Tuesday, March 31, 2009

A Woman Shoots Her Husband

A woman shoots her
husband. Then she holds
him under water for over
5 minutes. Finally, she
hangs him. But 5 minutes
later they both go out and
enjoy a wonderful dinner
together.
How can this be?
.
.
.
Answer Updated :
She took a picture of him (shoots a picture.)
Then she held the picture/film under water to develop.
Finally she hung the picture to dry.

Poetry On AHLEBAIT (AS)



Mola HUSSAIN (AS)


Khuda Hi Janta Hai Haqiqt Hussain (As) Ki,
Muhammad Mustafa (Saw) Se Poch Izat Hussain Ki,


Jibrael (As) Se Poch Khidmat Hussain (As) Ki,
Qul Anbia (As) Se Poch Ibadat Hussain (As) Ki,


Mola Ali (As) Se Poch Azmat Hussain (As) Ki,
Bibi Fatmah (Sa) Se Pocch Fazilat Hussain Ki,



Sakina (Sa) Se Poch Muhabat Hussain (As) Ki,
Sajjad (As) Se Poch Wasiat Hussain Ki,


Bahlol Se Poch Janat Hussain (As) Ki,
Qul Karbala Se Poch Karamat Hussain (As) Ki,
Yazid (Lanti) Se Poch Taqat Hussain (As) Ki.



Hawa ke aavaz – Munir Niazi



Hawa ke aavaz
khushk patton ke sarsarahat se bhar gai
rosh-rosh par fatada phoolon ne
lakhon nauhe jaga diye hain
sileti shuayen
buland pedon par gul machate
siyah kauon ke qafilon se ati hui hain
har ek janib khizan ke qasid lapak rahe hain
har ek janib khizan ke aavaz gunjati hai
har ek basti kashakash-e-marg-o-zindagi se nidhal hokar
musafiron ko pukarati hai ki – aao
mujh ko khizan ke bemahar
talkh ehasas se bachao


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Munir Niazi



Apne Dil Ka Dard Batayain Kiss Ko

Apne dil ka dard batayain kiss ko,
Kaun kya bhool gaya hai yaad dilaaye kiss ko,
Ruth jaate to manana dushwaar naa tha,
Jab wo tallukh hi naa rakhe to manain kiss ko.

Lamhe Ye Suhane Sath Ho Na Ho,



alone-sad-girlLamhe Ye Suhane Sath Ho Na Ho,


Kal Mai Aajj Jaisi Koi Bat Ho Na Ho,


Aapka Pyar Hamesha Is Dil Mei Rahega,


Chahe Poori Umar Mulakat Ho Na Ho..


Na Kabhi Muskurahat Tere Hothon Se Duur Ho..


Teri Har Khwahish Haqiqat Ko Manzoor Ho..


Ho Jaye Jo Tu Mujhse Khafa..


Khuda Na Kare Mujhse Kabhi Aisa Kasoor Ho..



Har Ek Sawal Ka

Har ek sawal ka usko jawab kya deti?
Main apni zaat ka usko hisab kya deti?
Jo ek lafz ki khushbu na rakh saka mehfooz!
Mai us ke hath mein puri kitab kya deti?

Monday, March 30, 2009

Mit gaya jab mitane vala phir salam aaya to kya – Dil Shahjahanpuri



mit gaya jab mitane vala phir salam aaya to kya
dil ke barbadi ke bad un ka payam aaya to kya
chut gain nabzen ummiden dene vali hain javab
ab udhar se namabar leke payam aaya to kya
aj hi mitana tha ae dil hasarat-e-didar mein
tu meri nakamiyon ke bad kam aaya to kya
kash apni zindagi mein hum ye manzar dekhte
ab sar-e-turbat koi mahashar-khiram aaya to kya
sans ukhadi aas tuti cha gaya jab rang-e-yas
namabar laya to kya khat mere naam aaya to kya
mil gaya wo khak mein jis dil mein tha arman-e-did
ab koi khurshid-vash bala-e-bam aaya to kya


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Dil Shahjahanpuri



patha funny wishes


PATHAN ko chiragh mila . chirag ragara.
 JIN ne kaha “3 wishes bato.”
PATHAN: No 1 . Eik bara bangla .
 No 2 us main Khob dolat mand log.
 No 3 Humko is main chokidar lagwa do

Ghar bethy paisy kamaen

Breking news


Ghar bethy paisy kamaen


Tariqa:


Mobile service off hone k bd gali k
choty bacho ko 15 rupy gantha mobile per game khilaen.


From:
.
.
.
.
.
Rehman Malik;)

My brother gifted me

A Man Saw A Little Poor Boy Looking At His Expensive Car


He Took The Boy 4 A Drive


The Boy Said: Ur Car Is So Marvelous, It Must Be 2 Expensive.!,
Hw Much It Costs


Man: I Dont Know, My Brother Has Gifted Me.


Boy: Wow, So Nice Of Him.


Man: I Know What You are Thinking, You Also Want To Have A Car Like It.


Boy: No, I Want To Be A Brother Like Him.


Always Think Higher Than The People Expectation.


have a good day…!!!

Na rakh dil me Nafrt0on

Na rakh dil me Nafrt0on k Ambaar,


Ae INSAN


Kehte hen jis dil me Nafrat ho us dil me “RAB” Nai basta.


GOOD MORNING

Pathar ke khuda vahan bhi paye – Kaifi Azmi



Pathar ke khuda vahan bhi paye
hum chand se aj laut aaye
divaren to har taraf khadi hain
kya ho gaya meharaban saye
jangal ke havayen aa rahi hain
kagaz ka ye shehar ud na jaye
laila ne naya janam liya hai
hai qais koi jo dil lagaye
hai aj zamin ka gusal-e-sahat
jis dil mein ho jitana khoon laye
sehra sehra lahu ke kheme
phir pyase lab-e-furat aaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kaifi Azmi



Mujh Yaad Aate Ho Tum

Sath To Ek Pal Ka Tha Phr Q Mujhe Yaad Aate Ho Tum


Aks ki Trha Mere Dil Pe Q Chha Jate Ho Tum


Dilbar B Nhi Ho Mere Humdam B Nhi


Ye Raste Dosti k Muje Phr Q Dikha Jate Ho Tum


Hm kbhi Mile The To Ek Ajnabi ki Trha


Meri Raaton ki Neend Phr Q Urra Jate Ho Tum


Hawao Se Hm Tmhara Pta Pochte Rahe


Kuch isi Trha Se Apna Deewana Bana Jate Ho Tum


Sath To Ek Pal Ka Tha Phr Q Mujhe Yad Aate Ho Tum

Sunday, March 29, 2009

Ap (S.A.W.W) ke zindgi

Hamare Pyare Rasool HazratMUHAMMAD (S.A.W.W)


21/April/571 Esvi 12/Rabi-ul-Awwal Peer ko Suba 4:45
Macca me peda hue


Aap(S.A.W.W)ki Total Zindgi 22330 Din(63 Sal,4 Din)


Aap(S.A.W.W) ki Risalat ka Arsa8156 Din(23Sal)Tha..


Please ye Bunyadi Malumat Muslmanon ko zyada se zyada Forward kren(Jazakallah)

Yehi Wafaa Ka Silaah Hai



Yehi Wafaa Ka Silaah Hai, To Koi Baat Nahi
Yeh Dard Tum Ne Diya Hai, To Koi Baat Nahi


Yehi Bohot Hai Ke Tum Dekhte Ho Sahil Se
Safeena Doob Raha Hai, To Koi Baat Nahi


Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Main Choopa Ke Tumko
Woh Ghar Tumne Chor Diya Hai To Koi Baat Nahi

Tum Hi Ne Aayena-E-Dil Mera Banaya Tha
Tum Hi Ne Tor Diya Hai To Koi Baat Nahi


Kise Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana
Agar Yeh Tumne Kaha Hai To Koi Baat Nahi



Aap agar hum ko mil gaye hote – Abdul Hameed Adam



aap agar hum ko mil gaye hote
bag mein phul khil gaye hote
aap ne yun hi ghur kar dekha
honth to yun bhi sil gaye hote
kash hum aap is tarah milate
jaise do waqt mil gaye hote
hum ko ahal-e-khirad mile hi nahi
varana kuch munfail gaye hote
us ke aankhen hi kaj-nazar thin “adam”
dil ke parde to hil gaye hote


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Abdul Hameed Adam



Maa Ne Bohat Kaha Tha Jaldi Se Laut

Maa Ne Bohat Kaha Tha, Jaldi Se Laut Ana
Maa Intizar Main Hai, Main Laut Bhi Gaya Hun...

Tribute To Innocent Martyrs Of APS Peshawar

Maa Ne Bohat

Na jee bhar ke dekha na kuch baat ke – Bashir Badr



Na jee bhar ke dekha na kuch baat ke
badi aarzoo thi mulaqat ke
kai saal se kuch khabar hi nahi
kahan din guzra kahan raat ke
ujalon ke pariyan nahane lagin
nadi gunagunai khayalat ke
main chup tha to chalati hawa ruk gai
zuban sab samajhate hain jazbat ke
sitaron ko shayad kahbar hi nahi
musafir ne jane kahan raat ke
muqaddar mere chashm-e-pura’ab ka
barasati hui raat barsat ke


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr



Saturday, March 28, 2009

Apni Khusbo dosto ko

Aey phool apni khushbo mere Doston ko de dena…


Suna hy…


Sardiyon k mosam main woh nahaya ni Krtay. :O 😛

Kuch mjburyan thi meri mein Bewafa Nahi

GHAZAL


Kuch mjburyan thi meri,
mein BEWAFA Nahi,
Shayad ho lehja talakh pr me bura Nahi,
Ye ZINDAGI hmari kuch is tarha se hy guzri,
Jeeny ka mujh me baqi ab hosla Nhi,
GARDISH-E-ZINDAGI me Paya to bht kuch,
Lekin JO DIL NEY CHAHA WO HUM KO MILA NAHI,
Kuch rishton ki majburiyan, kuch rasmon ki deewar thi,
Taqdeer se Hum ko to koi gila Nhi,
Ik SHAKHS ko MANGA tha hum ne DUA mai,
HAATH Us k baad ab tk phr UTHA Nahi…..

Shadi Mubarak Ho

Ye rat itni tanha kiyo hoti hai, kismat se apni sabko sikayat kiyo hoti hai, ajeeb khel khelti hai ye kismat, jise hum pa nahi sakte usi se mohabbat kiyo hoti hai_ 09783767676 Sada hanste raro aap hajaro ke beech, hunste hai jaise phool baharo ke beech,

Biwi Ka hal By malang baba

Husband: Malang baba meri BIWI bahut pareshan krti hy


us ka koi hal batao.


Malang: beta Agar bivi ka koi Hal hota to aaj


main MALANG na hota :)

Ishq ke ghulami me guzara Waqt

faqt us ke ishq ke ghulami main guzara hai waqt


sunny


warna ye dil kal bhi nawab tha or aj bhi nawab hai

Friday, March 27, 2009

Aye Wada Faramosh Teri Khair Ho Lekin

Aye Wada Faramosh Teri Khair Ho Lekin

Ek Baat Meri Maan Tu Wada Na Kia Kar...

Aye Wada Faramosh

Friendship is a Rainbow

Friendship is a rainbow between two hearts
sharing seven color which are:


Secrets
Truth
Sadness
Faith
Happiness
Respect
Love

Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahate hain – Ahmed Faraz



Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahate hain
jane kya daur hai kya log hain kya kahate hain
kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
ab wohi log hamen aabalapa kahate hain
koi batalao ke ik umr ka bichada mahbub
ittefaqan kaheen mil jaye to kya kahate hain
ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahate hain
jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
hum jise chu na saken us ko khuda kahate hain
kya ta’ajjub hai ke hum ahl-e-tamanna ko ‘faraz’
wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahate hain



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



Thursday, March 26, 2009

The Best Part Of Life

The best part of life is not just surviving,


but thriving with passion & style


& compassion & generosity


& humour and finally with kindness.

Eid Ki Shoping Karni Hai

Bat ko mzak me ni lena..
Jab se nayaa saal shuru hua hai tab se ap keh rahay ho k
Ye 2 Hazaar Tera Hai.
(2013)
To Plz mere 2 Hazaar mujhe day kar kahaani khatam karo.
Eid Ki Shoping Karni Hai…!!

Wednesday, March 25, 2009

Mujhe Maloom Hai Us Ka Thikaana Phir

Mujhe Maloom Hai Us Ka Thikaana Phir Kahan Hoga

Parinda Aasman Choony Me Jab Nakaam Ho Jaye...

Mujhe Maloom Hai

World AIDS Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest World AIDS Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com. Celebrate World AIDS Day 2015 in style though our wonder full poetry and shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy World AIDS Day sms greeting.


iam sori yar,
Aaaj takk maine tujhe avoid kiyaa,
Kaei baar tujhse baat nahi ki,
Tujhse haath nahi milaaya,
Sori yaar mujhe pata nahi tha ki
AIDS chhune se nahi failta.


AIDS K BARE ME JANIYE AUR DUSRO KO BHI BATIYE KI
AIDS MARIJO SE SE NAFRAT NA KRE
BCOZ AIDS CHUNE SE
BAT KARNE
KHANA KHANE SE
NaHI FAILTA HAI


 I Am Very Sorry, Because Till Now I have avoided you,Most Of The Times I have not even Talked with you, Many Times I have not shake hand with you, Because I have unkown about that aids don’t spread out with touch.


Happy World AIDS Day Mubarak to all of you from shayari Online Team



pasandeda amal

NABI-e-AKRAM (S.A.W)


nay farmaya :


” ALLAH ke nazdik sab se pasandeda amal


waqt par namaz parhna or


waldian ke sath acha sulok kerna hai. “

Tuesday, March 24, 2009

Apne hamarah jo aate ho idhar se pahale – Ibn E Insha



apne hamarah jo aate ho idhar se pahale
dasht padta hai miyan ishq mein ghar se pahale
chal diye uth ki su-e-shahar-e-vafa ku-e-habib
puch lena tha kisi khak basar se pahale


ishq pahale bhi kiya hijr ka gham bhi dekha
itane tadape hain na ghabraye na tarase pahale
jee bahalata hi nahi ab koi sa’at koi pal
raat dhalati hi nahi char pahar se pahale


hum kisi dar pe na thithake na kaheen dastak di
saikadon dar the meri jan tere dar se pahale


chand se aankh mili jee ka ujala jaga
hum ko sau bar hui subah sahar se pahale
 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ibn E Insha



Rab Te Tery Andar Wasda

Rab Rab Kardy Buddhy Ho Gaye Mullah Pandat Saary


Rab Da Khoj Khura Na Labba Sajdy Kar Kar Haary


Rab Te Tery Andar Wasda Vich Quran Ishary


Bhullhy Shah Rab Ohnu Milda Jerrha Apny Nafs Nu Maary. . . . . . . . . . . . . . . . .

Application To Headmaster

Application
To
Da Headmaster in Punjabi.


PAA G,
Guzarish ey way k mera hun school aan nu dil nai krda. Tusi kurian v alg kr ditian ne ty sadi class wich aik v kuri nai hai gi,
Tay madam v koi khas pataka nai.
Hor nai tay
“kam waliyan” te soniyan rakh lo.
Bari meharbani.


Tuhada faithfully,
Pappu Dukhi.

Ilzam-e-Mohabbat

Sar-e-bazar niklon tu awargi ka ilzaam


Tanhai mein baith jao t0u ilzam-e-mohabbat

Monday, March 23, 2009

Muhabbat Bhi Teri Thi

Muhabbat Bhi Teri Thi…


Wo Shararat Bhi Teri Thi,


Agar Kuch Bewafai Thi


To Wo Bewafai Bhi Teri Thi,


Hum Chhod Gaye Tera Shehar…


To Wo Hidayat Bhi Teri Thi,


Akhir Karte To Kis Se Karte Tumari Shikayat,


Wo Shehar Bhi Tera Tha Aur Wo Adalat Bhi Teri Thi …!!

ek rangin jhijhak ek sada payam -Kaifi Azmi



ek rangin jhijhak ek sada payam
kaise bhulun kisi ka wo pahala salam
phul rukhsar ke rasmasane lage
hath utha qadam dagmagane lage
rang-sa khal-o-khad se chalakane laga
sar se rangin aanchal dhalakane laga
ajanabiyat nigahen churane lagi
din dhadakane laga lahar aane lagi
sans mein ik gulabi girah pad gai
honth tharraye simate nazar gad gai
reh gaya umr bhar ke liye ye hijab
kyon na sambhala hua de saka main javab
kyon main be-qasd be-azm be-vasta
dusari samt ghabara ke takane laga


Poet of the poem  / Ghazal or Nazam :Kaifi Azmi



Hath Halka

ROZEY DAARO..


.


.


.


.


.


aJ Halka hath rakhna Aftari h0gi valima nahin;-)


1’st Aftari Mubark Ho.

Embrace Change

Embrace change.


Store coins in a coffee mug.
You never know when you will run out of money for beer!

Sunday, March 22, 2009

Mein Jab Bhi Chahon, Usey Chu Ke Dekh Sakti Hun

Mein Jab Bhi Chahon, Usey Chu Ke Dekh Sakti Hun,
Mager Wo Shakhs Ke Lagta Hai Ab Bhi Khuwab Jesa…

Parveen Shakir Dream

Mohabbat aazmani ho to bas itna hi kafi hai 'Sagar'

Mohabbat aazmani ho to bas itna hi kafi hai 'Sagar'

Mohabbat aazmani ho to bas itna hi kafi hai 'Sagar'
Zara sa rooth kar dekho, manane kon aata hai....

by: Sagar Siddiqui

Ramadan Kareem Mubarik

Ramadan Kareem Mubarik.
May Allah Enables Us
To Do M0re And M0re Good Deeds
N To Make The M0st Of Dix M0nth…
May Allah Forgive R Sins.Ameen.
Remembr Me In Ur Prayers.

GOOD MORNING With Smile

.*”Always”*.Welcome a New Day With a


.*”Smile”*. On Your .*”Face”*..*”.”*”Love”*”.”*.


In Your.*”.”*Heart*”.”*. .*”Thoughts “*.


In Your.*”.”*Mind*”.”*.


And You Will.*”.”*Always*”.”*.Have a Wonderful.*”.”*”Day”*”.”*.


“GOOD MORNING”

Insan k kirdar

Insan k kirdar ki 2 he Manzilen hain,,


DIL MAIN UTAR JANA..!


Ya


Dil SY utar jana.

Aik Naqsh Bhi Idhar Se Udhar Na Ho

Aik Naqsh Bhi Idhar Se Udhar Na Hone Paye
Me Jesa Tumhe Mila Tha Mujhe Wesa Juda Karo...

Aik Naqsh Bhi

Saturday, March 21, 2009

Smile fades front of our eyes

S0metimes it’s 2 late 2 make things right.
.
Sometimes we hurt others more than we realise.
.
Sometimes a smile fades in front of our eyes.
.
and sometimes we are the reason for tears in someone’s eyes.
.
Never treat anyone the way you don’t want to be treated.

Receive Gift of Love

HAPPY NEW YEAR
Receive my simple gift of LOVE
Wrapped with SINCERITY
Tied with CARE &
Sealed with BLESSINGS
2 Keep u HAPPY & SAFE all the life long.
HAPPY NEW YEAR

Na Gila Hai Koi Halaat Se Na Shikayat

Na Gila Hai Koi Halaat Se, Na Shikayat Kisi Ki Zaat Se
Khud Hi Sare Warq Juda Ho Rahe Hain Zindagi Ki Kitab Se...

Na Gila Hai

Friday, March 20, 2009

Translate This Punjabi Sentence

Teacher:- Translate This Punjabi Sentence Into English . .
Ethay Tey Anni Peyi Hoyi Aey.
.
.
.
Sardar: A Blind Girl Is sleeping here ! ;

Chand Nikla, Na Tum Ne Di Dastak

Chand Nikla, Na Tum Ne Di Dastak,
Aaj Ki Sham Kitni Bojhal Hai...

Chand-Sham

Who i am in ur 0pinion

Who i am in ur 0pinion?


Tweety…(Speak a lot)


Tom…(Fight too much)


Jerry(Naughty)


Pooh(Senstive) DonaldDuck(Frank)


Dextor(Studious)


Barbie…(Sweet n lovely) JohnyBravo(Flirt)


Minnie…(Attractive)


Tintin…(Intelligent)


Ben10…(rude)


B honest!.

Thursday, March 19, 2009

Main Sitara Tha Teri Aankhon Ka

Main Sitara Tha Teri Aankhon Ka
Maa Dekh Mujhe Ab Kahan Hun Me...

Main Sitara Tha

Naye Saal Ki Khushi

Sochta Hun is Naye Saal Ki Khushi Mein
Apne yaar ko kya tohfa du.
Tumhari is ada pe kya jawab du
Apne yaar ko kya tohfa du
Koi acha sa phool hota to mangvata mali se
Jo khud gulab hai usko kya gulab du
Happy New Year Yaaaaaaaaar..

Mohabbat me Lutaane ko abhi to Jaan bhi baqi hai

Mohabbat me Lutaane ko abhi to Jaan bhi baqi hai

Yeh kis ne keh diya Tum se Ke Bazi Haar Bethe Hum?
Mohabbat me Lutaane ko abhi to Jaan bhi baqi hai...!

Muskura Rahe Ho Aaj

Jo Wada Kiya Hai Wo Nibhana Hoga,


Ek Din Laut Kar Tumhe Aana Hoga,


Dil Todkar Muskura Rahe Ho Aaj,


Dekhna Ek Din Tumhe Bhi Pachtana Hoga

Kitbaon k panno ko palat kr sochta hon



Kitbaon k panno ko palat kr sochta hon


Yon palat jay zindgi to kia bat hai


khawabon mein roz milta hai jo


Haqiqat mein ay to kia bat hai


Kuch log matlab k liy dhondty hain mujy


Bina matlab aain to kia bat hai


Qatal kr to sub ley jain gy mera dil


koi baton se ley jay to kia bat hai


Jo sharifon ki sharaft mein bat na ho


Wo aik sharabi keh jay to kia bat hai


Apny rahny tak to khushi don ga sub ko


Jo kisi ko meri mout pe khushi mil jay to kia bat hai



Wednesday, March 18, 2009

Respect For President

It has been noted that certain people


are spreading insulting msgs against


our president and we are forwarding them not realising


the damage being done to our country.


Why dont we respect our president?


Zara sochen wo bghairat ap ka sadar hai.


Os kameeny ki b kuch izzat hai.


Khabrdar jo ksi ne os kuttay ko gali di.


Yar wo zaleel es mulk ka sarbarah hai.


Os haramkhor ki izzat karna hmara ikhlaqi farz hai


So plz frwrd to others to respect our PRESIDENT ;p

Mar hi dal mujhe chasm-e-ada se pahale – Momin Khan Momin



mar hi dal mujhe chasm-e-ada se pahale
apni manzil ko pahunch jaun qaza se pahale
ik nazar dekh lun aa jao qaza se pahale
tum se milane ke tamanna hai khuda se pahale
hashr ke roz main puchunga khuda se pahale
tu ne roka nahi q mujhko khata se pahale
ae meri maut thahar unko zara aane de
zeher ka jam na de mujhko dawa se pahale
hath pahunche bhi na the zulf dota tak “momin”
hathakadi dal di zalim ne khata se pahale


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Momin Khan Momin



Meri chahat be tum

TuJhE Chahat Ki Kya Khabar
Tu Kya JanE MuhaBat


JaB Jan Pao To Yad Rakhna
Meri Chahat Bhi Tum
Meri Muhbat Bhi tum.

Tuesday, March 17, 2009

Sailaab Aankh Mein

Rootha Jo Pyaar Hum Se Dubara Nahin Mila
Kiya Bewafa Tha Shakhs Dubara Nahin Mila


Ik Baar Aa Gaya Tha Sailaab Aankh Me
Darya Ko Uskey Baad Kinara Nahin Mila


Mujhko Bhi Raas Aata Nahin Dosra Koi
Usko Bhi Mere Jesa Sahara Nahin Mila


Barson Se Phirr Raha Tha Mei Jis Ki Talash Me
Vo Mil Gaya To Usse Sitara Nahin Mila

Ab Lifafay Se Bhi Tere Haath Ki Khushbhu Nahi Aati Mujhe

Ab Lifafay Se Bhi Tere Haath Ki Khushbhu Nahi Aati Mujhe,
Khat Bhi Tere Haath Ka Likha Nahi Lagta....!
Submitted By: Naseer Ahmed

Qabr Pay Ghulaab Mat Lana



Tu Meri Qabr Pay Lay Kar Ghulaab Mat Aana
Zamana Mangey Ga Mujh Say Hisaab Mat Aana


Sabhi Khatayen Teri Apney Sar Main Lay Loon Ga
Kisi Sitam Ka Tu Denay Jawab Mat Aana


Meri Lehad Main Andhera Hi Main Nay Chaha Tha
Tu Meri Qabr Pey Ab Bay Naqaab Mat Aana


Sabhi Qabr Kay Azabon Ki Laaj Rakh Loon Ga
Main Sah Na Paaoun Ga Aisa Azaab Mat Aana


Buhat Taweel Si Muddat Kay Baad Soya Hoon
Meri Nigaah Main Ban Kar Khuwab Mat Aana


Warq Warq Pey Tum Apna Hi Naam Pao Gay
Go Phir Bhi Parhney Ko Dil Ki Kitaab Mat Aana


Behak Na Jaoun Farishton Kay Samney Janaan
Buhat Haseen Hay Tera Shabaab Mat Aana


Meri Duayen Teray Sar Pey Saaya Daar Rahen
Mera Khuda Tujhay Dey Ga Sawaab , Mat Aana


Yah Ab Nigahon Say Ashkon Kay Jaam Peeta Hay
Mere Kay Waastey Lay Kar Sharab Mat Aana



Bohat Chup Chup Sey Rehtey Ho



Bohat Chup Chup Sey Rehtey Ho
Na Bantey Hoo, Sanwertey Ho
Na Koi Baat Kartey Ho
Bharee Mehfil Main Bhi Aksar!
Hamesha Khoye Rehtey Ho
Udasi Ankh Main Bharr Kar
Har Ik Chehrey Ko Taktey Ho!
Koi Jab Yaad Ata Ha
To Thandee Aah Bhartey Ho!
To Khul Kar Kyun Nahin Kehtey
Kisi Sey Pyaar Kartey Ho ……



Yar Meri Biwi Pani Se

Sardar:
Yar meri biwi pani se bohat darti hai.
Friend:
Acha wo kaise?
Sardar:
Yar kal mein ghar gaya to wo bathtub
mai bhi security guard k sath bethi thi

Monday, March 16, 2009

Dheyaan Kisi Ka Aur Sawal Kisi Se

Shair kisi ke hijr main kehnaa sirf visaal kisi se,
FARAZ
Hum bhi kya hain, dheyaan kisi ka aur sawal kisi se..

Khush Mizaaj hain

Youn kehnay ko to Hum baray Khush Mizaaj hain,


Bas Rula deti hai kisi k Pyaar ki Hasrat kabhi kabhi

Mohabat Naam Hy Jiss

Mohabat Naam Hy Jiss Ka…..Wo Qaid Hy Esi,


Umer Ager Beet bhi Jaye, Saza Pori Nahi Hoti

Hum Jhuttay Hi Sahi Tumharay Dil Me To Hain

Hum jhuttay hi sahi tumhary dil me to hain,
Kuch log sachay hote huey bhi ghar hotay hain...

Submitted by: Iqra

Tameezdaar hai

Jo insan itne garmi main


bhi tameez se baat karay


wo waqai tameezdaar hai 😛

How was Your English paper

Ist friend: How was ur English paper?


2nd Friend: It was ok but I forgot the 2nd form of Think.


I thought & thought & thought and finally wrote Thunk 😀

Sunday, March 15, 2009

World Labour Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest World Labour Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate World Labour Day  2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy World Labour Day sms greeting.



May 1st, often called May Day is synonymous with International Workers’ Day, or Labour Day. May Day is celebrated in many countries in many dates and in many contexts. Labor Day Scraps, Labour Day Comments.


Labour Day is celebrated on the first Monday of September.
It is a statutory holiday throughout Canada.
The Canadian labour movement can justly claim the title of originator of Labour Day.
Peter J. McGuire,
one of the founders of the American Federation of Labour
has traditionally been known as the ‘Father of Labour Day’.
Historical evidence indicates that McGuire obtained his idea for
the establishment of an annual demonstration and public holiday
from the Canadian trade unionist.


Happy World Labour Day to all of you from shayari Online Team



Sohni Surat MUHAMMAD Ki



Banai Kya KHUDA Ne Sohni Surat MUHAMMAD Ki
Huye Aashiq Wo Jisne Dekh Li Surat MUHAMMAD Ki


Kamal-E-Husn-E-Yusuf Pr Faqt Ashiq Zulekha Thi
KHUDA Khud Jis Pe Ashiq Hy Wo Surat Hy MUHAMMAD Ki


Muslamano Ko Jab Janat K Darwazy Pe Rokengy
Hukum Hoga K Jany Do Ye Ummat Hy MUHAMMAD Ki



1 Bv Kali Thee Aur Shohr Gora Tha

1 bv kali thee aur shohr gora tha.
Sohar 1 din bola k hm 2ono jnti hain.
Bv boli woh kesay.
Sohahr bola .
Ma tumhain dakh kr sbr krta hoon.aur tum mujay dakh k shukar karti ho.

Merasi ke Ghr k Samne

1 merasi k ghr k samne kutta
mara para tha


merasi ne Municipal Committe ko


phone kia


Mre ghr k samne kutta mara para ha uthwa len


Jwab mila


wahin dafana


do


merasi ko ghussa to bht aya pr tahammul sy bola:


G Main Dafan karn lga c, par marhoom dy bachyan no itlaa v te krni c naa, is


leay aa k mu


vekh lo

Namaz mein Lamba Sajda

Namaz mein Lamba Sajda Karney Sey:
* Heart problem nahy hoti,
* Nigah Taiz
* Dimagh Taqat War
Or
* Chehra Haseen Hota Ha
Achi bt ko phelana sadqa e jaria hy.

Kia Tumhein Mujh Se Mohabbat hai - Sad Poetry

Mohabbat-Aansu-Shayari

Sad Aansu Poetry

Mein Sochta Hun,
Lekin Samajh Nahi Pata,
Uske Roone Ki Waja Kia Thi,
Mein Ne To Bas Itna Poocha Tha…..
Kia Tumhein Mujh Se Mohabbat hai?
by: Ibrahim Nagi

Saturday, March 14, 2009

What’s Wrong With Pakistan



2nd Largst Salt Mine
5th Largst Gold Mine
5th Largst Coal Reservs
7th Largst Coppr Mine


Still Begging From Imf


2nd Largst Dam
3 Nuclear Reactors
5 Rivers


Still Loadsheding


6th Largst Army
7th Nuclear Power
#1 Strongest Muslim Army


Still Silent On Drone Attacks


7th Largst Rice Producr
8th Largst Wheat Producr


40% Hardly Get Food


Think


What’s Wrong With Pakistan?


Spread


The Awareness
The Change We Need
Wake-Up-Pakistan



Us Bewafa Sy Kehna Ek Yaar Tha Tumhara



Us Bewafa Sy Kehna Ek Yaar Tha Tumhara


Us Bewafa Sy Kehna Ek Yaar Tha Tumhara


Tum Zindgi Thy Uski Woh Pyar Tha Tumhara


Kehty The Tum Mujhe Yeh Main Jaan Hun Tumhari


Tum Chandni Ho Meri Main Chand Hun Tumhara


Hum Sath Hi Jeeyein Gy Hum Sath Hi Marein Gy


Tujhe Yad Bi Hy Humdam Wada Tha Yeh Tumhara


Tum Chor Gaye Mujh Ko Dharkan Mein Tum Base Ho


Yeh Dil Dharakta Hy Tu Leita Hy Naam Tumhara..?



Rooh Tak Neelaam Ho Jati Hai Bazaar

Rooh Tak Neelaam Ho Jati Hai Bazaar-e-Ishq Me

Itna Asaan Nahi Hota Kisi Ko Apna Bana Lena...

Rooh Tak Neelaam

Itna to zindagi mein kisi ke khalal pade – Kaifi Azmi



Itna to zindagi mein kisi ke khalal pade
hansane se ho sukun na rone se kal pade
jis tarah hans raha hun main pi-pi ke ashk-e-gam
yun dusara hanse to kaleja nikal pade
ek tum ke tum ko fikr-e-nasheb-o-faraz hai
ek hum ke chal pade to baharahal chal pade
muddat ke bad us ne jo ke lutf ke nigah
jee khush to ho gaya magar aansu nikal pade
saqi sabhi ko hai gam-e-tashnalabi magar
may hai usi ke naam pe jis ke ubal pade



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kaifi Azmi



Friday, March 13, 2009

Ravindra Nath Tagore Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest  Ravindra Nath Tagore Jayanti Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Ravindra Nath Tagore Jayanti 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Ravindra Nath Tagore Jayanti  sms greeting.


Mat karo pyar kisi se phoolon ki taraha, Phool to pal mae Murjha jaate hai, Pyar karo to karo Kaaton ki taraha, Jo Chubhne ke baad bi Yaad Aate hain …


Kuch is terha guzarti ab, humaari har shaam hai, Ek haath tasveer unki to, aik haath jaam hai! Bekaar hai yaad dilana ,k shaye ye haraam hai, Sab kuch bhool jaate hain ,jab koi leta unka naam hai! Hum to yehi kahenge, Mai be-wajah badnaam hai, Dard-e-dil se humko to , pahunchaati ye araam hai! Tabaah kerti hai sharaab, ghalat is per ilzaam hai, Madadgaar ka badnaam hona to, qudrat ka nizaam hai! Hum ghamkhaaron ka mai ko, Tah-e-dil se salaam hai, Bina iske to khudaa jaane, kya …


Happy Ravindra Nath Tagore Jayanti Mubarak to all of you from shayari Online Team



Be-Wajah Nahi Rota Ishq Me Koi Ghalib

Be-Wajah Nahi Rota Ishq Me Koi Ghalib
Jise Khud Se Barh Kr Chaho Wo Rulata Zarur Hai...

Submitted By: Taskeen

Friendship Is Unnecessary

Friendship is unnecessary,
like philosophy, like art…
It has no survival value;
rather it is one of those things that give value to survival.

Thursday, March 12, 2009

Iftar invitation

“Iftar invitation”
From.
Me


20 Ramzan
21 Aug 2011 Sunday


Shah Nasir Hall
3rd floor
Buraj_ul_khalifa
Dubbai.


No excuse plz.

sheeshay k samny

Mirassi sardio mein kese nahatay hain?
sheeshay k samny khare hote hain,
phr sheshay pe pani phenk k kehte hain!
.
.
.
“oye mar gaye, enna thanda pani :):-D;-)

Wo Aik Khat Jo Tu Ne Kabhi Likha Hi Nahi

Wo Aik Khat Jo Tu Ne Kabhi Likha Hi Nahi

Me Roz Baith Kar Uska Jawab Likhta Hun...

Wo Aik Khat Jo

Broken Glass All Alone Your Worlds

Broken Glass All Alone Your Worlds All Broken


Run To Me, Till It Feels Better



Back Again, Pains All Gone So Are You


Bruises,Cuts,What Have You Done?



Run To Me,Look Their Gone


You Move On I’m Lost In Your World Of



Broken Glass It’s Hard To Run,I Can’t Go Fast


I Trip And Fall; My Heart It Bleeds



Now Your Here, Now You See


Run From The Pain,Run From The Hurt,



Don’t Run From Me,


I’ll Help You When You Hurt



Your Pain Runs Through Me,


Broken Glass, I’ll Cut Myself



Let You See How I Felt


Can You Feel My Pain Inside



Does It Run Or Does It Hide?


Slowly Flowing Through Your Viens



Twisting,Turning,Go Insane


What I Felt Now Is Through


Broken Glass I Bled For You

Wednesday, March 11, 2009

Yaqeen Aata Nai Dil Ko - Urdu Poetry



Yaqeen Aata Nai Dil Ko k aisa ho B Skta hy,
Mera Hal-e-Gham Sun kr wo Zalim ro bhi Skta Hy,

Kbhi Insaan Akela ho k bhi Tanha Nai Hota,
Sar-e-Mehfil kabi Bethy Bethaye Kho bhi Skta Hy,

Ta'ajjub kyun Hai Tumko meri Be-Gunahi Per,
Karam ka Aik Qatra Dagh-e-Daman Dho bhi Skta Hy,

Kbi insan ko Neend Ati Nai Phoolon k bister Pr,
Kabi Phattar pe Sar Rakh kr Mazy Se So bhi Skta Hy,

Wo kehta Hy Tmhari khatir Sitare Torh Laonga,
Ba-zahir Yun Nai Hota Mgr yun Ho b Skta hy??

Jb Wo Mera Naam Apne

Jb Wo Mera Naam Apne Hathon Ki Lakeeron
Mein Tlash Kar Kar K Thak Gya,
To Sar Jhukaya Or Ro K Kaha Lakeren Jhot Bolti hain
Tum Mery Ho ……!,
Tum mery ho ……!

Tuesday, March 10, 2009

surah baqarah

Logo apne parwardigar ki ibadat karo jis ne tum ko aur tum se pehle logo ko paida kia taake tum us k azaab se bacho.
(surah_baqarah)
ayat_21

Main ne dil se kaha – Javed Akhtar



main ne dil se kaha
ae divane bata
jab se koi mila
tu hai khoya hua
ye kahani hai kya
hai ye kya silasila
ae divane bata
main ne dil se kaha
ae divane bata
dhadakanon mein chupi
kaisi aavaz hai
kaisa ye geet hai
kaisa ye saz hai
kaisi ye baat hai
kaisa ye raz hai
ae divane bata
mere dil ne kaha
jab se koi mila
chand tare fiza
phul bhaunre hawa
ye hasin vadiyan
nila ye aasaman
sab hai jaise naya
mere dil ne kaha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Javed Akhtar



Chand se phul se ya meri zuban se suniye – Nida Fazli



chand se phul se ya meri zuban se suniye
har taraf aap ka qisa jahan se suniye


sab ko aata hai duniya ko sata kar jina
zindagi kya muhabbat ke dua se suniye


meri aavaz parda mere chehare ka
main hun khamosh jahan mujhako vahan se suniye


kya zaruri hai ki har parda uthaya jaye
mere halat apne apne makan se suniye


Poet of the poem/ghazal or nazam : Nida Fazli



Honton pe kabhi un ke mera naam hi aaye – Ada Badayuni



honton pe kabhi un ke mera naam hi aaye
aaye to sahi bar-sar-e-ilzam hi aaye
hairan hain labbasta hain, dilgir hain gunche
khushbu ke zubani tera paigam hi aaye
lamhat-e-masarrat hain tasavvur se gurezan
yaad aae hain jab bhi gam-o-alam hi aaye
taron se saja lenge rah-e-shahar-e-tamanna
maqadur nahi subho chalo sham hi aaye
yadon ke vafaon ke aqidon ke gamon ke
kam aaye jo duniya mein to is naam hi aaye
kya rah badalne ka gila hamsafaron se
jis rah se chale tere dar-o-bam hi aaye
thak har ke baithe hain sar-e-ku-e-tamanna
kam aaye to phir jazba-e-nakam hi aaye
baqi na rahe sakh “ada” dasht-e-junun ke
dil mein agar andesha-e-anjam hi aaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ada Badayuni



Mujhe Maloom Hai Tum Mujh Ko Bhool Jao Ge

Mujhe Maloom Hai Tum Mujh Ko Bhool Jao Ge Lekin,
Palat Kar Jab Bhi Aao Ge Muhabbat Muntazir Hogi...

Mujhe Maloom Hai Tum Mujh

Monday, March 9, 2009

ABBU Mat Kehna

Baap; Agar ab Tum Fail Huye to Mujhe ABBU Mat Kehna


Result Aane Per


Baap: kya bana result?


Beta: Sorry Yaar mushtaq aj Tum ne Baap kehlaane ka HAQ Kho dia¿¿

Raat ka Khana

Hadis Sharif


1.Raat ka Khana na chhoro


chahe 1 methi khajoor Q na ho,


Q k raat ka khana chhorna


admi ko zaeef kar deta hai


(IBN-e-MAJA)


2-Khouf Se Tanhai Mei Rone K Siwa Koi b Cheez Allah Ki Nrazgi Ko Nahi Mita Skti


3-Allah Us Shkhs Ko Abad Rakhta Hai Jo Hades Sun K Dosro ko Pohnchye


“Assalam.o.Alaikum”Subha Bakhair

pareshan raat sari hai sitaron tum to so jao – Qateel Shifai



pareshan raat sari hai sitaron tum to so jao
sukut-e-marg tari hai sitaron tum to so jao
hanson aur hansate-hansate dubate jao khalaon mein
hamen ye raat bhari hai sitaron tum to so jao
tumhen kya aj bhi koi agar milane nahi aaya
ye bazi hum ne hari hai sitaron tum to so jao
kahe jate ho ro-roke hamara hal duniya se
ye kaisi razadari hai sitaron tum to so ja
hamen to aj ke shab pau phate tak jagana hoga
yahi qismat hamari hai sitaron tum to so jao
hamen bhi neend aa jayegi hum bhi so hi jayenge
abhi kuch beqarari hai sitaron tum to so jao


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Qateel Shifai



Sunday, March 8, 2009

Bura Waqt

Wife:Agr mai waqt hoti log meri kitni Qadar krty Husband:Log Tumhe dekh k Dar jaty.


Wife:Q.?


Husband:Log Khty Wo Dekho Bura Waqt Aa Raha hy.

Be Miserable

Be miserable.
Or motivate yourself.
Whatever has to be done,
its always your choice.

Same Love Twice

We can never really experience


the same love twice. (psych – facts)

urgently need

Plz pass this sms to all friends


I m “nabeel”


Blood group A+


urgently need


2 bottles of….


.


.


.


.


.


.


.


.


.


.


.


MIRINDA


with


1 large Pizza


thanx 😛

Kisi aur ko Q Dekhein ye Aakhein

Zikar krta hai “DIL” subah shaam tera,


Girte hain Aansu Banta hai NAAM tera,


Kisi aur ko Q Dekhein ye Aakhein,


Jab “DIL” pe likha hai sirf tum.

Dil ka Dard

Tu kiya jaane mere


dil ka dard


Phenk ke maaru tujh 😛


By Angry Bird 😛

Saturday, March 7, 2009

Apne Samaan Ko Bandhay Hue Is Soch Me

Apne Samaan Ko Bandhay Hue Is Soch Me Hun

Jo Kahin K Nahi Rehte Wo Kahan Jate Hain...

Apne Samaan Ko

Subject of Life

(Subject 0f LifE)
Ksi K Milne Se Qismat Nhi Badalti
Hota Wahi Hy Jo Teh Hay.


Agr Tum Ksi ko Chaho 0r Usay Pa Na Sako
To Qismat Ka Gila Mat kro Q K Hoga Wahi Jo Teh Hay.


Agar Kuch Paa k Tum Kho Do to Heran Mat Ho
Jab paa Liya To kh0na To Teh Hay


Har Pal Hansna To Sub Chahty Hen
Aray Jab Hans Lia To Rona To Teh Hay.


Sub Ko Apni Zindagi Jeene Ka P0ora Haq Hay
Jab Zindagi ko Jee Lia To Marna To Teh Hay….!!!

Doobne Ke Liye Zindagi

Laash Thi Isliye THairtii Rahi,


DOobne Ke Liye Zindagi Chahiye.

Just Say

“Hasbi Allah” is an Arabic Word,


Means: Muje Allah kafi hey.


Whenever u feel u r in trouble, r feel lonely, or ve sum probl,


Just say “HASBI ALLAH”

Dil Behalta Hai Kahan Anjum-o-Mehtab Se Bhi

Love-Ghazal

Dil Behalta Hai Kahan Anjum-o-Mehtab Se Bhi,
Ab To Ham Log Gaye Deedah-e-Be Khuwab Se Bhi,

Ro Para Hun To Koi Baat Hi Aisi Hogi,
Mein Ke Waqif Tha Tere Hijr Ke Aadab Se Bhi

Kuch To Us Aankh Ka Shewa Hai Khafa Ho Jana,
Aur Kuch Bhool Hui Hai Dil-e-Baitab Se Bhi

Aey Samander Ki Hawa Tera Karam Bhi Maloom,
Piyas Sahil Ki To Bhujti Nahi Sailab Se Bhi

Kuch To Us Husn Ko Janay Hai Zamana Sara,
Aur Kuch Baat Chali Hai Mere Ehbaab Se Bhi...

Choti si galatfahami kar degi juda hum ko



choti si galatfahami kar degi juda hum ko
halat na badalenge malum na tha hum ko


rishton ke hamen itani pahachan na thi pahale
kahane ko marasim to apne the bahut gehare
ashkon ke siva lekin kuch bhi na mila hum ko


uthate hue qadamon mein zanjir si pad jati
ehasas-e-nidamat se dahaliz par gad jati
ik bar muhabbat se dete jo sada hum ko


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Poet Unknown



Friday, March 6, 2009

Full Mazaak friends shayari



Hum ne bhi kissi se pyaar kiya tha
Thoda nahi beshumar kiya tha
Meri to zindagi hi badal gai jab us ne kaha
Are pagal maine to MAZAK kiya tha



Meri hasi ka mazak kyu banate hai log,
Mujhe pathar dil hone ka ehsaas kyu dilate hai log,
Maine bhi to kismat se thokre khayi hain kitni,
Fir kyu phool markar pathar sa ghao de jate hai log!!






bahaana kion taarasha

Bahaana kion Taarasha Rooth jaane ka


 FARAZ


Bas itna keh dete k dil Main jaga nai……

Jab Gharz hui tab Piyaar kia - Bewafa Shayari

Bewafa Shayari

Bewafa Shayari

Jab Gharz hui tab Piyaar kia, Jab Waqt Mila tab Yaad kia,
Ab aur Haqeeqat Kia Likhon, Is Door Ke Mukhlis Logon Ki..?
Gharz = purpose; Haqeeqat = Reality; Mukhlis = Sincere

5 Miss Call From Home

5 Missed Calls from your Best frend means they wanna hang out with you
.
.
.


5 Missed Calls from your Girlfriend/ Boyfriend means they Miss you
.
.
.
But 5 Missed Call from HOME means
.
.
.
.
.
Beta Aaj toh Band Bajne Wali hai..

Aik Teri Rehmat Hi Hai Jo Dilon Ko Tootne

Aik Teri Rehmat Hi Hai Jo Dilon Ko Tootne Nahi Deti
Kon Dekhta Warna Kisi Ko Pas-e-Dewaar Rote Hue...

Aik Teri Rehmat

Thursday, March 5, 2009

Her Shakhs Ne Phainka Hai Mujhe

Her Shakhs Ne Phainka Hai Mujhe Payas Bhuja Kar
Dehleez Pe Toote Hue Saaghar Ki Tarha Hun...

Her Shakhs Ne

Ek muhabbat ka musghala

Ek Muhabbat Ka Musghala Le Kar
Zindagi Khoob Tabah Ki Main Ne

December tujh se guzarish

Ay December ek Guzarish hy tujh se
Jaldi jaldi muk yr teri meharbaani

Wednesday, March 4, 2009

Ay Chaand Tujhe Yahaan Na Aana Tha



Ye Duniya Tere Khatir Na Thi Shaayad
Ay Chaand Tujhe Yahaan Na Aana Tha


Bekaar Tatolta Raha In Pattharon Ko
Yahaan Mohobbat Ka Phool Na Khil Paana Tha,


Khoobsoorat Chehron Ke Pichhe
Makkariyon Ka Ambaar Dekha,



Insaaniyat,Pyar, Sachaai Jahaan Bikti Hai
Hamne Yahaan Wo Baazaar Dekha,


Apne Se Nazar Aane Waale
Bachpan Saath Bitaane Waale,


Mere Umron Lambe Doston Ki
Dosti Or Eitbaar Dekha,


Ghar, Daftar, Dukaanon Me
Mai Soude Baaziyan Jhelta Raha,


Mai Karta Raha Viswaas Sabpar
Har Ek Is Viswaas Se Khelta Raha,


Bada Eitbaar Tha Jis Chaandni Par
Wo Bhi Juda Ho Gai,


Jara Baadal Kya Chaaye
Wo Apna Vishwaas Kho Gai,


Har Rishte Ki Gehraai Me
Meine Daulat Ka Prabhaav Dekha,
Milna Milaana To Khoob Tha
Par Unme Khushboo Ka Aabhaav Tha.


Chaand


Koi Mere Dil Se Khelta Hai
Koi Mere Desh Se Khelta Hai,
Wo Uparwaala Jaane Kahaan Baitha Hai
Kya Wo Bhi Meri Hi Tarah,
Is Jahaan Ki, Makkaariyon Ko Jhelta Hai.



Wo lamha zindagi se

Teri ankhon mein ansoo they meri khatir


Mujhe wo lamha zindagi se pyara laga

Kya khabar thi is tarah se wo juda ho jayega



kya khabar thi is tarah se wo juda ho jayega
khwab mein bhi us ka milana khwab sa ho jayega
zindagi thi qaid hamen kya nikaloge us se
maut jab aa jayegi to khud riha ho jayega
dost banakar us ko chaha, ye kabhi socha na tha
dosti hi dosti mein wo khuda ho jayega
us ka jalva hoga kya jisaka ke parda nur hai
jo bhi us ko dekh lega wo fida ho jayega


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Rustom Sehgal Wafa



Ye Jo Samne Ladka

Girl:
Ye Jo Samne Ladka Betha Hai
Is Ka Naam Kya Hai


Waiter:
Yeh Ali Shahb Hain


Girl:
Yeh Mjhe Aik Ghantay Se Pareshan Kar Rahey Hain


Waiter:
Magar Wo To Apki Taraf Dekh Bhi Nahi Rahay?


Girl:
Yahi To Pareshani Hai


Moral:
Dunia Shareefon Ko Jeenay Nahi Deti

kaghaz per bana na saka

Jis ki tasweer mai kaghaz per bana hi na saka,
Us nay Mehndi say hethli pe utara hy mujhe.!

Alvida Alvida Mahay Ramzan

Hum rahey na rahey agley baras magr tm phr Aajaogy.


RAMZAN


Dar-haqeeqat tm nahi, Insaan hai mehmaan.


Alvida Alvida Mahay Ramzan..

Tuesday, March 3, 2009

Duniya Se Kuch Alag Hain Mere Dil K

Duniya Se Kuch Alag Hain Mere Dil K Mashghale

Kanton ko Choomta Hun K Phoolon Ka Dil Jale...

Duniya Se Kuch

Hamesha hai vasl-o-judai ka dhandha – Zafar Gorakhpuri



hamesha hai vasl-o-judai ka dhandha
buton ke hai ulfat khudai ka dhandha
agar baithe rindon ke sohabat mein zahid
to den chod sab parasai ka dhandha
jo hona hai aakhir wo hokar rahega
kare kon bakhtazamai ka dhandha
pareshan rahi umr bhar par na choda
teri zulf ne kajadai ka dhandha
mubarak raison ko kar-e-riyasat
gada ko hai kafi gadai ka dhandha
nahi khizr ke piche gar aur jhagade
to hai sath ik rahnumai ka dhandha
‘zafar’ is se bahatar hai nashanai
ki mushkil hai ye aashanai ka dhandha


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Zafar Gorakhpuri



Decent shayari

Zahid shrab peeny do masjid mein beth kr…
Ya wo jagha bta do jahan pr KHUDA nahi…
(Mirza Ghalib)
.
.
.
Masjid KHUDA ka ghar hai, peeny ki jagha nahi..
Kafir k dil mein ja, wahan pr Khuda nahi..
(ALLAMA IQBAL)

Humein Ab Kho K Kehti Hai Mujhe Tum Yaad

Humein Ab Kho K Kehti Hai Mujhe Tum Yaad Aty Ho

Kisi Ka Ho K Kehti Hai Mujhe Tum Yaad Aty Ho

Samandar Thi To Zor-O-Shor Se Lehrein Bahati Thi

Ab Qatra Ho K Kehti Hai Mujhe Tum Yaad Aty Ho

Bayaan Karte Jo Hal-E-Dil To Yunhi Muskura Deti

Wohi Ab Ro K Kehti Hai Mujhe Tum Yaad Aty Ho

Na Poocho Us Sang-Dil Ki Bad-Naseebi Ka Aalam

K Sab Kuch Kho K Kehti Hai Mujhe Tum Yaad Aty Ho...

Humein Ab Kho K

Monday, March 2, 2009

Door Se Dekha Series



Door Se Dekha Series [ New ]

Door Se Dekha To Santra Tha
Pass Jaake Dekha To Bhi Santra Tha
Chooke Dekha To Bhi Santra Tha
Chakh Ke Dekha To Bhi Santra Tha
Wah, Kya Santra Tha !!


Door Se Dekha To Haseena Baal Sukha Rahee Thee,
Kareeb Jakar Dekha To Gayein(Cow) Dum Hilaa Rahee Thee


Door Se Dekha To Kuchh Dikha Nahi…
Dooor Se Dekhaaa… To Kuchh Dikha Nahi…
Paas Jake Dekhaa To Kuchh Tha Hi Nahi


Door Se Dekha To Patthhar Dikhta Tha…
Dooor Se Dekha… To Patthharr Dikhtaa Thaa…
Paas Jake Dekha To… Suchmuch Patthhar Hi Thaa.


Door Se Dekha To Paani Baras Raha Tha
Door Se Dekha To Paani Baras Raha Tha
Paas Gaya… To Bheeg Gaya.


Door Se Dekha To Sher Tha
Door Se Dekha To Sher Tha
Is Liye Paas Gaya Hi Naihn.


Door Se Dekha To Ganje Uchak Rahe Thea
Door Se Dekha To Ganje Uchak Rahe Thea
Pass Jake Dekha To Unde Ubal Rahe The..



njoy life its beautiful

V may nt b eligible for oscars and grammys
bt v all eligible for life precious moment like
a big hug ,a quite evening walk ,
thinking of sumone late nite ,
watching the rain ,
sipping hot tea,parents love, to see sumone smile at u for no reason


@n a simple txt frm ur luvd one ,
treasure these moments u might nt get them bak
njoy life its beautiful

Aranmula Vallamkali Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Aranmula Vallamkali  Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Aranmula Vallamkali  2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Aranmula Vallamkali  sms greeting.



Aranmula Vallamkali is an annual water sports meet especially for boat races held in Aranmula district Kerela. The water fiesta is organized during Onam in the month of September. This world famous fiesta owes its origin to the Sree Parthasarathy Temple situated on the banks of the Pamba River.


Happy Aranmula Vallamkali  Mubarak to all of you from shayari Online Team



Happy Mother Day 2012 Sms Wishes

The Miracle of Life nurtured by a woman who gave us love and sacrifice…MOTHER
Happy Mothers Day!!

Me Bikhar Jaunga Zanjeer Ki Kadiyon Ki Tarha

Me Bikhar Jaunga Zanjeer Ki Kadiyon Ki Tarha

Aur Reh Jaegi Is Dasht Me Jhankaar Meri...

Me Bikhar Jaunga

Us Ki Ankhon Ko Kabhi

Us ki ankhon ko kabhi Ghaur se dekha hai faraz
sonay walon ki tarah , jagnay walon jaisi

Funny Shayari



Ya Rab Is Soe Hoe Insan Ko Jaga De,
Bistar Hai Is Ka Narm Tu Pathar Ka Bana De,


Khatmalon Or Macharon Ki Duty Is Par Laga De,
Jis Ki Hawa Se Wo Madhosh Hai Us Pankhay Ko Tu Jala De,


Or Kuch Nahi To Bas Esay Aek Saza De,
Khowab Mai Esay Koi Is K Jesa Bhoot Dikha De..



Ye Message Faltoo Hai, Mat Parho Pagal!=P:)

Mere Ghar Ki Chhat Par
Aagaye Hain Badal,


Wah wah wah..


Mere Ghar Ki Chhat Par
Aagaye Hain Badal,
.
.
.
Ye Message Faltoo Hai, Mat Parho Pagal!=P:)

Sunday, March 1, 2009

Dreaming Of You Makes My Night

Dreaming of you makes my night worthwhile,
Thinking of you makes me smile,
Being with you is the best thing ever,
And loving you is what Ill do forever..
Good night

Yamdittya Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Yamdittya Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com .Celebrate Winter Festival 2015 in style though our wonder full poetry and Shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Yamdittya greeting.


Jab Koi Junoon Aata Hain Dimaag Mein Apna Khoon Daal Deta Hoon Chiraag Mein Ak Chehra Ban Jaata Hain Meri Aahon Se Ak Soorat Chhupi Hui Hain Dil Ke Daag Mein


Kyun Zindaagi Dikhayi Hame Sapna Banakar, Kyun Bhula Diya Tumne Hame Apna Banakar, Main To Kabra Mein Bhii Tera Intezaar Karoonga, Ekk Baar Chali Aana Mera Janaza Samajkar,


Happy Yamdittya Mubarak to all of you from Shayari Online Team