Allama Iqbal Ramadan poetry in urdu
“Goongi Ho Gai Aaj kuch Zuban kehty kehty,
Hichkicha Gya Main khud ko Musalman kehty kehty,
Ye baat Nahi k Muj ko us Par yaqeen Nahi,
Bas Dar Gya khud ko saheb-e-Imaan kehty kehty,
Tofeq Na hoi Mujhy Ek waqt ki Namaz ki,
Aur Chup Hoa Moazan Aazaan kehty kehty,
Kisi kafir Ne jo Poocha k ye kia Hay Maheena,
Sharam se pani hath sy gir gya Ramzan(Ramadan) kehty kehty,
Meri almari Main Gard se Atti kitaab ka Jo Poocha,
Main Garh Gya Zameen Main Quran kehty kehty,
Ye sun k Chup sadh Li Us Ne,
Yoon laga jese ruk gaya wo mujhay Hewaan kehty kehty..”
No comments:
Post a Comment