib us ke nafaraten bhi kamal
meri tarah ka hi mujh mai sama gaya ik shakhs
wo mahatab tha marham-ba-dast aaya tha
magar kuch aur siva dil dukha gaya ik shakhs
khula ye raz ke aaina-khana hai duniya
aur is mai mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Obaidullah Aleem
Wo gazal valon ka uslub samajhate honge – Bashir Badr
Wo gazal valon ka uslub samajhate honge
chand kahate hain kise khub samajhate honge
itni milati hai meri ghazlon se surat teri
log tujh ko mera mahbub samajhate honge
main samajhata tha muhabbat ke zaban khushbu hai
phul se log ise khub samajhate honge
bhool kar apna zamana ye zamane wale
aj ke pyar ko mayub samajhate honge
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr
I Hate to Love My Self
Before I Could Love Somebody I Have To Love Myself-I Have To Love Me More Than I Love Somebody Else
I Can’t Continue Putting Him First-I Have To Gain Some Self Worth.
I Can’t Make Him Happy When I’m Sad-When I’m Gone He Will Realize What He Had.
I Can’t Take This Pain No More-I Know To Him I Just Got To Close The Door.
I Can’t Keep Crying Over Him When I Know He Doesn’t Love Me-I Have To Wake Up I Have To Finally See.
I Wasn’t Meant For Him-He Wasn’t Meant For Me-Why Am I Finding It So Hard To Just Set Him Free.
So Many Years I Tried And Tried-So Many Times I Know In My Heart That He Lied.
All Time I’ve Wasted I Can’t Get Back-I Need Someone To Give Me The True Love That I Lack.
If You Loved Me He Would Have Put Me Above All-He Wouldn’t Expect Me To Be There At His Every Beck And Call.
He Would Left Me Up Instead Of Putting Me Down-He Would Have Appreciated The True Loved He Found.
Instead He Caused Me So Much Hurt And Pain-Drowning My Tears In The Falling Rain.
God, Please Give Me The Strength To Just Let Him Go-Why Do I Still Play The Fool, When I Know.
Love May Hurt Sometime But It Doesn’t Hurt This Bad-Why Am I Trying To Make Him Happy When I’m Truly Sad?
I Have To Put Myself First I Have To Love Me-Why The Hell He Won’t Just Let Me Be.
Love Is So Easy To Fall In, And So Hard To Fall Out-I Know In My Heart I Could Do Without.
I Just Don’t Know How To Make Him Go Away-How Do I Get My Heart From Wanting Him To Stay?
I Need Someone To Give Me A Love That Is True-And I Know Now That It Is Not You….
Birthday Shayari Orkut Scraps
Kay Teray Janam Din par
Khuda Paak!
Tujhay who sub kuch Ata karay
Jis ki Tammanna Teray Dil nay Ki,
Har who Khuahish jo teray labon par
Machalti ho
Poori Ho!
Aur teri yeh Roshan Ankhain Sada Chamkain
Teri MAsoom muskurahat
Sada teray labon ka Mehwar ho
Khushiyun say tera daman Hameesha Bhara rahay
Aur Khuda Paak!
Teri Umer Daraz Karain
Ameen
Hindi Rakhi Sms
Godess Laxmi, The Consort Of Lord Vishnu,
Wished The Lord To Be Back At Vaikunth.
Disguised As A Brahmin Woman
She Went To Bali To Seek Refuge Till Her Husband
Returned Home After Finishing Some Important Task.
King Bali Obliged.
With Her Came The Happiness And Wealth.
All Auspicious Things Happened.
Wednesday, August 15, 2007
Tum Late Kion Aye Ho
Teacher: Tum late kion aye ho?
Student: Ammi Abbu lar rahy thay eslie
Teacher:Wo lar rahay thay tu tum kion late aye
Student: Mera ek joota ammi ke pas tha owr ek abbu ke pas
Lost my all contacts
Boy texts his GF: Jaan,
I cant live without you Will you marry me?
*KILLING Reply*
girl:- Kon mar raha hai ab? I lost all my contacts
Wishing A Happy New Year
Today iz d last day ov 2009 ,
It’z a request frm my side 2 u tha if i ever hurt u r let u down !
I deeply appoljize fr all my works and i m pretty much hopefull that u would be ma
bst part ov d luf in 2010 nd rest ov d yearz
Submit By: Ali Hassan
Dayam pada hua tere dar par nahi hun main – Mirza Ghalib
Dayam pada hua tere dar par nahi hun main
khak aisi zindagi pe ke paththar nahi hun main
q gardish-e-mudam se ghabara na jaye dil
insan hun, pyala-o-sagar nahi hun main
yarab! zamana mujh ko mitata hai kis liye
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main
had chahiye saza mein uqubat ke waste
aakhir gunahagar hun, kafir nahi hun main
kis waste aziz nahi janate mujhe
lal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main
rakhate ho tum qadam meri aankhon se q dareg
rutabe mein mahr-o-mah se kamatar nahi hun main
karte ho mujhako mana-e-qadambos kis liye
kya aasman ke bhi barabar nahi hun main
‘ghalib’ wazifakhwar ho, do shah ko dua
wo din gaye ki kahate the “naukar nahi hun main”
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
Tuesday, August 14, 2007
Diwali Shayari Sms Messages
dali ne dali par nazar dali~~~~
kisi ne idhar se nazar dali~~~~
kisi ne udhar se dali~~~~
hamne bhi dali par nazar dali~~~~
lekin doli ke baap ne uski sadi kahi or kar dali~~~~
– — — —- —–
dosto ka hath ho,
Relince- ka sath ho,
plateform- ka satya- nas ho,
mama sakuni- ka vinash ho,
or IPL ki aasirvad se,
aapke jeewan me noto ki barsat ho…
happy deewali
ful advance
Kundi Na Karhka
Wo aaj maira naam tak bhool gayi “Faraz”
.
.
Jo kahti thi “kundi na karhka, seedha andar aa”
Zehanon mein khayal jal rahe hain – Ahmed Nadeem Qasmi
Zehanon mein khayal jal rahe hain
sochon ke alav-se lage hain
duniya ke girift mein hain saye
hum apna vujud dhundhate hain
ab bhukh se koi kya marega
mandi mein zamir bik rahe hain
mazi mein to sirf dil dukhate the
is daur mein zehan bhi dukhe hain
sir katate the kabhi shahanshah
ab log zuban katate hain
hum kaise chudayen shab se daman
din nikala to saye chal pade hain
lashon ke hujum mein bhi hans den
ab aise bhi hausale kise han
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Nadeem Qasmi
Shayari on Eyes
Aankhein Hain Jheel Si, Yaan Koi Bhanwar Hai
Aur Uspey Bindiyaan Jaise Ghazab Ki Sanwar Hai.
Hai Is Qadar Unki Adao.n Mein Khumaari , Ki
Jahan Bhi Jate Hain Hota Bas, Ajib Hi Manzar Hai.
Jaane Kya Hoga Wo Jab Aayenge Be-parda Nazar
Abhi Se Hai Haal Yahi Jabki , Woh Andar Hai.
Kyun Na Karun Main, Unhe Dekh Tamanna Koi
Sarapa Sadgi Bhara Bas , Woh To Samandar Hai.
Jab Nahi Hota Unka Khayal To Lagta Hai Yun Ki
Jaise Dil-Dil Nahi Mera , Bas Koi Khandar Hai.
Sochta Hoon Kitna Khushnashib Hun Main Shihab
Ki Khuda Ne Baksha Mujhe Aisa, Hasin Dilbar Hai.
khuda se mangtaa bhi hai toh kisi aur ka saath
Shayari Bewafa Shayari
Juda Honay Ka Andesha juda hony se pehle tha,
Wo mujh se intehai khush khafa hone se pehle tha,
Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo,
Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hone se pehle tha,
Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,
Bohat hi ba’wafa wo bewafa hone se pehle tha.
Monday, August 13, 2007
Police Sardar Sa
Police:
Darwaza kholo tumhari biwi truck k neechy aa kr paper jesi ban gai hai.
Sardar:
Tay darwaza kholny di ki zarurat a thallon ee phara day.
sum1 touches U
When sum1 touches U & U dnt feel it, its Ignorance!
When sum1 touches U & U feel it, its Luv!
When nobody touches U & still U feel!
Nas ja putter jin E
Log Mausam Ki Tarha Badal Jaate Hain
Tujh Se Milnay Ko Kabhi Hum Jo Machal Jaate Hain
To Khyalon Me Bohut Door Nikal Jaate Hain
Gar Wafaun Me Sadaqat Bhi Ho Or Shiddat Bhi
Phir To Ahsaas Se Patther Bhi Pighal Jaate Hain
Uski Aankhon K Nashe Me Hain Jab Se Doobe
Lar-Khratay Hain Qadam Or Sambhal Jaate Hain
Bewafayi Ka Mujhe Jab Bhi Khyaal Aata Hai
Ashk Rukhsaar Pe Aankhon Se Phisal Jaate Hain
Piyar Me Aik Hi Mausam Hai Baharon Ka
Log Mausam Ki Tarha Kese Badal Jaate Hain ??
Besabab bat badhane ke zarurat kya hai – Shahid Kabir
Besabab bat badhane ke zarurat kya hai
hum khafa kab the manane ke zarurat kya hai
aap ke dam se to duniya ka bharam hai qayam
aap jab hain to thikane ke zarurat kya hai
tera kucha, tera dar, teri gali kafi hai
bethikano ko thikane ke zarurat kya hai
dil se milane ke tamanna hi nahi jab dil mein
hath se hath milane ke zarurat kya hai
rang aankhon ke liye bu hai damagon ke liye
phul ko hath lagane ke zarurat kya hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shahid Kabir
Mohabbat Mein Yehi Khoof Kion Musallat Hai
Mere Siwa Bhi Kisi Se Usey Mohabbat Hai…..
Yeh Baat Samajh Main Aii Nahi
Yeh Baat Samajh Main Aii Nahi
Mama Ney Mujhey Samjahi Nahi
Main Kaisey Mithi Baat Karo
Jab Mey Ney Mithai Khai Nahi
Baji Bhi Pakati Hain Halwa
Phir Woh Bhi Kyon Halwai Nahi
Yeh Baat Samaj Main Aii Nahi
Jab Naya Mahina Ata Hai
Bijli Ka Bill Ajata Hai
Halnakey Badal Bey Chara
Yeh Bhi Muft Lutata Hai
Phir Hum Ney Apney Ghar Bijli
Kyon Badal Sey Lagwai Nahin
Agar Bili Shair Ki Khala Hai
Phir Hum Ney Isey Kyon Palla Hai?
Kia Shair Bohot Nalaik Hai
Khala Ko Maar Nikala Hai
Yah Jungle Key Raja Key Han
Kia Milti Doodh Malai Nahi
Yeh Baat Samajh Main Aii Nahi
Kyon Lambay Baal Hai Bhalo Key
Kyon Uss Ki Tind Karai Nahi
Kia Woh Bhi Ganda Bacha Hai?
Ya Uss Key Abbo, Bhai Nahi?
Yeh Iss Ka Hair Style Hai
Ya Jungle May Koi Naie Nahi?
Yeh Baat Samjah Main Aii Nahi
Jo Tarey Jilmil Kartey Hai
Kia Unn Ki Chachi, Taii Nahii
Hoga Koi Rishta Suraj Sey?
Yeh Baat Hamain Batlai Nahin?
Phir Chanda Kaisa Mamoon Hai
Jab Ammi Ka Woh Bhai Nahi
Yeh Baat Samajh Main Aii Nahi
Ammi Ney Mujhey Samjahi Nahi !!!!!
Mera patharon sa garoor tha
meri rooh jesay kuchal gya,
koi shaks aisy badal gya,
ye kis ka harf-e- dua raha,
k main girty girty sanbhal gya,
teri yaad jab aany lagi,
mera dard jesy behal gya,
meri qismaton ka qaafla,
kisi aur janib nikal gya,
tumhain dekhty hain bysabab,
koi khawab mera machal gya,
mera patharon sa garoor tha,
magar tery aqgy pighal gya.
1 Truck Dusray Truck Ko Rassi Se
1 truck dusray truck ko Rassi se bandh kr leja rha tha.
Ye dekh kr ek SRDAR hans hans kr lotpot hogya or kehne lga:
ek Rasi ko le janay k lye do do truck…!
Sunday, August 12, 2007
Khuddariyon ke khoon ko arzan na kar sake – Sahir Ludhianvi
Khuddariyon ke khoon ko arzan na kar sake
hum apne jauharon ko numayan na kar sake
hokar kharab-e-may tere gham to bhula diye
lekin gam-e-hayat ka daraman na kar sake
tuta talism-e-ahad-e-mohabbat kuch is tarah
phir aarzoo ke shama furezan na kar sake
har shay qarib aake kashish apni kho gai
wo bhi ilaj-e-shauq-e-gurezan na kar sake
kis darja dil-shikan the mohabbat ke hadase
hum zindagi mein phir koi araman na kar sake
mayusiyon ne chin liye dil ke val-vale
wo bhi nishat-e-ruh ka saman na kar sake
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi
Subah shayari
Har Subah Teri Muskurati Rahe
Har Sham Teri Gungunati Rahe
Meri Dua Hai Ki Tu Jis Se Bhi Mile
Har Milne Wale Ko Teri Yaad Aati Rahe
Subah Juda Hai, Raat Juda Hai
Apni To Her Baat Juda Hai
Tumse Bichar Ker Aisa Laga
Jaise Dua Mai Haath Juda Hai
Sab To Aate Rahte Hai
Tum Aao Tho Baat Juda Hai
Share with us more Subah shayari in Comments Section below.
Tere Hote Howe Bhi Tanhai Mili Hai
Is qadar hunarmand hai deoband ka hosla,
kya bhul gaye wo raste me Qazi ka faysla 🙂
udh gaye hawa ki lehar me wo hindustan ke talabhghar,
jo kehte the ikhtiyar karlo tareeka e AbuAnsar 🙂
asal me agar zindagi ka kissa unka hota,
to zamane me aadmi, na jhoota na sacha hota 🙂
mohabbat hi mohabbat hoti apke har bandd me,
mehman-nawazi ka qayda hota deoband me 🙂
mohabaat se maangloge to aap ko bhi ek gajra dunga,
hamid ansari ke saath apko ansar ka shajra dunga 🙂
har shakhs dunia me sukoon ki guzaarish akhir karega,
Ansar kheme ki rehbari ab NASIR Karega 🙂
Allama Iqbal ameer-e-hind hai hamara,
jo kehta hai ye in alfazo me zikr hai tumhara,
” Khudi ko kar buland itna, ki har taqdeer se pehle, khuda bande se pooche, bata teri raza kya hai”
for laqab assistance, kindly check facebook profile of qazi fakhir ahmad and Indian Dad 🙂
Takra hi gai meri nazar un ke nazar se – Faiyaz Hashmi
Takra hi gai meri nazar un ke nazar se
dhona hi pada hath mujhe qalb-o-jigar se
izhar-e-mohabbat na kiya bas isi dar se
aisa na ho gir ja un kaheen un ke nazar se
ae zauq-e-talab josh-e-junun ye to bata de
jana hai kahan aur hum aaye hain kidhar se
‘fayyaz’ ab aaya hai junun josh pe apna
hansata hai zamana main guzarata hun jidhar se
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam: Faiyaz Hashmi
Bollywood Filmi Shayari
From Fanaa Movie
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera Ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe Fanaa Karde…
Tere Dile Mein Meri Saanson Ko Panah Mil Jaye
Tere Ishq Mein Meri Jaan Fanaa Ho Jaye…
Ankhen To Pyar Me Dilki Zuban Hoti Hai,
Sachi Chahat To Sada Bezuban Hoti Hai,
Pyar Mai Dard Bhi Mile To Kya Gabrana,
Suna Hai Dard Se Chahat Aur Jawan Hoti Hai….
Phool Hun Gulaab Ka
Chameli Ka Mat Samjhna
Aashiq Hun Aapka
Apni Saheli Ka Mat Samjhna…
Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun Kisika Ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte…
Rone De Tu Aaj Humko, Tu Aankhe Sujane De
Baho Mein Le Le Aur, Khud Ko Bheeg Jane De
Hai Jo Seene Mein Quaid Dariya, Wo Choot Jayega
Hai Itna Dard Ki, Tera Daaman Bheeg Jayega…
Adhuri Saans Thi Dhadkan Adhoori Thi Adhooren Hum
Magar Ab Chaand Poora Hain Falak Pe Aur Ab Pooren Hain Hum..
Mohabat Tum Se Hi Hogi
Tumhare Zehan Mein Janaa
Ye Kaise Aa Gayi Sochein
Ke Tumko Chod Dunga Main
Mohabat Tod Dunga Main
Nahi Shayad Pata Tumko
Ke Marzi Se Bhala Janaa
Mohabat Chhoot-Ti Kab Hai
Mohabat Toot-Ti Kab Hai
Agar Na Ho Yaqeen Phir Bhi
Toh Naqsh-E-Be Yaqeeni Ko
Mitane Ke Liye Janaa
Main Phir Iqraar Karta Hun
Ke Meri Zaat Ko Tumse
Faqat Tumse Mohabat Thi
Faqat Tumse Mohabat Hai
Muhabat Ki Qasam Mujhko
Ke Jab Tak Saans Jaari Hai
Ke Jab Tak Dil Dhadakta Hai
Ragon Mein Khoon Chalta Hai
Mohabat Tumse Hi Hogi
Mohabat Tum Se Hi Hogi
Mohabat Tum Se Hi Hogi
Share By : Saman Rafiq
14th August 2011 Silent Msg
Is qom ke jawano ki hubul watni ka aalam to dekho mere DOST
Faqat ek Jashane azadi sms karne he ko apna qomi farz samagh bethe hain.
Saturday, August 11, 2007
Andha Hoon
Wife or Husband shop se
nikle to
1 faqeer ne kaha.
“Shehzadi”
5 rupe de do andha hoon.
Husband:
De do,
waqai andha hai…
Dil Ke Bazaar Me
Dil Ke Bazaar Me Doulat Nahi Dehki Jati…!!
Pyar Ho Jaye To Surat Nahi Dekhi Jati…!!
Ek Hi Insan Par Luta Do Sab Kuch
Kyonki Pasand ho Cheez to To Kimat Nahi dekhi Jati
Q zindagi ke reh mein majabur ho gae
q zindagi ke reh mein majabur ho gae
itane hue karib ki hum dur ho gae
aisa nahi ki hamako koi bhi khushi nahi
lekin ye zindagi to koi zindagi nahi
kyon isake faisale hamen manzur ho gae
paya tumhen to hamako laga tumako kho diya
hum dil pe roe aur ye dil hum pe ro diya
palkon se kvab kyon gire kyon choor ho gae
Poet of the poem/ghazal or Nazam:Javed Akhtar
Teray Naam Ho To Ghazal Kahain
Wohee Shaam Kohar Si Shaam Phir
Teray Naam Ho To Ghazal Kahain
Wohee Shaam Jis Ki Ragon Mein Thay
Tere Khaab Ankhon K Rat Jagay
Wohee Subha-E-Dhoop Ki Laali
Teray Aarizon Per Khilay To Phir
Rag-E-Jaan Se Nazm Kasheed Ho
Wohee Rang Ho Wohee Roshni
Wohee Khushbuon Ka Hajoom Ho
Wohee Ek Pal Tere Deed Ka
Jo Miley To Daar Ki Aut Mein
Sabhi Qehqahay Chhalak Uthein
Sar-E-Loh , Shaam-E-Firaaq Phir
Gham-E-Ishq Moj-E-Naveed Ho
Aey Sitara-E-Shab-E-Zindagi
Idher Aa K Jashn Ho Moatabar
Nazar Aa K Dhang Se Eid Ho
Chede main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse
chede main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse
gahe gul-o-bulbul ke hikayat ko nikhara
gahe kisi shahazade ke afsane sunaye
gahe kya duniya-e-paristan ka nazara
main khoya raha jin-o-malaik ke jahan mein
har lahaja agarche mujhe aadam ne pukara
barason yun hi diljami-e-aurang ke khatir
sau phul khilaye kabhi sau zakhm kharide
main likhata raha hijv bagavat manshun ke
main padhata raha qasrnashinon ke qaside
ubhara bhi agar dil mein koi jazaba-e-sarkash
is khauf se chup tha ke koi honth na si de
lekin ye tilismat bhi ta der na rah paye
aakhir mai-o-mina-o-daf-o-chang bhi tutte
yun dast-o-gareban hua insan-o-khudaband
nakhachir to tadape qafas-e-rang bhi tute
is kashmakash-e-zarra-o-anjum ke fiza mein
kashkol to kya afsar-o-aurang bhi tute
main dekh raha tha mere yaron ne badhakar
qatil ko pukara kabhi maqtal ko sada di
gahe rasn-o-dar ke aagosh mein jhule
gahe haram-o-dair ke buniyad hila di
jis aag se bharpur tha mahaul ka sina
wo aag mere lauh-o-qalam ko bhi pila di
aur aj shikasta hua har tauq-e-talai
ab fan mera darbar ke jagir nahi hai
ab mera hunar hai mere jamahur ke daulat
ab mera junun kaif-e-tazir nahi hai
ab dil pe jo guzaregi be-tok kahunga
ab mere qalam main koi zanjir nahi hai
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Ahmed Faraz
Friday, August 10, 2007
Ghalib shayari in hindi
Rote rahe tum bhi rote rahe ham bhi,
kehte rahe tum bhi aur kehte rahe ham bhi.
Na jaane is jamane ko hamare ishq se kya dushmani thi,
bas samjhate reh gaye tum bhi aur samjhate reh gaye ham bhi
Har ek baat peh kehtay ho tum ke ” tu kya hai?”…
Tumhi kaho ke yeh andaaz-e-guftugu kya hai…
Na sholey main yeh karishma na barq main yeh ada…
Koi batao ke woh shokh-e-thund o khu kya hai…
Yeh rashk hai ke woh hota hai hum-sukhan tumse…
Warna khauf-e-bad’aamozi-e-udu kya hai….
Chipak raha hai badan par lahoo say pairahan…
Hamari jaib ko ab haajat-e-rafu kya hai….
Jala hai jism jahan dil bhee jal gaya ho gaa….
Khuredtay ho jo ab rakh, justuju kya hai…
Ragon main daudtay phirnay ke hum nahi qaa’el…
Jab aankh hi say na tapka to phir lahu kya hai…
Woh cheez jis kay liye ho hamain bahisht azeez…
Siwaey baada-e-gulfaam-e-mushkabu kya hai…
Piyoon sharab agar kam bhee to dekh loon do chaar…
Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-subu kya hai…
Rahee na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi…
To kis umeed pe kahiye keh aarzu kya hai….
Bana hai sheh ka masahib, phiray hai itraata…
Warna shehar main ‘Ghalib’ ki aabru kya hai.
Har ek baat peh kehtay ho tum ke ” tu kya hai?”…
Tumhi kaho ke yeh andaaz-e-guftugu kya hai…
Na sholey main yeh karishma na barq main yeh ada…
Koi batao ke woh shokh-e-thund o khu kya hai…
Yeh rashk hai ke woh hota hai hum-sukhan tumse…
Warna khauf-e-bad’aamozi-e-udu kya hai….
Chipak raha hai badan par lahoo say pairahan…
Hamari jaib ko ab haajat-e-rafu kya hai….
Jala hai jism jahan dil bhee jal gaya ho gaa….
Khuredtay ho jo ab rakh, justuju kya hai…
Ragon main daudtay phirnay ke hum nahi qaa’el…
Jab aankh hi say na tapka to phir lahu kya hai…
Woh cheez jis kay liye ho hamain bahisht azeez…
Siwaey baada-e-gulfaam-e-mushkabu kya hai…
Piyoon sharab agar kam bhee to dekh loon do chaar…
Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-subu kya hai…
Rahee na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi…
To kis umeed pe kahiye keh aarzu kya hai….
Bana hai sheh ka masahib, phiray hai itraata…
Warna shehar main ‘Ghalib’ ki aabru kya hai…
Share with us more Ghalib shayari in hindi .in comments section below.
Bhoolna shayari
Kahin Kahin Se Har Chehra Tum Jaisa Lagta Hai
Tum Ko Bhool Na Payenge Hum, Aisa Lagta Hai
Aisa Bhi Ik Rang Hai Jo Karta Hai Baatein Bhi
Jo Bhi Isko Pehan Le Vo Apna Sa Lagta Hai
Hum Kya Bhichhade Bhool Gaye Riston Ki Sharafat Hum
Jo Bhi Milta Hai Kuch Din Hi Acha Lagta Hai
Ab Bhi Yoon Milte Hain Humse Phool Chameli Ke
Jaise Inse Apna Koi Rishta Lagta Hai
Aur To Sab Kuch Theek Hai Lekin Kabhi-Kabhi Yoon Hi
Chalta-Firta Shehar Achanak Tanha Lagta Hai
Tujhe bhoolna bhi chahoon to bhulaoon kaise..
Teri yaad se apna daaman chhudaoon kaise..
Meri har khushi, har muskaan mohtaaz hai teri..
Tujhko iska ehsaas dilaoon kaise..
Badal ke meri Zindagaani, tu mujhse juda jaye..
Tujhe kho dene ki kasak dil se mitaoon kaise..!
Foolo ka hai yeh khilte hai bikher jate hai,
log duniya me milte hai bicchad jate hai,
mushkil hota hai logo ko bhoolna,
jo aankho ke raaste dilme utar jate hai
Share with us more …Bhoolna shayari .in comments section below.
Life Is Like Flowing Water
Life Is Like Flowing Water
If It Stops,It Gets Stagnated,
If It Flows It Turns Into A Waterfall,
A Stream,A River And Ocean
Similarly Life Has Joys And Worries,
But Its Like Sunrise After Night
So After Each Sad Event There Is A Happy Event
So Live Life To Its Fullest
Enjoy Each Second Of Life
Life Is Precious ,Respect It
Thank Thou For It
Naraz shayari sms
Vo naraz hai humse ki hum kuch likhte nahi,
Kaha se laye lafz jab mile nahi,
Dard ki juban hoti to bata deta shayad,
Wo zakhm kaise kahe dikhte hi nahi.
Gilay chahy boht krna !
rulana or boht larhna !
Suno Naraz mat hona !
Kabi Aisa jo ho jaey !
K teri Yad se Ghafil
ksi Lamhe jo ho jaey!
Bina dekhe teri surat !
Kisi shab Main jo so jaon !
To sapno men chale ana !
Mujy Ehsas dila jana !
Magr…
Naraz mat hona
Ek Yaar Khafa Hai Humse
Woh Pyaar khafa Hai Humse
Ek Zindagi Tha Jo Meri,
Woh Dildar Khafa Hai Humse
Kehta Tha Woh Humse
Na Khafa Hoga Kabhi Humse
Bichad Bhi Jayen Jeevan Mein
Na Hoga Juda kabhi Dilse
Share with us more Naraz shayari sms in comments section below.
Thora Hijaab Rehnay de
Abi na khul abi thora hijaab rehnay de..
Kuch aur din mujhe yunhi kharab rehnay de..!
Ujaar de mere dil ki tmam dharti ko..
Bus aik shehr, mera shehr-e-khwab rehnay de..!
Wohi hua na bicharnay pe bat aa pohnchi..
Use kaha tha puranay hisab rehnay dey..!
Meri hatheli pe likh dey hr ik nakaami..
Mere Khuda tu usy kaamyab rehnay de..!
Warq warq na tu aisy lakeeren khenchta ja Mohsin..
Kitab-e-umer men koi to baab rehnay de..!!
Wafa Mein Ab Yeh Hunar Ikhtayaar Karna Hai
Wafa Mein Ab Yeh Hunar Ikhtayaar Karna Hai
Woh Sach Kahay Na Kahay Aitbaar Karna Hai
Yeh Tujh Ko Jagtay Rehnay Ka Shouq Kab Se Huwa?
Mujhay Tow Khair Tera Intezaar Karna Hai
Hawa Ki Zad Mein Jalanay Hein Ansouon K Chiraagh
Kabhie Yeh Jashan Sir E Raahguzaar Karna Hai
Woh Muskura K Naye Waswason Mein Daal Geya
Khiyaal Tha K Ussay Sharmsaar Karna Hai
Chalo Yeh Ashk Hi Mooti Samajh K Baich Ayen
Kisi Tarah Tow Humein Roozgaar Karna Hai
Khuda Khabar Yeh Koi Zid K Shouq Hai Mohsin
Khud Apni Jaan K Dushman Se Piyaar Karna
(Mohsin Naqvi)