Wednesday, April 30, 2008

Have Given Up

i Have Given Up…!


i Have Given You ToO Much…..


Dont you Know…..


I m Not A Testing MateriaL….

Zindagi ke Thakkan Se

ZinDaGi Ki ThaKKan MEiN GUm HO GaYa,,,
+
+
WoH LaFz JiSSy SaKoon KeHty HAiN.

Best Lines For All

1.Being happy doesn’t mean that every thing is perfect,It means you have decided to see beyond the imperfections.
2. Crying isn’ t showing weakness, its showing that u have been strong for too long.
3. Asking Someone for 4givness doesnt mean that u are coward but it means u want to save the realationship.
4. Accepting Others talent doesnt mean that u are inferior but it means that you are wise enough to recognize GOD’S beauty in every human being..

Watch Around

There are so many people out


there who will tell you that you can not.


What you have got to do is turn around


and say watch me

Some Virus Cannot be Removed

1 day an Angel tested me..


He erased all my memory & asked


“do u remember any 1 now” ??


I told ur name .


Angel Smiled & said:


Sum Viruses can’t be Removed.”

Tuesday, April 29, 2008

Ajab Hai RASAM-E-ULFAT

ajab hai


RASAM-E-ULFAT ay


FARAZ


dil hamara hai magar
IKHTIAR
kisi aur ka hai…

Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa



Nazar Main Zakhm-E-Tabbasum Chupa Chupa K Mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujh Se Muskera K Mila


Wo Humsafar Ke Mere Tanz Per Hansta Tha Bohat
Sitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke Mila


Mere Mizaj Pe Hairaan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga Ke Mila

Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
Kay Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke Mila


Main Jis Ko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka Ke Mila


Main Zakham Zakham Badan Lay Ke Chal Dia KASHI
Wo Jab Bhi Apni Qaba Per Kanwal Saja Ke Mila



Doob Jate Hain Umeedon K Safeene Is Me

Doob Jate Hain Umeedon K Safeene Is Me

Me Na Manuga K Aansu Hai Zara Sa Pani...

Doob Jate Hain

Meri Zindagi Pe Na Muskara



Meri Zindagi Pe Na Muskara Mujhe Zindagi Ka Ilm Nahi
Jisse Tere Ghum Se Ho Vasta Wo Khaza-N Bahaar Se Kum Nahi


Mujhe Raas Aay Khuda Karay Ye Ashtaba Ki Sa-Tein
Inhein Aetbaar-E-Wafa Tu Hai Mujhe Aetbaar-E-Sitam Nahi


Wohi Karwa-N, Wohi Raste, Wohi Manzelein, Wohi Marhalay
Mgr Apne Apne Maqam Per Kabhi Tum Nahi Kabhi Hum Nahi


Na Wo Shan-E-Jabr Shabab Hai Na Wo Rung-E-Qehr-E-Ataab Hai
Dil-E-Beqarar Pe Hai In Dinon Sitam Yehi K Sitam Nahi


Na Fana Meri Na Baqa Meri Mujhe Aay *Shakeel* Na Dhoondeye
Mae Kissi Ka Husn-E-Khiyaal Hoon Mera Kuch Wajood-E-Adam Nahi



Fasala to hai magar koi fasala nahi



fasala to hai magar koi fasala nahi
mujhase tum juda sahi dil se to juda nahi
aasman ka fikr kya aasman khafa sahi
aap ye bataiye aap to khafa nahi
kashtiyan nahi to kya hausale to pas hain
kah do nakhudaon se, tum koi khuda nahi
lijiye bula liya aap ko khayalon mein
ab to dekhiye hamen koi dekhata nahi
aaiye chirag-e-dil aj hi jalayen hum
kaisi kal hawa chale koi janata nahi


Poet of the poem/ghazal or Nazam:  Shamim Karhani



Tusi Dum Darood Walay Oo Yha Bumb Barood Walay

1 sardar bus main betha


us k samnay 1 molvi beth gia


sardar dar gia or bola “molana saab tusi dum darood walay oo yha bumb barood walay?”

Wo dil hi kya tere milane ke jo dua na kare – Qateel Shifai



Wo dil hi kya tere milane ke jo dua na kare
main tujh ko bhool ke zinda rahun khuda na kare
rahega sath tera pyar zindagi banakar
ye aur baat meri zindagi wafa na kare
ye thik hai nahi marata koi judai mein
khuda kisi se kisi ko magar juda na kare
suna hai usako mohabbat duayen deti hai
jo dil pe chot to khaye magar gila na kare
zamana dekh chuka hai parakh chuka hai use
“qateel” jan se jaye par iltaja na kare


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qateel Shifai



Umar Kat Rehi

Umar kat rehi hai judai ke ghum mein
magar ankhon ko karta nahien num mein


na jane kab ashaar ki aamad ho jaye
sda jaib mein rakhta hoon qalam mein


zindgi ki uljano mein ulajh ke raeh gya
wagarna tum se aa kar milta sanam mein


duniya mein char din ka mehman hoon
tera pyar yaad rakhon ga hamdam mein


Asghr duniya se guzar jaye bhi to kya
kabi na bhoolon ga tere karam mein

Monday, April 28, 2008

Ye Barish Khoobsorat Hai - Parveen Shakir Barish Shayari

Parveen-Shakir-Barish_Shayari

Parveen Shakir - Barish Poetry

Ye Barish Khoobsorat Hai,
Ik Arsy Baad,
Meri Rooh Mein
Seraab Hone Ki Tamanna Jag Uthi,
Mager Badal Ke Raste Mein
Bohat Pair Aate Hain,
Mein Pal Bhar Ke Liye Sadaab Hoon,
Aur Apni Baqi Umer,
Phir Sehraon Mein Katoon?
Mein Apni Piyaas Par Razi Rahon Gi,
Mere Aansu Meri Kafalat Ke Liye Kafi Rahein Ge…

Sunday, April 27, 2008

A Woman Her Age

Never Ask A Woman Her Age..!


A Man, His Salary..!!


And… Now-A-Days…


A Student, His Percentage..!!


It Hurts 😛


Share if you agree my friends :)

Eik Marasi Aur Doctor

1 Mrasi Ki BV Ka
Bukhar Nhi Utr
Raha Tha
Usy Doctor Ny
Mashwra Dya K
Molvi Sahab Say
Dam Krwa Lo
Molvi Sahab
Rozana Dam
Krny Ghar Aa Jatay
Mirasi Phir
Doctor K Pass
Gya Or Bola
Mola Khush
Rakhy Changa
Mashwara Dita
c
“Bukhar Ty magro
Leh Gya ay Hun
Molvi Ni Lehnda”

Chaha Kisi Ne Mujh

Ye gumaan tha k chaha ha bohat kisi ne mujhe


Mein aziz to sabi ko tha magr zarortu ki tarah

Ek khubsurat teacher ne

Ek khubsurat teacher ne 3 bacho ko thapar mara


Punjabi bacha: sorry mam


Pathan bacha: hamara kya galti hai mam


Karachi wala: Aaaaahhh!


maza a gya. :p :p

Shaher Ki Es Daud Me Daud Ke Karna Kya Hai?



Shaher Ki Es Daud Me Daud Ke Karna Kya Hai?
Jab Yehi Jeena Hai Dosto To Phir Marna Kya Hai?


Paheli Barish Me Train Late Hone Ki Fikr Hai
Bhul Gaye Bhigte Hue Tahelna Kya Hai?


Serails Ke Kirdaaro Ka Saara Haal Hai Malum
Par Maa Ka Haal Puchhne Ki Fursat Kise Hai?


Ab Ret Pe Nage Pao Tahelte Kyu Nahi?
108 Hai Chanel Phir Dil Bahelte Kyu Nahi?


Internet Ki Duniya Ke To Touch Me Hai,
Lekin Pados Me Kon Raheta Hai Jaante Tak Nahi.


Mobile, Landline Sab Ki Bharmaar Hai,
Lekin Jigri Dost Tak Pahuche Aise Taar Kaha Hai?


Kab Dubte Hue Suraj Ko Dekha Tha Yaad Hai?
Kab Jaana Tha Shaam Ka Woh Banana Kya Hai?


To Dosto Shaher Ki Es Daud Me Daud Ke Karna Kya Hai
Jab Yahi Jeena Hai To Phir Marna Kya Hai?



Pyar Sms Shayari Hindi



Muddat Se Mera Dil Hai K Abaad Nahi Hai
Honton Pe Magar Aaj B Faryaad Nahi Hai


Aata Hai Khayalon Mei Mere Uska He Chehra
Bas Us K Siwa Kuch B Mujhe Yaad Nahi Hai


Phirte Hain Sabhi Log Yahan Sehme Huwe Se
Is Sheher Mein Jaise Koi Azaad Nahi Hai


Dekha Hai Ujarte Huwe Kitne He Gharon Ko
Hai Kon Jo Is Ishq Mei Barbad Nahi Hai


Ik Leher C Uthti Hai Aaj B Mere Dil Mei
Is Leher K Uthne Ka Sabab Yaad Nahi Hai………


Share By : Mujahid Khan



Saturday, April 26, 2008

Time to examine

Independence day is a
good time to examine
who we are and how we got here.


Happy Independence Day !!

Lab-e-Tishnagi Ki Manid Shab-o-Roz

Lab-e-Tishnagi Ki Manid, Shab-o-Roz Qatra Qatra

Mujhe Zeher Mil Raha Hai Teri Be-Rukhi Se Jana...

Lab-e-Tishnagi Ki Manid

Mera zoq tumhari chahat

Kabhi Tumhara Naam Lena, Kabhi Tumhari Baatein Karna


Mera Zoq Tumhari Chahat Or Mera Shoaq Tum Pe He Marna.

Us se kaho ek bar bhool kar aa jaye



“Us se kaho ek bar bhool kar aa jaye,
Jo beeti hai us per wo to suna jaye,

Hans hans k Gham chupanay ka hunar,
Is se kaho hum ko bhi sikha jaye,


Us ki yaad mein tarapta rehta hoon her pal,
Us se kaho mere dil se apna naam to Mita jaye


Arsa hOwa hai chand ko dekhy huwe logo
Us se kaho k Apna chehra to dikha jaye


Aaye bhi to kya de saken ge Us ko
Faqat ek zindagi hai, Wo apny naam likhwa jaye


“Us se kaho ek bar aa jaye” –



Friendship Is The Kind Of Love



Friendship Is The Kind Of Love
That Never Can Grow Old.
Warm And Cozy It Will Stay
When Other Things Are Cold.
Friendship Is A Love So True
It Won’t Be Denied,
Because A Friend Will Always Be
There Close By Your Side.
Boyfriends And Lovers Come And Go
In This Game Of Life We Play,
But A True Friend, No Matter What,
In Your Heart Will Always Stay.
So Hold These Friends Dear To You,
And Never Let Them Go.



Ibn-e-Insha Poetry



Sunte Hain Phir Chhup Chhup Unke Ghar Men Aate Jaate Ho
Insha Saahab Naahaq Jii Ko Vahshat Men Uljhaate Ho


Dil Kii Baat Chhupaanii Mushkil,Lekin Khuub Chhupaate Ho
Ban Men Daanaa,Sha’hr Ke Andar Diivane Kehlaate Ho


Bekal Bekal Rahte Ho, Par Mehfil Ke Aadaab Ke Saath
Aankh Churaa Kar Dekh Bhii Lete Ho, Bhole Bhii Ban Jaate Ho

Peet Men Aise Laakh Jatan Hain, Lekin Ek Din Sab Nakaam
Aap Jahaan Men Rusvaa Hoge, Vaaz Hamen Farmaate Ho


Ham Se Naam Junuun Kaa Qaayam, Ham Se Dasht Kii Aabaadii
Ham Se Dard Ka Shikvaa Karte, Ham Ko Zakhm Dikhaate Ho?



Billi Dum Kuy Hilate He

billi dum kuy hilate he……….?
batano na kyun……..?
batano na kyun ……..?
mein batayo kyun? kyun k!!!!!!!!!! dum bili ko nahi hila sakhti

Friday, April 25, 2008

Mery Zakhm’on Ko Marham Ki Talab Hai

Mery chaaro’n taraf hai dasht-e-be-paaya’n, kahan ho tum?
Mery maathay pe bosa deni wali maa’n! kahan ho tum?
Mujhy jhalsa rahi hai zindagi ki dhoop barso’n se
Meri umeed, meri zeest ka saaman kahan ho tum?
Kharaash’ain daal di hain dil k aainey pe duniya ne
Mery har dukh, mery har dard ka dar-maa’n kahan ho tum?
Mein thak k girney wala hun, mujhy aaghosh mein lay lo!
Ta’aqub mein hai mery gardish-e-dauraa’n, kahan ho tum?
Mery wo dost khush-qismat hain jin ki maee’n zinda hain
Meri nazro’n mein saara sheher hai weeran kahan ho tum
Kahan ho tum? ye dekho mera seena kitna ghayal hai!
Mery zakhm’on ko marham ki talab hai maan! kahan ho tum?

aabalapa koi is dasht mai aaya hoga -Meena Kumari ‘Naaz’



aabalapa koi is dasht mai aaya hoga
varna aandhi mai diya kis ne jalaya hoga


zarre zarre pe jade honge kunvare sajde
ek ek but ko khuda us ne banaya hoga


pyas jalate huye kanton ke bujhai hogi
risate pani ko hatheli pe sajaya hoga


mil gaya hoga agar koi sunahari patthar
apana tuta hua dil yad to aaya hoga


khun ke chinte kaheen poch na lain rehron se
kis ne virane ko gulzar banaya hoga


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Meena Kumari ‘Naaz’



Lamha Lamha Doori Yun Pighalti Hai



Lamha Lamha Doori Yun Pighalti Hai
Jaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti Hai


Ho Lamha Lamha Doori Yun Pighalti Hai
Jaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti Hai


Khwaahishon Ki Shaam Dhalti Hain
Jaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti Hai


La La La …



Teri Aankhen Dikhati Hai
Hamein Sapanen Sitaaron Ke


Ho Ho Ho


Tere Hothon Pe Likha Hai
Jo Tum Bole Ishaaron Mein


Ho Ho Ho


Khwaabon Ke Karwaan Mein Raat Chalti Hai
Jaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti Hain


La La La…


Behakti Shaam Aayi Hai
Tujhe Lekar Ke Baahon Mein


Tujhe Chhu Loon Ke Rakhu Main
Chhupakar Ke Nigaahon Mein


Sharmati Ithlaati Hai Machalti Hai
Jaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti Hain


Ho Lamha Lamha Doori Yun Pighalti Hai
Jaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti Hai


Khwaahishon Ki Shaam Dhalti Hain
Jaane Kis Aag Mein Yeh Shabnam Jalti Hai


La La La …



Ghazab Ki Hain Farmaishen Is Dil-E-Nadaan

Ghazab Ki Hain Farmaishen Is Dil-E-Nadaan Ki,
Wo Hote, Hum Hote Aur Honton Pe Hont Hote...

Shop Par Likha

Pathan Ne Kafan Ki Shop Kholi.


Logon Ne Usay Bohat Mara Qyun?


Qyun K Us Ne Shop Par Likha Hua Tha


Bara Kafan Leny Par Bachay Ka Kafan FREEEE…….

Thursday, April 24, 2008

Break their bones

Dont break ur friends heart Dey hav only 1
.
.
.
.
.
.
Break their bones, Dey hav 206.


Think hatke 😉

JUMMAY ka Khubsurat Tohfa

JUMMAY ka Khubsurat Tohfa. . .
JUMMAY k din Maghrib or Isha ki Namaz k darmyan mey
Surah-e-Fatiha (11) Bar
Surah-e-Kausar (11) Bar
Surah-e-Ikhlas (11) Bar
Parhney sey ALLAH Pak agley Jummey tak Rizq ka Intezam Kar detey hain.
*Yaad sey parhain or dosron ko bhi baatain*
Jumma mubarak!!

Funny Punjabi sms – bijli aggay nai labdi

2 aadmi motor cycle par pankha lay kar ja rahay thay,pankha hawa se ghoom raha tha.
Ek sardar ne dekh liya aur 500 ki texi karwai aur un k peechay lag gaya.
Kuch faslay par un ko roka aur donon ko 1,1 lagai aur bola:
Saaleyo, bijli aggay nai labdi tussi sakootaraan tay pakhay laaye hoay nay.

Kabhi Muskura Kar Jo

**GHAZAL**
Yunhi ajnabi na bana karo
kabhi muskara k mila karo
kabhi sun to lo mera hal_e_dil
kabhi mujh se koi gila karo
teri ik nazar teri ik ada
meray dil ko kardia la pata
mere dost mere hamnawa
mere dil ka koi pata karo
ye tareka e ishq koi to ho
ya wafa karo ya jafa karo
koi faisla mere mehrban
koi rasm tum bhi ada karo
na hi zeest ka koi rasta
na hi khud kashi ka he hosla
mujhay piyar do ya mujhe maar do
kuch kaam tum bhi kia karo……

Wednesday, April 23, 2008

Mere Biwi ko Naraz

1st Friend: meri biwi naraz ho k apna ghar chale gai ha..


2nd: aur Tum apna rab ki kon kon si neymatoon ko jhutlaooge???

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa-Ahmed Faraz



ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chod ke jane ke liye aa
pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa
kis kis ko batayenge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa
kuch to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa
ek umr se hun lazzat-e-giriya se bhi maharum
ae rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye aa
ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummiden
ye aakhiri shammen bhi bujhane ke liye aa
mana ki muhabbat ka chipana hai muhabbat
chupke se kisi roz jatane ke liye aa
jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
aise hi kisi roz na jane ke liye aa


               Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Faraz



Din Raat Na Jaane Mere



Juz Tere Koii Bhii Din Raat Na Jaane Mere
Tuu Kahaan Hai Magar Ai Dost Puraane Mere


Tuu Bhii Khushbuu Hai Magar Meraa Tajassus Bekaar
Barq-E-Aavaaraa Kii Maanind Thikhaane Mere


Shamaa Ki Lau Thii Ke Vo Tuu Thaa Magar Hijr Kii Raat
Der Tak Rotaa Rahaa Koii Sirhaane Mere


Khalq Kii Bekhabarii Hai Ke Merii Rusavaaii
Log Mujh Ko Hii Sunaate Hain Fasaane Mere


Lut Ke Bhii Khush Huun Ke Ashkon Se Bharaa Hai Daaman
Dekh Gaaratgare Dil Ye Bhii Khazaane Mere


Aaj Ik Aur Baras Biit Gayaa Us Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote The Zamaane Mere


Kaash Tuu Bhii Merii Aavaaz Sunataa Ho
Phir Pukaare Hai Tujhe Dil Kii Sadaa Ne Mere


Kaash Tuu Bhii Kabhii Aajaaye Masiihaaii Ko
Log Aate Hain Bahut Dil Ko Dukhaane Mere


Kaash Auron Kii Tarah Main Bhii Kah Sakataa
Baat Sun Lii Hai Merii Aaj Khudaa Ne Mere


Tuu Hai Kis Haal Men Ai Zuudfaraamosh Mere
Mujh Ko To Chhiin Liyaa Ahad-E-Vafaa Ne Mere


Chaaraagar Yuun To Bahut Hain Magar Ai Jaan-E-‘Faraz’
Juz Tere Aur Koii Gam Na Jaane Mere



Tuesday, April 22, 2008

Urdu shayari in english



The old mill long had closed its doors
the rotting wheel would turn no more
no grain to grind, no country stores
where old men sat, told stories, swore…


And rocks that formed the waterfall
became the playground for us all
on summer days, it beckoned, called
beneath the old mill’s rotting walls….


The chill of water, mountain-fed
awakened spirits, long since dead
where millers’ children once were fed
on banks upon which lovers wed.


And yet i hear the echoes still
where laughter of the children filled
those rotting walls upon the hill
‘twas once the home to Freeman’s Mil




Mein gurez kya karta us ke sath chalne se,
Zakham to nahin bharta raaste badalne se,


Ishrat shabana to yaar ki razaa se hai,
Yeh khushi nahin milti sirf sham dhalne se,


Aarzuu ki chingaari kab tak sulag sakti,
Bujh gaya hai dil akhir bar bar jalne se,


Zindagi ka har mohra be-rukhi ke rukh par hai,
Yeh bisaat ultey gi aik chaal chalne se,


Doobta hua suraj kya mujhe ujaaley ga,
Main chamak uthoon shayed chand ke nikalne se.



Wo ek masoom si chahat


Wo ek benam si ulfat


Wo meri zaat ka hissa


Wo meri zeest ka qissa


Mujhe mehsus hota hy


Wo mery pas hy ab b


Wo jub jub yad ata hy


Nigahon may samata hy


Zuban khamosh hoti hy


Magr ye ankh roti hy


Mein khud se poch leta hon


Share with us more Urdu shayari in english .in comments section below.



Bhool Jaaya Karo

” Sunheri BÄÄt ”


” NAIKI ” Kar Ke Aise Bhool Jaaya Karo


.. Jaise ..


” Shaadi ” Karne Ke Baad Husband Muskurana Bhool Jata Hai¿

Monday, April 21, 2008

Banai Kia Khuda Ne Mohni Surat



Banai Kia Khuda Ne Mohni Surat Muhammad Ki,
Hoay Ashiq Wo Jis Ne Dekh Li Surat Muhammad Ki,


Kamal-E-Husn-E-Yousuf Par Faqat Ashiq Zulaikha Thi,
Khuda Khud Jis Pe Ashiq Hai Wo Surat Hai Muhammad Ki,


Musalmanun Ko Jub Jannat K Drwazy Pe Roken Gy,
Hukam Ho Ga K Jany Do Ye Ummat Hai Muhammad Ki..



Is Dard Ki Duniya Se Guzar - Habib Jalib Poetry

Habib-Jalib-Poetry

Urdu Poetry - Dard Shayari

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kion Nahi Jate
Ye Log Bhi Kia Log Hain, Mar Kion Nahi Jate

Hai Kon Zamane Mein Mera Poochne Wala??
Nadaan Hain Jo Kehte Hain Ke Ghar Kion Nahi Jate..
Nadaan = Silly
Shouley Hain To Kion In Ko Bharakte Nahi Dekha??
Hain Khak To Rahon Mein, Bikhar Kion Nahi Jate…
Shouley = Flame; Bharakte = Flashpoint; Khak = Dust; Bikhar = Scattered
Aansu Bhi Hain Aankhon Mein, Dua’in Bhi Hain Lab Par,
Bigrey Hue Halaat, Sanwar Kion Nahi Jate….

Sunday, April 20, 2008

Bus Tera Hona Chahta Hun



Bus Tera Hona Chahta Hun


Usey Kaho Kuch Raaz Hay Mere Seene Mein
Dinn Kum Hein Mere Jeenee Mein
Mujhy Dheeree Dheeree Kehnee Do
Tere Dill Mein Mujhko Rehney Do
Mari Bojhaal Pulkein Kehtiy Hein
Yeh Tujh Ko Tukti Rehtiy Hein
Mein Sub Kuch Khonaa Chahta Hun
Bus Tera Hona Chahta Hun
Ajeeb Khwahish Mein Khoo Jaoun
Teri Godh Mein Sar Rukh Kr So Jaoun
Phir Naa luat Key Aonga
Na Tujhko Kbhi Sataunga
Yeh Mera Tujhsy Wada Hay
Ab Kehdo Jo Tera Irada Hay..!!!



Aik Tum He Kafi

Mujhe yaroon Ki Lambi Qataaron Sy Nahi Matlab


Agr Tum Dil Sy Mery ho jao To Bus Ik Tum Hi Kafi Ho.

Kabhi Jo Toot K Barsa December

Kabhi Jo Toot K Barsa December
Laga Apna Bohat Apna December

Guzar Jata Hai Sara Saal Yun To
Nahi Kat’ta Magar Tanha December

Bhala Barish Se Kya Sairaab Hoga
Tumhare Wasl Ka Piyasa December

Wo Kab Bichra Nahi Ab Yaad Lekin
Bus Itna Yaad Hai K Tha December

Jama Poonji Yehi Hai Umer Bhar Ki
Main, Meri Tanhai Aur Mera December...

Kabhi Jo Toot

Saturday, April 19, 2008

U R SO DhEET

U ¤ ¤¤ ¤¤¤¤


U R ¤¤ ¤¤¤¤


U R S¤ ¤¤¤¤¤


U R SO ¤¤¤¤¤


U R SO ¤¤¤¤T


U R SO ¤¤¤ET


U R SO ¤¤EET


“U R SO DhEET”
hr veley Tarifaan nai hondiyan.

Fairest skin

Beauty is not about having
fairest skin or prettiest face.


It is about having the purest heart

In a School function

In a School function:


K.G boy started closing his EARs with both hands when a girl was about to start her speech,


Others Asked him why r u closing ur ears,


………


He replied : “Dude She is d 1 whm 1 luv..& she is gonna start her speech wid’ My dear,brothers & sisters..” 😉

Friday, April 18, 2008

Urdu shairi



Khaak Dil Ka Diyaar Kar Daala
Phir Se Seena Fugaar Kar Daala


Aur Kitnay Diye Jalao Ge ?
Ghar Ko Tum Ne Mazaar Kar Daala


Phir Hawaaon Se Dosti Karli
Phir Se Dil Daagdaar Kar Daala


Ye Mohabbat Thi Khaas Shay Jis Ka
Tum Ne Kaarobaar Kar Daala


Phir Se Dil Haath Se Gaya Dekho
Phir Mohabbat Ka Waar Kar Daala ???


Wo Jo Basti Basaa Ke Bhool Gaya
Hum Ne Tou Os Se Pyaar Kar Daala


Dil Ko Pehluu Mein Le Le Ke Phirta Hai
Keh Raha Tha Nisaar Kar Daala


Tum Ne Furqat Ke Saaray Lamhon Ko
Zindagi Mein Shumaar Kar Daala


Jo Hawaon Pe Pair Rakhtay Thay
Khaak Ne Khaaksaar Kar Daala


Hum Ne Khusbuu Ki Justuju Mein Batool
Kiun Muqaddar Ko Daar Kar Daala ?


Ab Na Aaya Tou Phir Balaa Se Batool
Hum Ne Tou Intezaar Kar Daala……..!



Hota hai waqif agar har insan apne halat se
Karta hai najane kion phir dagha aik dosare se


Majbor kar hi daiti hai mohabbat milne ko
Bhale lakh musafat ho aik dosare se



Share with us more ...Urdu shairi ..in comments section below



Yaadon ko Tere

Yaadon ko teri hamne khone na diya


ghamo ne bhi chup hone na diya


aankhen toh aaj bhi bhar ayi teri yaad ma


per teri di hue kasam ne hame rone na diya

Thursday, April 17, 2008

Nafraton K dar se

Nafraton K dar se tum muhabbat na chor dena


Aansu’won k dar se tum hasna na chor dena


Chahton k raste me hoti hy haar bhi


Kantoon k dar se tum chalna na chor dena


Jeena mushkil to hy adawaton k shehr me


Marne k dar se tum jeena na chor dena


Milne se pehle bicharne ka khaof bhi hoga


Bicharne k dar sy tum milna na choor daina…!!

An Angle Or Human



Who Is A Father
An Angle Or Human?


He Is Wise , He Is Very Nice
Who Understands His Child From Every Side


Protective And Caring
Great And Daring


He Is A Teacher, He Is A Guide
He Is Loving And Is Always Right


So We Should Pray For His Long Life
As He Is An Indispensable Part Of Our Lives






Wednesday, April 16, 2008

Har Pal Usey Sochna, Har Pal Usey Khojna - Sad love Poetry

Sad Love Poetry

Urdu Poetry - Nazam Shayari

“Ajeeb Hai Mohabbat”
Har Pal Usey Sochna,
Har Pal usey khojna,

Kabhi usey paa laina,
Kabhi usey kho daina…

Mein ajeeb, meri mohabbat us se bhi ajeeb,
Usey yaad karna,
Aur phir roo daina…

Tuesday, April 15, 2008

Sari Umer Tm Ko Pyar Mile

Saari umar tumko pyar mile,
Jo dil mai hy woh hazaar baar milay,
Bichar jate hyn milnay k bad bhi kuch log.
Jo kbi na bichre aisa tumko pyar mile..!

Hindi Love Poetry – Jo Zeist Ka Safar Hai



Ye Jo Zeist Ka Safar Hai
Ye Jo Rasta Hai Mera


Tum Aagar Na Sath Do Gy
To Ye Kis Tarhan Katy Ga


Meri Soch Ki Hadoon Tak
Ye Guman Bhi Keasy Aay


Koi Pal Bina Tumhary
Bhala Keasy Beit Jay


Mery Pas Tum Nahin Ho
Mery Pas Kab Nahin HO


Meri Yaad Key Nagar Mein
Mery Khuwab Key Safar Mein


Meri Soch Ki Tahoon Tak
Meri Aankh Key Bhanwar Mein


Mery Dil O Jaan Mein Tan Mein
Meri Hasratoon Key Ban Mein


Mery Dil Ki Teirgi Mein
Meri Shab Ki Roshni Mein


Haan Tumhin Ho,Har Kahin HO
Mery Pas Tum Nahin Ho


Mery Pas Kab Nahin Ho
Meri Har DUA Ka Mhwar


Bas Aik Aarzoo Tumhari
Aes Aarzoo Key Aagy


Koi Rasta Nahin Hai
Tumhyn Kis Qadar Hai Caha


Ye Tumhyn Pata Nahin Hai!!!



Aap ke yaad aati rahi raat bhar – Makhdoom Moinuddin



aap ke yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar
raat bhar dard ke shamma jalati rahi
gam ke lau tharatharati rahi raat bhar
bansuri ke surili suhani sada
yaad ban ban ke aati rahi raat bhar
yaad ke chand dil mein utarate rahe
chandani jagamati rahi raat bhar
koi divana galiyon mein phirta raha
koi aavaz aati rahi raat bhar


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Makhdoom Moinuddin



Chaand Nikla To Main Logon Se Lipat Lipat Kar

Chaand Nikla To Main Logon Se Lipat Lipat Kar Roya

Gham K Aansu The Jo Khushiyon K Bahany Nikle...

Chaand Nikla To

For All The Years Of Your Lives

Happy Anniversary
and May
your marriage be Blessed with love,
joy And companionship
For all the years of your lives!

Monday, April 14, 2008

Gham e dastaan suna kr

Bs B kr ae BADAL Galti ki ,,


tuje apni Gham e dastaan suna kr.

Teri Yaad Mai Raat Guzar Jati Hai

Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai…
Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai…


Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai…
Neend aati nahin aur raat guzar jaati hai..!!!

Use Pana Use Khona, Usi Ke Hijr Mein Rona - Mohsin Naqvi

Use Pana Use Khona, Usi Ke Hijr Mein Rona,
Yehi Gar Ishq Hai ‘Mohsin’ To Ham Tanha Hi Ache Hain….

Tanha Mohsin
Shared By: Jannat Abbasi

kahan peda hue?

kahan peda hue?
Pathan:North Waziristan.
Miss:spelling btao?
Pathan:miss thehro humko lgta haik hum UK mian peda hua hai:.

tum ko sham sataye

jis waqat tum ko sham sataye


sard hawa dil na behlaye


jis shab soo na pao tum


becheingi kuch barh si jaye


ankh zara si nam ho jaye


jisam thora sa garam ho jaye


samjhoo


.


.


.


tum ko bukhar hy


2 tablet PANADOL kha lena 😉


her waqat shero shairi nahi hoti


Main kavya khan afridi hon


Mohsin, Ghalib, ya Faraz nahi 😛 :/

News make you shocked

From the folowing news which news wil make u shocked & amaze when i told u dis???


1.i m pass wid A+


2.i studied whole


night


3.i cooked food


4.i m in love


5.i m engaged


6.i clean up my


mess


7.i didnt fight


today


8.i m not hungry


today


9.i had my first


crush


reply must..

Sunday, April 13, 2008

Haste Hoe Ro Diya

Aaj dil hasty hasty ro diya,


Mujhe mehsus hua jese kuch kho diya,


Ankhon me itne ansu or


dil me aj aisa dard hua,


Pata nai kisne hame apna bana kr chor diya.

JO NAMAZ K0 AHMIYAT NAHI deta

LamhaE FiqaR


JO NAMAZ K0 AHMIYAT NAHI deta. Usy MARTE Huwe Yeh 3 SAZAIN MiLTi Hen.


1.W0 Zaleel Ho kr Marta Hai.


2.W0 Bh0ka Marta Hai.


3.Samander Ka Pani B Pee lay W0h Pyasa Hi Mare ga

Main Aurat Zaat Thehri Hun,,,,,!






Main Aurat Zaat Thehri Hun,,,,,!
Mujhy Masjid Nahin Jaa’ez…


Tum 5 waqt Jaty Ho,
KHUDA se Mang Lo Mujh Ko!



Reason i am bored

Log out from fb (reason coz em bored)
.
.
.
.
.
.
.
After 5 minute log in fb (reason: em bored 😀 )

Mehfil me chiragon ke

Tum Zara Mera Hath Thaam k Dekho Tu Sahi,


Log Jal Jayenge Mehfil Me Chiragon Ki Tarhan..

Saturday, April 12, 2008

Do not wait for Opportunities

“Do not wait for extraordinary opportunities,
Seize common occasions & make them gr8,
Weak people w8 for opportunities.. strong people make them happen..

Zehar Judai

Aao kisy shab mujhe tot k bikhrta dekho
meri ragon main zehar judai utarta dekho,


kis kis ada se tujhe manga hai rab se
aao kabhi mujhe sajdon mein sisakta dekho,


teri talash mein humne khud ko kho diya
mat aao samne magr kahen chup k humen tarpta dekho.

Muddaton Baad Vo Soorat Jo Dikhaaee Dee Hai



Muddaton Baad Vo Soorat Jo Dikhaaee Dee Hai
Dil Kee Dhadkan Mujhe Aankhon Se Sunaaee Dee Hai
Shaam Se Jaag Rahee Hain Vo Nidaasee Aankhen
Doobte Chaand Ne Khidkee Se Badhaaee Dee Hai
Us Janam Mein Bhee Mulaaqaat Kee Ummeed Naheen
Is Janam Ne To Janam Bhar Kee Judaaee Dee Hai
Hamne Pehle Bhee Ye Khwaabon Ka Safar Dekha Hai
Dhoop Itnee Thee Ke Sehra Ne Duhaaee Dee Hai



Dard jab teri ata hai to gila kis se karen



Dard jab teri ata hai to gila kis se karen
hijr jab tune diya hai to gila kis se karen


aqs bikhara hai tera toot ki aaine mein
ho gayi naam nazar aqs liya kis se karen


main safar mein hun mere sath judai teri
ham-safar gham hai to phir tera pata kis se karen
khil uthe gul ya khile dast-e-hinai tere
har taraf tu hai to phir tera pata kis se karen


tere lab, teri nigahen tere aariz teri zulf
itane zindan hain to is dil ko riha kis ki karen




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Poet Unknown



Wo Samne Aye To Nazron Ko Jhukaa Loon Ga



Wo Samne Aye To Nazron Ko Jhukaa Loon Ga
Dekhoon Ga Nahi Phir Bhi Tasweer Bana Loon Ga


Aana Ho To Aa Jao Ruswayee Nahi Hogi
Dekhega Nahi Koi Palkon Mai Chupa Loon Ga


Jo Hum Per Guzarni Hai Ek Bar Guzar Jaye
Her Gham Ki Tarha Tujh Ko Seene Se Laga Loon Ga


Weeran Agar Dil Ho Aankhon Mai Andhera Ho
Yaadon Ke Diye Apni Palkon Mai Saja Loon Ga


Manzoor Agar Hogi Ruswayi Teri Mujh Ko
Mai Beth Ke Sahil Se Toofaan Utha Loon Ga


Naraz Agar Wo Hain Mere Nasheman Se
Mai Apne Nasheman Ke Tinkon Ko Hata Loon Ga


Kyun Mujh Se Khafa Ho Ker Wo Door Gaye
Baanhon Mai Wo Aa Jayaen Mai Un Ko Mana Loon Ga



Tujh Pe Khul Jati Meri Rooh Ki Tanhai Bhi

Tujh Pe Khul Jati Meri Rooh Ki Tanhai Bhi
Meri Aankhon Me Kabhi Jhank K Dekha Hota...

Tujh Pe Khul Jati

Friday, April 11, 2008

Zindagi Ki Uljhanon Mai

Masroof Hum Bhi Bohat Hain Zindagi Ki Uljhanon Mai
Ay Dost
Par Uljhanon Mai Doston Ko Bhula Dena .Dosti.. Nai Hoti…..

Chashm-e-mayagun zara idhar kar de



chashm-e-mayagun zara idhar kar de
dast-e-kudarat ko be-asar kar de


tez hai aj dard-e-dil saqi
talkhi-e-may ko tez-tar kar de


josh-e-vahashat hai tishnakam abhi
chak-e-daman ko tazagar kar de


meri qismat se khelane wale
mujh ko qismat se bekhabar kar de


lut rahi hai meri mata-e-niyaz
kash! wo is taraf nazar kar de


‘faiz’ takmil-e-arazu malum
ho sake to yun hi basar kar de


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Faiz Ahmed Faiz



Bengali Shayari in Bengali

Typing in Bengali is very easy with EazyType Keyboard for Mobile/Tablets.
EazyType Keyboard provides the option to type Emoji icons in you message like Whatsapp,
😫😭😰😱😹🙈🙉🙏🌹🍅🍌🍸🐘🐗🐔🐫💘💗💟💞💛👚💏💐🐠🐒 these smiley typed from EazyType Keyboard for android phones send type and send them in sms also through EazyType Keyboard


Technology = টেকনোলজি
Science = সাইন্স
Chennai = চেন্নাই


To write a Bengali word সাইন্স Simply type Bengali word in English letters “Science”. EazyType will intelligently convert your English input into Bengali script!
EazyType also converts complicated English word in Bengali like: Science, technology.
you just type English word and press space, English word will be converted in Bengali automatically.


ডাউনলোড লিংক : https://play.google.com/store/apps/details?id=com.srctechnosoft.eazytype.bengali.free
Or you can search it in play store in your android phone and install by the name “EazyType”.

Catch Another Fool

A study has proved that all fools use their THUMB while reading a SMS.
Now its 2 late dont try 2 change ur finger! Catch another fool!

Thursday, April 10, 2008

Eid le ker ate hai khusiya

Eid leka aate hai dher sare khusiya,
Eid mita deta hai insan mai dooriyan,


Eid hai khuda ka aik nayab tabarok,
Eisi liye kahte hai sab EID MUBARAK

Kariya-e-jan mein koi phul khilane aaye – Parveen Shakir



Kariya-e-jan mein koi phul khilane aaye
wo mere dil pe naya zakhm lagane aaye
mere viran darichon mein bhi khushbu jage
wo mere ghar ke dar-o-bam sajane aaye
us se ik bar to ruthun main usi ke manind
aur meri tarah se wo mujh ko manane aaye
isi kuche mein kai us ke shanasa bhi to hain
wo kisi aur se milane ke bahane aaye
ab na puchungi main khoye hue khwabon ka pata
wo agar aaye to kuch bhi na batane aaye
zabt ke shahar-panahon ke mere malik khair
gham ka sailab agar mujh ko bahane aaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Parveen Shakir



Akela Ek Khawaab Hu



Is Anjnabi Duniya Mein,Akela Ek Khawaab Hu
Sawaalo Se Khafa,Chhota As Jawaab Hu
Jo Na Samjh Sake,Unke Liye “KOUN”
Jo Samajh Chuke,Unke Liye Kitaab Hu
Duniya Ki Nazar Mein,Jaane Kyu Chubha As
Sabse Nashili Aur Badnaam Sharaab Hu
Sar Uthakar Dekho,Wo Dekh Raha Hai Tumko
Jisko Na Dekha Usne,Wo Chamakta Aaftab Hu
Dil Se Poochoge,To Dard Ka Sailaab Hu



Maut Tah Buri Cheez Hai Yaaro

Maut tah buri cheez hai yaaro


te mauto buri judai


sabh toh buri udeek sajan di


jheri rakhdi khoon sukayi

My Dear Brothers

In a School function:


K.G boy started closing his EARs with both hands when a girl was about to start her speech,


Others Asked him why r u closing ur ears,
………


He replied : “Dude She is d 1 whom I luv..& she is gonna start her speech wid
‘ My dear,brothers & sisters..” 😉

Aaj Kuch Maangna Hay Tum Say



Aaj Kuch Maangna Hay Tum Say
Aaj Kuch Lena Hay Tum Say
Aaj Kuch Dena Hay Tum Ko
Aaj Kuch Kehna Hay Tum Ko
Na He Koi Khuwahish, Tamanna Na Arzoo
Bas Aik Hi Chah Hai Apni Aur Aik Hi Justaju
Ham Maangtay Hain Tum Say,
Teray Derd O Gham Wo Saarey Jo Rula Gaye Hain
Teri Neenden Uda Gaye Hain
Ham Hain Shareek E Gham Teray Pehchaan To Sahi
Ham Bhi Hain Saath Teray Tu Jaan To Sahi
Ker Bojh Apnay Dil Ka Halka Hamen Bataday
Ye Fikar Ye Udasi Kioon Hay Zara Sunaday
Laaye Hain Ham Baharain Teray Hi Waastay
Ye Rang Aur Ye Khushboo Teray Hi Waastey
Aaj Kuch Maangtay Hain Tum Say
Aaj Kuch MaangnA Hay Tum Say



A loving relationship is one in which the loved



A loving relationship is one
in which the loved one is free to be himself
to laugh with me, but never at me;
to cry with me, but never because of me;
to love life, to love himself, to love being loved.
Such a relationship is based upon freedom
and can never grow in a jealous heart.



Wednesday, April 9, 2008

Tum Ne Kabhi Socha

WIFE:
Tum Ne Kabhi Socha Hai K Meri
Shaadi Kisi Aur Se Ho Jaati To Kya
Hota?”
HUSBAND:
Nahi, Main ne kabhi Kisi
Ka Bura Nahi Socha.

Milta Bhi Nahi Tumhare Jesa Koi Or Is Sheher

Milta Bhi Nahi Tumhare Jesa Koi Or Is Sheher Me,
Humen Kya Maloom Tha, Tum Ek Ho Wo Bhi Kisi Aur K...

Milta Bhi Nahi Tumhare Jesa Koi

Ungal Sms- Adult Urdu Sms

Aap ko meri Taraf se


.


Or mere tamam Friends ki taraf se,


.


or mere area walo ki taraf se,
.
Or 16 Caror Pakistanio ki taraf se
.
.
.


” UNGAL ” 😉

BEAUTIFUL PRAYER

^~BEAUTIFUL PRAYER~^
O ALLAH…
Enlighten what is Dark in Me,
Strengthen what is Weak in Me,
Mend what is Broken in Me,
Bind what is Bruised in Me,
Heal what is Sick in Me,
Straighten what is Crooked in Me
and
Revive whatever Peace and Love has Died in Me..!
Ameen


Submit By: Zain Shuja

Tuesday, April 8, 2008

Dil se shauq-e-rukh-e-niko na gaya – Meer Taqi Meer



Dil se shauq-e-rukh-e-niko na gaya
jhankana takana kabhu na gaya
har qadam par thi us ke manzil lek
sar se sauda-e-justaju na gaya
sab gaye hosh-o-sabr-o-tab-o-tavan
lekin ae daag dil se tu na gaya
hum khuda ke kabhi qayal to na the
un ko dekha to khuda yaad aa gaya
dil mein kitne masaude the wale
ek pesh us ke ru-ba-ru na gaya
subah gardan hi ‘meer’ hum to rahe
dast-e-kotah ta sabu na gaya


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



Main bewakoof

Main bewakoof’


Main bewakoof’


Main bewakoof’


Main bewakoof’


Main bewakoof’


Main bewakoof’


Aaista bolo yahan tak awaz aa rahi hai…;-)

Kuch Sitaray Teri Palkon Pe Bhi Roshan Honge – EID 2013

Kuch Sitaray Teri Palkon Pe Bhi Roshan Honge,
Kuch Rulaye Ga Mujhe Bhi Tera Gham EID Ke Din…

Eid ul Adha Sad Poetry

Ghairon Se Puchti Hai Tareeqa Nijaat

Ghairon Se Puchti Hai Tareeqa Nijaat Ka

Apno Ki Saazishon Se Pareshaan Zindagi...

Ghairon Se Puchti

Monday, April 7, 2008

Sadion Say Jaagi Aankhon Ko



Sadion Say Jaagi Aankhon Ko Ek Baar Sulanay Aa Jao
Mana K Tum Ko Pyar Nahi Nafrat Hee Jatanay Aa Jao


Jis Mor Pay Hum Ko Chor Gaye Hum Baithay Ab Tak Soch Rahay
Kya Bhool Hui Kyou Juda Huway Bus Yeh Samjhanay Aa Jao


Har Lamha Teri Furqat Mein Hum Tarsay Rahay
Meri Manoo Tum Is Dil Ko Kuch Pal Behlanay Aa Jao



Tujh Se Bichra To Pasand Aa Gai Be Tarteebi

Tujh Se Bichra To Pasand Aa Gai Be Tarteebi,
Is Se Pehle Mera Kamra Bhi Ghazal Jesa Tha…

break up poetry

Musibat ya Aazmaish

Hazrat Ali (R.A) se kisi ne sawal kia k


“kis tarah pata lagaya jaye k insaan per aanay wali musibat saza hai ya aazmaish?


Hazrat Ali (R.A) ne farmaya k


“jo musibat insaan ko Allah se door karey wo saza hai


Aur


jo musibat insaan ko Allah k qareeb karay wo Aazmaish hai.”

Bikhar Gaye Hain Tera Intizaar Karte Hoye



Tere Firaaq K Lamhe Shumar Karte Hoye
Bikhar Gaye Hain Tera Intizaar Karte Hoye


To Mai B Khush Hoon Koi Us Se Ja K Keh De
Agar Wo Khush Hai Mujhe Be-Qarar Karte Hoye


Mai Muskurata Hua Aaine Mai Ubhrunga
Wo Ro Parega Achanak Singhaar Karte Hoye


Tujhe Khabar Hi Nahi Toot Gaya Hai Koi
Mohabbat Ko Boht Paaidar Karte Hoye


Wo Keh Rahi Thi Samandar Nahin Hai Aankhon Mai
Mai Un Mai Doob Gaya Aitbaar Karte Hoye



Sunday, April 6, 2008

Kal raat bohat mujh ko satati rahin ankhen

Ik roop k sagar me nahati rahin aankhen


Khuch khuwab mere dil me sajati rahin aankhein


Yadoon k darechy pe wo deti rahin dastak

Kal raat bohat mujh ko satati rahin ankhen


Palkon se tapakne na dia aik bhi ansoo


Ye rasm e muhabat bhi nibhati rahin aankhen..

Dabbe e paon garmiya

Guzar chali Hen Dabbe-e-paon Garmion ki chutiyan….!


Khayal-e-University jo Ata Ha, Tu Aanken Bheeg Jaati hn.

Me Ne Is Tor Se Chaha Tujhe Aksar Jana

Me Ne Is Tor Se Chaha Tujhe Aksar Jana

Jese Mahtaab Ko Be-Ant Samundar Chahe

Jese Sooraj Ki Kiran Seep K Dil Me Utray

Jese Khushbu Ko Hawa Rang Se Hatt Kr Chahe...

Me Ne Is Tor Se

Greatest Illusions of Life

One of the greatest illusions of life is that…
“We always believe there is more time in tomorrow than today!…

Saturday, April 5, 2008

Juda Hone K Mosam Me Juda Hona Bhi

Juda Hone K Mosam Me Juda Hona Bhi Parta Hai
Jise Mushkil Se Paya Ho Usy Khona Bhi Parta Hai

Khudi Pe Maan Itna Hai Kabhi Mur Kar Nahi Dekha
Jise Keh Dun K Mera Hai Usy Hona Bhi Parta Hai

Mujhe Neend Nahi Aati Us Ki Yaad Any K Bad
Magar Ek Khawab Ki Lalach Me Phir Sona Bhi Parta Hai

Hamesha Hunsta Rehta Hun Chupa K Gham Muhabbat Ka
Magar Jab Us Ka Naam Aye To Phir Rona Bhi Parta Hai...

Juda Hone K Mosam

Hum Bhi Goya Kisi Saaz K Taar The

Hum Bhi Goya Kisi Saaz K Taar The
Chot Khaaty Rahe Gun-Gunaaty Rahe...

Hum Bhi Goya

The Reality Of Tongue And Heart

God never liked the hardness of Tongue or Heart ….
That is the reason why God Made them Boneless

Thursday, April 3, 2008

Spoon of smile

SpeciaL NashtA 4 U.


Plate of REHMAT
Glass of BARKAT
Bowl of MAGHFIRAT
Cup of HAPPINESS


WITH


Spoon of SMILE :-)


Assalam o Aliakum


Good morning.

Tere khayal se lau de uthi hai tanhai – Nasir Kazmi



Tere khayal se lau de uthi hai tanhai
shab-e-firaq hai ya teri jalvaarai
tu kis khayal mein hai ae manzilon ke shadai
unhen bhi dekh jinhen raste mein neend aayi
pukar ae jaras-e-karavan-e-subah-e-tarab
bhatak rahe hain andheron mein tere saudai
rah-e-hayat mein kuch marhale to dekh liye
ye aur baat teri aarzoo na ras aayi
ye saniha bhi muhabbat mein barha guzra
ki us ne hal bhi pucha to aankh bhar aayi
phir us ke yaad mein dil beqarar hai ‘nasir’
bichad ke jis se hui shahar shahar rusavai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nasir Kazmi



Hate the feeling

I hate the feeling when you have to say


goodbye to someone you want to spend every minute with

Wednesday, April 2, 2008

A Life Spent Making

A life spent making mistakes is not only more honorable,
but more useful than a life spent doing nothing.

Sona Kaha Hai

Daku: pathan ke gher gus gaya aur bola jaldi batao SONA kahan hai,,
.
.
.
.
Pathan: Pagal ka bacha itna bara ghar hy, kahin b so jao…

Tuesday, April 1, 2008

Hazar bar guftagoo hoe

Hazar Bar Hui Us Se Guftagoo Lekin


Hazar Bar Koi Baat Reh Gyi Mujh Se

Waqt Ka Takaza

Likhu Kuch Aaj Ye Waqt Ka Takaza Hai,
Mere Dil Me Dard Abhi Taaza Hai,
Gir Padte Hai Ashq Mere Kagaz Par,
Kalam Me Sayahi Kam Aur Aansoo zyada Hai.

Adoora Piyar Na Karna - Sad Urdu Nazam

Adhoora-Piyar-Shayari

Adhora Piyar

Chalo Tum Saath Mat Dena
Mujhe beshak Bhula Dena
Naye Sapne Saja Lena
Naye Rishte Bana Lene…
Bhula Dena Sabhi Wadey
Sabhi Qasmain, Sabhi Natey
Tumhein Jaana Ijazat Hai
Jo Dil Chahe Wo Sab Karna..
Mager Ab Tum Kisi Se Bhi
Adhora Piyar Na Karna….!

Best Mother SMS

MAA:
3 saal ki umar mae hum kehty thy: “ammi i love u”
10: “ammi jo bhi hae mjy kia”
16: “uff meri maa boht nasihate karti hae”
18: “mujhy is ghar mae nahi rehna”
25: “ammi aap thik kehti thi”
30: “mujhy apni maa k ghar wapis jana hae”
50: “mae apni maa ko khona nahi chahta”
70: “mae apna sab kuch lutaney ko tayar hu bas koi meri maa ko wapas le aae”
MAA SIRF AIK HOTI HAE !!! Uski muhabat ko saraho, k agar aik din wo dunia se chali gae to bohat daer ho jae ge.
Forward karo agar samajhty ho k tmhari maa dunia ki behtareen maa hae aur uski qadar karo.
ALLAH hamari maa ko dono jahan ki khushya de amen