Thursday, March 31, 2011

Baat Itni Si Thi K Tum Pyare Lagte Ho

Baat Itni Si Thi K Tum Pyare Lagte Ho

Baat Itni Barrh Gai K Ab Raha Nahi Jata...

Baat Itni Si Thi K

Lab Pe Masooma Ke Qasida Abbas



Lab Pe Masooma Ke Hai Tera Qasida Abbas
Kehti Hai Fatema Zehra Tujhe Beta Abbas


Labe Darya Hai Tera Roab Ye Kaysa Abbas
Sehma Sehma Hai Hawao Ka Bhi Lehja Abbas


Tarka Aula Teri Nazron Mein Hai Shayad Ye Bhi
Sard Jhonka Jo Nahin Tujhko Gawaara Abbas


Kulle Imaan Use Kehta Hoon Is Nisbat Se
Kulle Imaan Ke Dil Ki Hai Tamanna Abbas


Ye Bhi Hai Maujuzae Taate Binte Zehra
Teri Talwar Pe Hai Zainab Ka Kabza Abbas


Uski Taazim Ko Uth Jaata Tha Beemaar Imam
Jab Kabhi Bazm Mein Aata Tera Beta Abbas


Jis Ghari Aayenge Parde Se Imam-E-Aakhir
Hoga Takmeel Tera Jung Ka Jazba Abbas


Tere Aaney Ki Khabar Ho Gayi Shayad Rann Mein
Saaf Aata Hai Nazar Khaime Se Darya Abbas


De Diya Jaane Payambar Ko Hifazat Mein Teri
Tujh Pe Hai Fatema Zehra Ko Bharosa Abbas



Wednesday, March 30, 2011

Muqaddar Main Tu Nahi




Muqaddar Main Tu Nahi Teri Koi Khabar Bhi Nahi


Dil Teri Yaad Se Ek Pal Ko Bhi Magar Ghafil Nahi



Khud Ko Bhulaya Hai Teri Yaad Main Hazaar Baar


Ek Pal Ko Bhi Tujh Ko Dil Se Magar Bhulaya Nahi



Patt Jharr Main Bhi Raha Teri Yaad Ka Saawan


Magar Ek Ashq Bhi Aankh Se Bahaya Nahi



Dil To Kya Hum Kardete Apni Jaan Bhi Qurbaan


Tumne Ek Qadam Pyaar Se Aage Bharhaya Hi Nahi




Reputation is Important

Your reputation is more important


than your paycheck,


and your integrity is worth more


than your career.

Kash Meri Baato Ka Koi Asar Hota



Kash Meri Baato Ka Koi Asar Hota
To Meri Chahat Ka Moti Na Yu Kankar Hota


Us Malika-E-Husn Ne Mujhpe Taras Khaya Bhi To Kab
Saari Duniya Mujhpe Taras Kha Rahithi Tab


Yaad Hai Wo Hatho Me Leke Aayi Thi Ek Gulab
Mujhe Laga Hogaya Pura Mera Saara Khawab


Par Majburi Thi Waha Mai Unhein Nale Saka
Pegham-E-Mohabbat Ishaare Se Bhi Na De Saka


Jab Unke Ashk Mere Rukhsaar Par Gir Aaye
To Meri Dharkan Wo Mera Dil Dono Muskuraye


Ki Kya Khoob Waqt Aagaya Hai Is Roz-E-Aaj Ka
Ki Waqt Ho Chuka Hai Ab Mere Janaz-E-Namaz Ka



“ACHI BAAT” Dost Ka Imtihan Musibat Mein Hota Hai



“ACHI BAAT “


Dost Ka Imthan Musibat Mein Hota Hai


Bhai Ka Imthan Narazgi Mein Hota Hai


Biwi Ka Imthan Ghurbat Mein Hota Hai


Momin Ka Imthan Ghuse Mein Hota Hai


Aankh Ka Imthan Bazar Mein Hota Hai


Zuban Ka Imthan Mehfil Mein Hota Hai


Dil Ka Imthan Ishq Mein Hota Hai


Hath Ka Imthan Khana Khane Mein Hota Hai


Aulad Ka Imthan Waladen Ky Burhapy Mein Hota Hai


Insan Ka Imthan Qabar Mein Hota Hai


“ALLAH PAK”


Hme Hr Imthan Mein Kamyab Kre


“”””Ameen””””



us ko juda hue bhi zamana bahut hua-Ahmed Faraz



us ko juda hue bhi zamana bahut hua
ab kya kahen ye qissa purana bahut hua
dhalati na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq
ae marg-e-nagahan tera aana bahut hua
hum khuld se nikal to gaye hain par ae khuda
itane se vaqaye ka fasana bahut hua
ab hum hain aur sare zamane ke dushmani
us se zara rabt badhana bahut hua
ab kyon na zindagi pe muhabbat ko var den
is aashiqi mein jan se jana bahut hua
ab tak to dil ka dil se tarruf na ho saka
mana ki us se milana milana bahut hua
kya kya na hum kharab hue hain magar ye dil
ae yad-e-yar tera thikana bahut hua
kehta tha nasehon se mere muh na aaio
phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua
lo phir tere labon pe usi bevafa ka zikr
ahmad ‘faraz’ tujh se kaha na bahut hua


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



Tuesday, March 29, 2011

Mah E RAMZAAN Mubaarak

.’ * ‘-. _ _ .-‘


Chaand ki Pehli Dastak Pe,


CHaaNd MuBaRaK Kehte Hain,


Sub Se Pehle Hum Aap Ko,


Mah E RAMZAAN


“MUBAARAK” kehte hain.

Jin Lmhon men

“YE GHAZL MERE DOSTON K NAAM”


Kuch yaden hen un Lmhon ki


Jin Lmhon men hm sath rhy


Khushiyon se bhare jzbat rhy


Ek omr guzari ha hm ne


Jahan ruthe huwe b hste the


Kuch kehte the kuch sunte the


Hm roz subha jb milte the


To sb k chehre khilte the


Pur =lutf wo mnzr hota tha


Sb mil kr baten krte the


Hm soch k kitna hste the


Wo gonj hmare hsne ki


Ab ek purani yad bani


Ye baten hen un Lmhon ki


Jin Lmhon men hm Sath rahy


MISS U MY FRIEND.

2 line hindi massage



Kehna Hain Tum Se Hame Ye “SANAM”
Tumhe Jb MiLe “KHUSHi Aur GUM”,
“KHUSi” Chahe Rkhna Tum Apne Hi Sang
Magar Bant Lena Hum Se Apne “GUM”..!!





Tum ho sabki Aankhon ka noor,
ho apni adaon ke liye mashoor,


tum ho is zamane mein sabse alag,
sabse juda, kyunki tum insaan ke roop mein ho langoor.


Chand se pyar karna ho to Chandni se sikho…
Phoolo se Pyar karna hai to Baharon se sikho…


Agar kisi ka intezar karna hai to HUM se sikho…
Kahin Aapke intezar mein yeh umar na beet jaeyyy….



Share with us more 2 line hindi massage in Comments Section below.



Uttho meri duniya ke garibon ko jaga do – Sir Muhammad Iqbal



Uttho meri duniya ke garibon ko jaga do
khak-e-umara ke dar-o-divar hila do
garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lada do
sultani-e-jamahur ka aata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aaye mita do
jis khet se dahaqan ko mayassar nahi rozi
us khet ke har khosha-e-gundam ko jala do
kyon khaliq-o-makhaluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do
main nakhush-o-bezar hun marmar ke silon se
mere liye matti ka haram aur bana do
tahazib-e-navin kargah-e-shishagaran hai
aadab-e-junun shayar-e-mashriq ko sikha do


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sir Muhammad Iqbal



I Love You Sister

A sardarji Doctor falls in Love with a Nurse.
He writes a love letter to the Nurse :-
I Love U sister…

Live a Life of

Live a life of


Love, Honesty,


Appreciation,


Kindness and Strength.


Sprinkled with a little silliness.

Tujhe Main Khud Se Bahut Door Likhunga



Tujhe Main Khud Se Bahut Door Likhunga


Aik Gazal Tere Liye Zaroor Likhonga
Behisaab Us Mein Tera Kasoor Likhonga


Toot Gaye Bachpan Ke Tere Sare Khiloone
Aab Dilun Sy Khelna Tera Dastoor Likhonga


Raha Ishq Ka Dawa Tujhy Tamam Umar
Wafa Ki Dhleez Sy Tujhe Mafroor Likhonga


Tera Wajood Mera Wajood Mujhe Aik Sa Lagy
Pr Tujhe Main Khud Se Bahut Door Likhunga..?



Day With Positive Thought

Always end the day with a positive thought.


No matter how hard things were,


tomorrows a fresh opportunity to make it better.

Monday, March 28, 2011

Ajab Mausam Hai Mere Har Qadam Par Phool

Ajab Mausam Hai Mere Har Qadam Par Phool Rakhta Hai

Muhabbat Me Muhabbat Ka Farishta Sath Chalta Hai...

Ajab Mausam Hai

12 wishes for You

My 12 wishes for You
1. Happiness deep inside


2. Serenity at every sunrise


3. Success in every part of life


4. Family beside u


5. Caring friends around u


6. A Love that never ends


7. Good health to stay


8. Beautiful memories of yesterday


9. Nice days without sorrows


10. A pathway leading to better 2morrow


11. Dreams that never fade


12. May ALLAH bless u & protect u in every step of life..

Es Mohawary Ko Jumlay Mai

Teacher: Es mohawary ko Jumlay mai estimal karo
Mun mai pani ana
.
Sardar Student: Jese hi mai ne nal ko mun se lag kar nal chalo kia tu mere mun mai pani agia

Sunday, March 27, 2011

Happy Iqbal Day

Husn-e-kirdar se Noor-e-Mujasim Hoja


Iqbal


Kay Ablis Be Tjy Dekhy Tu Musalman Ho Jae


A Very Happy Iqbal Day

Drive Slowly

There is always a sign board “DRIVE SLOWLY” near a schøøl.


But


Never


near the girls colege.. Why?


Ans: Bcoz here vehicles automatically get slow 😀

If you fall

If you fall, I WILL pick you up…


as soon as I m done laughing 😉

Lahori Bachi

Girl: Xcuse me brother thats my seat.
Boy: OK but i m not ur brother. My father never touched ur mom


Girl: True, but my father did.


Moral:
Lahori Bachi….

Great Ramadan Wishes in 2012

O Allah, forgive me all my sins
Great and small,
The first and the last
those that are apparent
and
those that are hidden.
Ameen

Hamara Kiya Waasta Cricket Sy

Hamara kiya waasta cricket sy
Hamara to qaumi Khail Hockey hay ..

Tum se mil jaye

Hamein Koi Tum Sa Mil Jaye Na Mumkin Sahi Lakin


Tumhe Bhi Koi Humsa Mil Jaye Bara Mushkil Sa Lagta Hy…!!

Philosophy of BOYS

Philosophy of BOYS


Flirt with fool girls
Friendship with beautiful girls
Contact with rich girls
Love with sincere girls &
Marriage with Jeeven AMMI di Marzi.

Beautiful Dua

“Beautiful dua” Ae Allah..!


Mujhy to sirf teri Khushi Chahiye,


Dard Kaisa B Ho


Bandagi Chahiye,


Duniya Ki


Koi Khwahish


Nahi,


Aakhrat Ki Bs


Zindagi Chahiye,


Sirf Tere He Aage


Haath Phelaon


Aesi Mujhe Bebasi


Chahiye,


Tu Ho Jaye Raazi


Sanwar Jaun


Main,


Mere Malik Teri raza ki


Aagahi Chahiye,


Main Jhukun


aur Bus


Jhuka He Rahun,


IBbadat Me Bus


aisi Aajizi Chahiye,


Main Bhatak Jaun


agr Tu Sahara


Mujhy na de


Aesi Mujhe Teri


Rehbari Chahiye


AMEEN.

After Marriage

After marriage, husband and wife become two sides of a coin;
they just can’t face each other, but still they stay together.

Saturday, March 26, 2011

Khushi Har Baat Ke

Meri Har Khushi Har Baat Teri Hain,


Sanson Me Chhupi Ye Hayaat Teri Hain


Do Pal Bhi Nahi Reh Sakti Tere Bin


Dhadkano ki Dhadakti Har Aawaz Teri Hain.

Hazrat-E-Ishq Teri Peeri Ki Qadar Hai Warna

Hazrat-E-Ishq Teri Peeri Ki Qadar Hai Warna

Dil To Karta Hai Tujhe Galiyon Me Ghaseeta Jaye...

Hazrat-E-Ishq Teri

SUBHANALLAH

BÉST MSG ØF THÉ WORLD


AP s.a.w K pyare betay HAZRAT IBRAHEEM A.S ki wafat per AP S.A.W bht ghamgeen thay,


BIBI AYESHA R.T.A ne AAP S.A.W se arz kiya k ALLAH ne her nabi ko ye darja ata kia he k wo apni zindgi me koi 1 dua mang sakte hain jo foran qubol ki jae gi,
to AAP apne betay ki dobara zindgi ki dua q nahi mang lete,ALLAH qubol krne wala hai.


AAP S.A.W ne farmaya k wo dua me ne akhrat me apni ummat k lye sanbhal rakhi hai.
SUBHANALLAH.

Nice poetry Sms

khudara uska mujh pe itna asar ker de.
bana ker usay chawon mujhye shajar ker de…


From: zahid hussain (00923125071116)

When You Used To Be In Crises




I Wish I Had Ur Love


I Wish I Had Your Love!



I Could Have Hold You


I Could Have Kissed You



I Could Have Ignored The World For You


I Wish I Had Your Love!



When You Used To Be In Crises


I Wish You Could Have Trusted Me



I Wish You Could Have Asked Me


I Could Have Brought The Stars For You



I Could Have Lightened The Ways For You


I Wish I Had Your Love!



When I See You In My Dreams


I Wish I Can Hold The Moment



I Wish I Can Make This Dream True


I Wish I Had You For Ever



I Wish I Had Your Love


My Heart Is Like A Book



A Book Which Has Your Name On Every Page


But This Book Needs To Be Admired



But This Boook Needs To Be Read


I Wish You Could Have Bought This Book



You Could Have Read It


You Could Have Admired It



I Wish I Had You Love





Friday, March 25, 2011

EiK Aasa Rishta

Main faqat Khaak hoon Magar’ “NAAME-E-MOHAMMAD” se hai Nisbat Meri
Yehi Aik Rishta Hai Jo Meri Aukaat badal deta hai.

Pyaar SMS Shayari



Mian Wohi Hon Jisay Tum Piyar Kiya Kartey Theen
Din Main 100 Bar Mera Naam Liya Kertey Theen


Aaj Kya Baat Hay Kiyo Mujh Say Khafa Bethy Ho
Kya Kisi Aur Ko Dildar Apna Bana Bethey Ho


Fasley Itney Tu Pehley Na Huwa Kertey They
Mian Wohi Hon Jisay Tum Piyar Kiya Kartey Theen



Dil k Raz Parh Lena

Bohat Mushkil Hai Hr Chehry se Dil k Raz Parh Lena,*,
=Jin k Dil Tootay Hotay Hein,wo Pehchanay Nahi Jaty.

Zuban me Kis Tarah

Teacher student se: Table pe ink kis ne grai hai.. ??


Is Line ko apni zaban mai kis tarha kaho ge.. ??


Student: Ye kis kuttey k bacche ne apni aukat dikhai hai.. 😉

Thursday, March 24, 2011

Kabhi Jo Yaad Aaon

Itna Bura to na Tha jo yun Bhula dya mujh ko


kabhi jo yaad aaon to apnay faislay par ghor zaror karna !!

dat pers0n happy

A sh0rt but fantastic request :


‘try to keep dat pers0n happy wh0m u see everyday in the mirr0r!’ :-)

Aankhen Bheeg Jaati Hain

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Sad Poetry SMS

Uljhey huye hain halaat gham-e-yaar ki tarah,
Zindagi guzaar to rahe hain magar ik beemar ki tarah,


Najane mere shoq-e-safar ko kis ki nazar lag gayi,
Manzil ki jaanib rawaan dawaan hoon magar ik lachaar ki tarah,


Teri be’rukhi ik tarf to us ke na milne ki umeed,
Gham-e-yaar ki bhi aksar lagta hai gham-e-rozgar ki tarah,


Yeh daulat, shohrat, izat, yehi sab to khawb tha tumhara,
Sab paa ke bhi kyon hote ho sogwaar ki tarah,


Tareef teri main kya karoon aye chehra-e-benishaan,
Zulfain raat, hont gulaab, chaand lagta hai rukhsaar ki tarah,


Woh raat bhi kitni ajeeb thi jab woh mere qareeb thi,
Main pighal raha tha mom ban kar, woh dehek rahi thi gulnaar ki tarah,


Jis ko kho diya tum ne apni nadaaniyon se Waqas,
Ab kyon tarapte ho us ke liye pancchi beqaraar ki tarah..

Wednesday, March 23, 2011

Intehai mushkil kam

Duniya k 2 intehai mushkil kam.


1) Apna idea kisi aur k zehen me fit krna.


2) Kisi aur ka paisa apni jaib me muntkil krna.


Jo pehlay me kamyab hota hai, usay Teacher kehtay hen. Jo doosray mai kamyab hota hai, usay Buisness man kehtay hen. Aur jo dono me kamyab ho usay…. BIWI kehtay hen. 😉

Muhabbat Ki Tamana Hai To Phir Wo Wasf

Muhabbat Ki Tamana Hai To Phir Wo Wasf Paida Kr
Jahan Se Ishq Chalta Hai Wahan Tak Naam Paida Kr...

Submitted By: Nehal

Ae meri hamraqs mujh ko tham le- Noon Meem Rashid



ae meri hamraqs mujh ko tham le
zindagi se bhag kar aaya hun main
dar se larazan hun kaheen aisa na ho
raqsgah ke chor daravaze se aakar zindagi
dhundh le mujh ko nishan pa le mera
aur jurm-e-aish karte dekh le
ae meri hamraqs mujh ko tham le
raqs ke ye gardishen
ek mubaham aasiya ke daur hain
kaisi sargarmi se gham ko raundata jata hun main
jee mein kehta hun ki han
raqsgah mein zindagi ke jhankane se peshtar
kulfaton ka sangreza ek bhi rahane na paye
ae meri hamraqs mujh ko tham le
zindagi mere liye
ek khuni bhediye se kam nahi
ae hasin-o-ajanabi aurat usi ke dar se main
ho raha hun lamha lamha aur bhi tere qarib
janata hun tu meri jan bhi nahi
tujh se milane ka phir imkan bhi nahi
tu meri aarazuon ke magar tamsil hai
jo rahi mujh se gurezan aj tak
ae meri hamraqs mujh ko tham le
ahad-e-parina ka main insan nahi
bandagi se is dar-o-divar ke
ho chuki hain khvahishen be-soz-o-rang-o-natavan
jism se tere lipat sakata to hun
zindagi par main jhapat sakata nahi
is liye ab tham le
ae hasin-o-ajanabi aurat mujhe ab tham le


           Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Noon Meem Rashid



1 Namaz Qaza karne Per

1 namaz qaza karne se 2 karor 88 lak sal jahanam me jalne ki saza he aur 1 din 50000 sal ka hoga
Aap fazool sms to rozana send karte ho aaj
Yeh sms dsrn ko send karo is liye ke is se 1 bhi banda namazi ho gaya to is ka sawab aap ko us ke marne tak milta rahe ga.
JAZAK-ALLAh

Tuesday, March 22, 2011

Mustafa jane rehmat pe lakhon in urdu translation



Jis taraf uTh gayee dam mein dam aagya
Uss nigaah i ‘inaayat pe laakhon salam


Kis ko dekha yeh Musa se pooche ko’ii
Aankhon walon kii himmat pe laakhon salam


Door o nazdeek kay sun-nay waalay woh kaan
Kaan e la’l e karaamat pe laakhon salam


Patli patli gul e quds ki patiyaaN
Un laboN ki nazaakat pe laakhon salam


Jinkay guchchay se lachchay jhaRein noor kay
Un sitaaroN kii nuzhat pe laakhoN salam


Woh dahan jis kii har baat wahi e Khuda
Chasma e ‘ilm o hikmat pe laakhon salam


Jiskay paani se shaadaab jaan o jinaan
Us dahan kii tarawaT pe laakhon salam


Jis se khaaray kunwein sheerah-e-jaan banay
Uss zulaal halaawat pe laakhon salam


Voh zubaan jis ko sab kun kii kunji kehein
Uski nafiz hukumut pe laakhon salam


Uski pyaarii fasaahat pe bayhad durood
Uski dilkash balaaghat pe laakhon salam


Uski baaton kii lazzat pe laakhon durood
Uskay khutbay kii haybat pe laakhon salam!


Rîsh e khush mu’tadil marham rîsh e
Haala e maah i nudrat pe laakhon salam


Khat kii gird dahan who dil-aara phaban
Sabza i nahr e rahmat pe laakhon salam


Jis mein nehrein shîr o shakar kii rawaaN
Us galay kii nazaarat pe laakhon salam


Dosh bar dosh hai jinkay shaan e sharaf
Aisay shaanon kii shawkat pe laakhon salam


Hajr e aswad e Ka’aba e jaan o dil
Ya’ni mohr e Nabuwwat pe laakhon salam


Bay-saheem o qaseem o adeel o maseel
Johar e fard e izzat pe laakhon salam


Jis ko baar e do aalam kii parwaa nahin
Aisay baazoo kii quwwat pe laakhon salam


Ka’aba e deen o imaan kay donon sutoon
Sa’idayn e Risaalat pe laakhon salam


HaaTh jis simt uThaa ghanii kardiya
Mawj e bahr e samaaHat pe laakhon salam


Jis kay har khat mein hai mawj e noor e karam
Is kaf e bahr e himmat pe laakhon salam


Noor kay chashmay lehrain, daryaa behein
Ungliyon kii karaamat pe laakhon salam


Eid e mushkil-kushaa’ii kay chamakay hilaal
Naakhunon kii bashaarat pe laakhon salaam


Rafa’ e zikr e jalalat pe arfa’ durood
Sharh e sadr e sadaarat pe laakhon salam


Dil samajh se waraa’ hai magar yoon kahoon:
Ghuncha e raaz e wahdat pe laakhon salam


Kul jahan milk aur jaw kii roTi ghiza
Us shikam kii qana’at pe laakhon salam


Jo ke `azm e shafa’at pe khinchkar bandhii
Uss kamar kii hamaayat pe laakhon salam


Anbiya teh karein zaanoo Inkay huzoor
Zanoo’on kii wajaahat pe laakhon salam


Saaq e asl e qadm, shaakh e nakhl e karam
Shama’ e raah e isaabat pe laakhon salam


Khaaii Qur’an ne khaak e guzar kii qasam
Uss kaf e paa kii hurmat pe laakhon salam


Qad e bay-saaya kay saaya-e-marhamat
Zill e mamdood o raafat pe laakhon salam


Taairaan e quds jis kii hain qumriyaan
Uss sahi sarw e qaamat pe laakhon salam


Jis kay aagay sar e sarwaraan khum rahain
Us sar e taaj e rif’at pe laakhon salam


Shabnam-e-baagh e Haqq, ya’ani rukh kaa `arq
Us kii sachchii baraaqat pe laakhon salam


Bheenii bheenii mehak par mehaktii durood
Pyaarii pyaarii nafaasat pe laakhon salam



Share with us more Mustafa jane rehmat pe lakhon in urdu translation in Comments Section below.



Guru Amar Das Jayanti Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest  Guru Amar Das Jayanti Day Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com . Celebrate Guru Amar Das Jayanti Day 2015 in style though our wonder full poetry and shyari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Guru Amar Das Jayanti Day sms greeting.


Kissi Ne Pucha Tera Karobaar Kitna Hai
Kssi Ne Pucha Tera Parivaar Kitna Hai
Koi Virla Hi Puch Da Hai
Tera Guru Naal Pyaar Kitna Hai


Happy Guru Amar Das Jayanti Day Mubarak to all of you from shayari Online Team



Computer Shairi – Part 6



 Urdu Computer Shairi , Computer Poetry , Funny Hindi Computer Poetry , Hindi Computer Shayari , Urdu Funny Shayari , Urdu News , Urdu Pakwan , Hindi News
Computer Shairi – 6


Abhi Abhi To Pyaar Ka Computer Kiya Hai Chaaloo
Abb Main Dil Ki Hard Disk Pe Aur Kitni Files Daaloon


Apne Chehre Se Ruswaai Ka Error To Hatao
Ae Jaaneman Apne Dil Ka Password To Batao


Woh To Hum Hain Jo Aap Ki Chahat Dil Mein Rakhte Hain
Warna Aap Jaisa Kitne Hi Softwares Bazaar Mein Bikte Hain


Roz Raat Ko Aap Mere Sapne Mein Aate Ho
Mere Pyaar Ko Mouse Bana Ke Ungaliyon Pe Nachaate Ho


Tere Pyaar Ka Email Mere Dil Ko Lubhata Hai
Per Beech Mein Tere Baap Ka Virus Aata Hai


Aur Karvaoge Hum Se Kitnaa Intezaar
Hamare Dil Ki Site Pe Kabhi Enter To Maro Yaar



Judge a Women

When you judge a women


by her appearance,


It does not define her,


It defines you.

Phir Us Ki Her Adaa Se Chalakne Laga

Phir Us Ki Her Adaa Se Chalakne Laga Khuloos,
Jab Mujh Ko Aitbaar Ki Aadat Nahi Rahi...

Phir Us Ki Her Adaa

Wafaon Se Mukar Jana Hamein Aya Nahi

Wafaon Se Mukar Jana Hamein Aya Nahi Ab Tak

Jo Waqif Na Hon Chahat Se Hum Un Se Zidd Nahi Karte...

Wafaon Se Mukar

BeQadar ho gaye

BeQadar ho gaye hain kuch DOST humare


Jo Humari Zarurat tak mehsoos Ñahi karte,


Kabhi Bohat Batein kiya karte thay humSe


Ab khairiyat tak maloom nahi karte.

Jis Kisi Ko Bhi Chaho Woh Bewafa Ho Jaata Hai



Jis Kisi Ko Bhi Chaho Woh Bewafa Ho Jaata Hai
Sar Agar Jhukao To Sanam Khuda Ho Jaata Hai
Jabh Talak Kaam Aate Raho, Humsafar Kehlaate Raho
Kaam Nikal Jaane Par Humsafar, Koi Doosra Ho Jaata Hai
Gham Nahi Tha Humko Kabhi Zamaane Ki Ruswaaion Ka
Takleef Hoti Hai Jabh Koi Apna Khafa Ho Jaata Hai
Dil Ki Khalish Aksar Jaan Leva Ho Jati Hai Lekin
Dar-E-Dil Ek Hadh Ke Baad Dard-E-Dawa Ho Jaata Hai
Hara Bhara Hai Gulshan-E-Yaar, Yeh Bahar Ke Din Hai
Khizan Aane Par Dekho Ek Ek Patta, Kaise Juda Ho Jaata Hai
Yahi Sachchai Hai, Haqeeqat Hai, Yahi Dastoor-E-Zindagi Hai
Kuch Der Milte Hai Humraahi,Phir Aadmi Tanha Ho Jaata Hai



Raat Gaye Tak

Ye Nend Ki Devi Bhi Ajab Dushman e Jaan He ..!!


Ankhon Se Sada Door Rahe … Raat Gaye Tak .!!


Paspa Huwe , Tanhaai Ki Yalghar Se Jab Bhi …!!


Ham Shehar Me Awara Phire, Raat Gaye Tak ..!!

Monday, March 21, 2011

For All My Friends

I miss my frnz?
Bcz…
They open their ansr sheet during papr & say”Le chap le jldi wrna latak jyga”..
Apna homwrk kr k copy dety or kehty”kal homwrk kr lena wrna sir clas se nikal dngy”..
Canteen me break k wkt apni plate mjhy dete hue khty”Le kha.Apne pese qabar me lejana”..
Jb lrai hoti to dusri desk pe bthty or gaty”Dost dost na rha pyar pyar na rha”..
Last day ankhon me nami or hoton pe sawal”Tu mjhy bhol to nhi jyga na”..
Miss u my frndz . . . . . .

Ghar Se Nikal Jayen

* ( wazifa ) *


Agr Ap Chahty Hn K Ap ka Ghr Pak ho jae
Ghr Me Farishty Aen,
Ghr Me Brkat Ho,
Ghr Se Preshani Khtm hojae,


To,,, Plz Ap Ghar Se Nikal Jayen :-

Guftgoo aisi cheez

Guftgoo aisi cheez he jis ki waja se Insaan:


Ya to dil mein utar jata hay


Ya phir dil se utar jata hay.

Hindi Romantic Shayari – Bister Per Main



Apnay Bister Per Bohat Der Se Main Neem Daraz
Sochti Hon K Is Waqt Who Kahan Ho Ga


Mai Yahan Hon Magar Is Koocha-E-Rango-Bo Main
Roz Ki Tarah Who Aaj Bhi Aya Ho Ga


Aur Jub Us Nai Wahan Mujh Ko Na Paya Ho Ga
Aap Ko Maloom Hai Who Aaj Nahi Ayi Hain


Meri Her Dost Se Us Nai Yehi Poocha Ho Ga
Chalte Chalet Koi Manoos Si Ahat Pa Ker


Dosto Ko Bhi Kisi Uzr Se Roka Ho Ga
Rahdari Mai Haray Lawn Main Phoolon K Qareeb


Us Nai Her Simt Mujhay Aan Kar Dhoonda Ho Ga
Jub Mili Ho Gi Use Meri Halat Ki Khabar


Us Ne Ahista Se Deewar Ko Thama Ho Ga
Yad Kar K Mujhay Nam Ho Gain Hon Gi Palkain


Ankh Main Par Gaya Kuch! Keh Kar Tala Ho Ga
Or Ghabra Kar Kitabon Main Jo Li Ho Gi Panah


Her Sitr Main Mera Chehra Ubher Aya Ho Ga
Ittefaqan Mujhay Us Sham Meri Dost Mili


Mai Nai Poocha Suno Aye Thay Who Kaisay Thay?
Mujhay Poocha Tha?Mujhay Dekha Tha, Choro Janab!


Us Nai Aik Lamhe Ko Dekha Mujhay Or Hans Di
Is Hansi Main Tu Who Talkhi Thi K Is Se Agay


Kia Kaha Us Nai Mujhay Yad Nahi Bus
Bus Itna Maloom Hai K
KHOABOON KA BHARAM TOOT GAYA!!



Sunday, March 20, 2011

Khilono Ki Jagah Dil Toot'ta Hai

Khilono Ki Jagah Dil Toot'ta Hai
K Guriya Ab Bari Hone Lagi Hai...

Submitted By: Asim

Na Kar Aye Baghbaan Shikwa Gulaabon Ki Be-Nayazi

Na Kar Aye Baghbaan Shikwa Gulaabon Ki Be-Nayazi Par

Haseen Jo Bhi Hote Hain Zara Maghroor Hote Hain...

Na Kar Aye Baghbaan

Hum se khafa hai

Sirf Tu Hi Nahi, Sari Duniya Ki Nazar Humse Khafa Hai..!!


Jab Naseeb Main Payar Hi Nahi, To Kaise Kahu Koi Bewafa Hai…!!

Meri Saanson Ko Aadat Hai Teri Yaadon Se

Meri Saanson Ko Aadat Hai Teri Yaadon Se Chalne Ki

Ruk Jaengi Ye Saansein Jis Din Tum Yaad Na Aaoge...

Meri Saanson Ko

Ajab Pagal Si Larki Hai



Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay Her Khat Main Likhti Hai
Mujhay Tum Yaad Kertay Ho?
Tumhain Main Yaad Aati Hoon?
Meri Baatain Satati Hain
Meri Neendain Jagati Hain
Meri Aankhain Rulaati Hain
December Ke Sunehri Dhoop Main Abb Bhi Teheltay Ho?
Kisi Khamosh Rustay Se
Koi Awaaz Aati Hai?
Thatharti Sard Raaton Main
Tum Abb Bhi Chhatt Pe Jaatay Ho?
Falak Ke Sab Sitaroon Ko
Meri Baatain Sunatay Ho?
Kitabon Se Tumharay Ishq Main Koi Kami Aai?
Ya Mairi Yaad Ke Shiddat Se Aankhon Main Nami Aai?
Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay Her Khat Main Likhti Hai..


 Jawaban Ous Ko Likhta Hoon..
Meri Masroofiyat Daikho Subah Se Shaam Office Main
Chiragh-I-Umer Jalta Hai
Phir Ous K Baad Duniya Kee
Kaee Majbooriyan Pao`N Main Bairi Daal Rakhti Hain
Mujhay Bay-Fikr, Chahat Se Bharay Sapnay Nahin Dikhtay
Tehelnay, Jagnay, Ronay Kee Mohlat Hee Nahin Milti
Sitaroon Se Millay Arsa Hua..Naraz Hon Shayad
Kitaboon Se Shughaf Maira Abhi Waisay He Qayem Hai
Farq Itna Parra Hai Ab Ounahin Arsay Main Parhta Hoon
Tumhain Kis Ne Kaha Pagli Tumhain Main Yaad Kerta Hoon
Ke Main Khud Ko Bhulanay Kee Musalsal Justajoo Main Hoon
Tumhain Na Yaad Aanay Kee Musalsal Justajoo Main Hoon
Mager Yeh Justajoo Meri Bohat Nakaam Rehti Hai
Mere Din Raat Main Abb Bhee Tumhari Shaam Rehti Hai
Mere Lafzoon Ki Her Maala Tumharay Naam Rehti Hai
Tumhain Kis Ne Kaha Pagli Tumhain Main Yaad Kerta Hoon
Poorani Baat Hai Jo Log Akser Gungunatay Hain
Ounhain Hamm Yaad Kertay Hain Jinahin Hamm Bhool Jatay Hain
Ajab Pagal Si Lerki Ho
Meri Masroofiyat Daikhoo
Tumhain Dil Se Bhulaoon Tu Tumhari Yaad Aaye Na
Tumhain Dil Se Bulanay Kee Mujhay Fursat Nahin Milti
Aur Iss Masroof Jeewan Main
Tumahray Khat Ka Ikk Jumla
Tumhain Main Yaad Aati Hoon ?
Meri Chahat Ki Shiddat Main Kami Honay Nahin Daita
Bohat Raatain Jagata Hai Mujhay Sonay Nahin Daita
So Agli Baar Apnay Khat Main Yeh Jumla Nahin Likhna
Ajab Pagal Si Larki Hai Mujhay Phir Bhee Ye Likhti Hai
Mujhay Tum Yaad Kertay Ho Tumhain Main Yaad Aati Hoon ?


Urdu Version:


عجب پاگل سی لڑکی ہے
مجھے ہر خط میں لکھتی ہے
مجھے تم یاد کرتے ہو؟ تمھیں میں یاد آتی ہوں؟
میری باتیں ستاتی ہیں
مری نیندیں جگاتی ہیں
… مری آنکھیں رُلاتی ہیں
دسمبر کی سنہری دھوپ میں اب بھی ٹہلتے ہو
کسی خاموش رستے سے کوئی آواز آتی ہے؟
ٹھٹھرتی سرد راتوں میں تم اب بھی چھت پہ جاتے ہو
فلک کے سب ستاروں کو میری باتیں سناتے ہو
کتابوں سے تمھارے عشق میں کوئی کمی آئی؟
یا میری یاد کی شدّت سے آنکھوں میں نمی آئی؟
عجب پاگل سی لڑکی ہے
مجھے ہر خط میں لکھتی ہے


جواباَ اس کو لکھتا ہوں
میری مصروفیت دیکھو
صبح سے شام آفس میں چراغِ عمر جلتا ہے
پھر اس کے بعد دُنیا کی کئی مجبوریاں پاؤں میں بیڑی ڈال رکھتی ہیں
مجھے بےفکر، چاہت سے بھرے سسپنے نہیں دِکھتے
ٹہلنے، جاگنے، سونے کی فرصت ہی نہیں ملتی
ستاروں سے ملے عرصہ ہوا ناراض ہوں شاید
کتابوں سے شغف میرا ابھی ویسے ہی قائم ہے
فرق اتنا پڑا ہے اب انہیں عرصہ میں پڑھتا ہوں
تمھیں کس نے کہا پگلی تمھیں میں یاد کرتا ہوں؟
کہ میں خود کو بھلانے کی مسلسل جستجو میں ہوں
تمھیں نہ یاد آنے کی مسلسل جستجو میں ہوں
مگر یہ جستجو میری بہت ناکام رہتی ہے
مرے دن رات میں اب بھی تمھاری شام رہتی ہے
مرے لفظوں کی ہر مالا تمھارے نام رہتی ہے


تمھیں کس نے کہا پگلی مجھے تم یاد آتی ہو؟
پُرانی بات ہے جو لوگ اکثر گنگناتے ہیں
انہیں ہم یاد کرتے ہیں جنھیں ہم بھول جاتے ہیں


Share By : Sadaf Dawood



Sachi Dosti

Jisney Chand ki roshni nahi dekhi.
jisney pholon ki tazgi nahi dekhi.
jo ye kehte hain k mitt jati hai dooriyon se dosti.
Usney shayad hamari dosti nahi dekhi.

Share Life with Friends

A statement written outside the Open Heart Surgry unit:
“Agar dil khol lety apna yaro k sath,
To Aaj kholna na parta Auzaro k sath.”
Share Life wid Friends.

Urdu subah mubarak shayari



Urdu subah mubarak shayari . Best subah bakhar shayari to welcome morning. You can send this suba shayari or poetry in Urdu or Hindi as sms as well or share it with your friends and lover.


Har Subah Teri Muskurati Rahe
Har Sham Teri Gungunati Rahe
Meri Dua Hai Ki Tu Jis Se Bhi Mile
Har Milne Wale Ko Teri Yaad Aati Rahe


Raat Gujri Phir Mehekti Subah Ayi
Dil Dhadka Phir Tumhari Yaad Ayi
Aanko Ne Mehsoos Kiya Uss Hawa Ko
Jo Tumhe Chhukar Hamare Pass Ayi


Har Subah Ki Dhoop Kuch Yaad Dilati Hai
Har Phool Ki Khushbu Ek Jadu Jagati Hai
Chahu Na-Chahu Kitna Bhi Par
Subah-Subah Aapki Yaad Aa Hi Jati Hai…


Foolon ne Amrit ka jaam bheja hai…,
Sooraj ne gagan se Salam bheja hai…,
Mubaarak ho Aapko nayi subhah…,
Tahe-Dil se Hamne ye Paigaam bheja hai..!!!


let us know in comment section if you like this Urdu subah mubarak shayari Collection.



Khuda Ki Khas Rehmat

Khuda ki khas rehmat hai


buzurgon ki basharat hai


kai naslon ki qurbani


kai naslon ki mehnat hai


jab hi tareekh ne rakha hai


Is ka naam pakistan


pakistan pakistan pakistan pakistan


Mera peghaam pakistan


Happy independence day

Awww Kerne wali ke

Allah ka diya sab kuch hai,


Magar bas ek awww kerne wali ki kami hai.

umron ke is mamure mein hai koi aisa din bhi jo -Majid Amjad



umron ke is mamure mein hai koi aisa din bhi jo
ruh mein ubhare phand ke suraj ke saiyal samandar ko
itane kam hain in mavvaz safon mein khush khush phirta hun
lekin aj agar kuch apne bare mein bhi socha to
ek safar ki hai sirf musafat ek safar ki hai juzv-e-safar
jine wale yon bhi jiye hain ek umr aur zamane do
ye anjana shahar aur paraye log ae dil tum yahan kahan
aj is bheed mein itane dinon ke bad mile ho kaise ho
duniya mudi-tudi sachai sab sache koi to kabhi
is andhere se nikle apne jhuthe rup ke darshan ko
aakhir apne sath kabhi to ik be-mahar muravvat bhi
apne sare naam bhulakar kabhi khud apne gun to gino
kachinind aur jism ne dhup chakhi aur dil mein phul khile
ghas ke sej pe main hun tumhare dhyan mein aane wale dino


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Majid Amjad



Saturday, March 19, 2011

Dil May Bassaya

Dil may busssay ho tum Sirf chaha hay tumhay


Is dil kay darkanooo may sirf paya hay tumhay

Friday, March 18, 2011

Khane k Baad

“CANCER”


ek Khatarnak Beemari hai


Boht se log is ko khud hi daawat dety hain,


Boht mamooli ahtiyat kar k is beemari sy bacha ja sakta hai.


Aksar log khana khane k baad pani pee leyty hain,


Khana khany k baad pani khoon main mojood cancer ka sabab ban’ne walay cells ko oxygen fraham krta hai.


NABI PAK(S.A.W.W) ki hadees mubarak hai k


“KHA’NE K BAD PANI PEENA WABA HAi”


So plz ye baat apne sb doston ko bhi bataen!sadqa-e-jaria.

Qadar Zindagi Mein

Qadar karni hai to Zindagi mai karo,


DOSTO


Kafan uthanay k waqt to nafrat karny waly Bhe Roo party Hain

Talkhiyaan zamanay ki

Mera naseeb huieN talkhiyaaN zamanay Ki


Kissi naiN khoob saza di hai muskuranay Ki

Thursday, March 17, 2011

Celebrate Pakistan Independence Day 14 August 1947



Kisi Ney Sir Katya Tha


Najne Kitnoo Ney Ghar


Lotya Tha,


Yeh Din Mushkil Sy Aata Hi,


Yeh Din Mushkil Sy Aya Tha,


SALAM Beshumar AZADI Ke Un SAHEEDON Pr,


Jinhon Ney RAH-E-AZADI Mein


Apna KHOON Bahya Tha,


SALAAM Un MAOuN BEHNOO, BETIYOuN Pr,


Jinhoo Ney Apny MUQADUS ANCHAL Sy Yeh AZEEM PARCHAM Bnaya Tha,




9 March ka 1 sacha waqia

9 March ka 1 sacha waqia


jise soch ker


Insan ki rroh tak kanp jati hai


magar Zalimo k hat tak na kanpy


Lahore me 4 sal ki 1 Masoom Bachi


Jo abi theek traha Bol B nai sakti thi


or jo Din Us k khelny kudne k the us k Apne Baap


NE us Masoom ki ek na suni aur us roti hui bachi ko pakar k ZBRDSTI


SCHOOL bejh diya

Wednesday, March 16, 2011

Saadgi May B

“Husun waLo ko kia Zarorat hy Sanwarny ki dosto.


Hum to saadgi may b Qayamat ki Ada rakhty Hain.”


Dedicated 2 Me


” /(‘,’)/” )( /” /


TALIYAAN


Thank you

Bikharate tutate lamhon ko apana hamsafar jana – Makhmoor Saeedi



Bikharate tutate lamhon ko apana hamsafar jana
tha is rah mein aakhir hamen khud bhi bikhar jana
hawa ke dosh par badal ke tukde ke tarah hum hain
kisi jhonke se puchenge ki hai hum ko kidhar jana


mere jalate hue ghar ke nishani bas yahi hogi
jahan is shahar mein roshni dekho thahar jana
pas-e-zulmat koi suraj hamara muntazir hoga
isi ek vaham ko hum ne chirag-e-rahguzar jana


dayar-e-khamashi se koi rah-rah kar bulata hai
hamen “makhmoor” ek din hai isi aavaz par jana



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Makhmoor Saeedi



Tum Ek Kaghaz K Tukray Par Nahi Milna

Tum Ek Kaghaz K Tukray Par "Nahi Milna" Jo Likhti Ho
Me Us Tukray Par Milne K Naye Manzar Banata Hun...

Tum Ek Kaghaz K

Tuesday, March 15, 2011

3 Females and 2 Males

Girl : What are you doing ?


Boy : killing mosquitoes


Girl : how many did you killed?


Boy : 3 females, 2 male, total 5 !!!


Girl : how did you know that?


.
.
.


Boy : 3 sitting on mirror, 2 near beer..!

In An African Safari

In an African Safari, A Lion suddenly bounced on Santa wife.
Jeeto: Shoot him! Shoot him!
Santa: Yes Yes. Im changing the battery of my camera.

Musibat ya Aazmaish

Hazrat Ali (R.A) se kisi ne sawal kia k


“kis tarah pata lagaya jaye k insaan per aanay wali musibat saza hai ya aazmaish?


Hazrat Ali (R.A) ne farmaya k


“jo musibat insaan ko Allah se door karey wo saza hai


Aur


jo musibat insaan ko Allah k qareeb karay wo Aazmaish hai.”

Barat le ker Ani Hai

>ShOrtcut PropOse

Ajab Hai Raah-e-Mohabbat Bhi

Ajab Hai Raah-e-Mohabbat Bhi
K Chale To Ek Umer Or Manzil Na Pai...

Submitted By: Arslan Rock

Monday, March 14, 2011

Happy Rose Day

Happy Rose day to Couples


and


Happy Roz jaisa day to Singles 😉

Saza ka hal sunaye jaza ke baat karen – Sahir Ludhianvi



Saza ka hal sunaye jaza ke baat karen
khuda mila ho jinhen wo khuda ke baat karen
unhen pata bhi chalen aur wo khafa bhi na ho
is ehatiyat se kya maza ke baat karen
hamare ahad ke tahazib mein qaba hi nahi
agar qaba ho to band-e-qaba ke baat karen
har ek daur ka mazahab naya khuda lata
karen to hum bhi magar kis khuda ke baat karen
vafashiyar kai hain koi hasin bhi to ho
chalo phir aj usi bevafa ke baat karen


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi



Yeh To Raksha Bandhan Hai



Saawan Ka Mausam Tha,
Poonam Ki Raat Thi,
Mein Uske Paas Tha,
Woh Mere Karib Thi

Fir Woh Mere Paas Aayi,
Aur Thodi Si Ghabraayi,
Jab Meine Uska Haath Pakada,
To Woh Thodi Si Sharmaayi

Usne Kaha Aaj Hum
Aise Bandhan Me Bandh Jaaye,
Jise Duniya Ki,
Koi Taakat Na Tod Paaye,



Meri Khushi Ka Andaaza,
Lagana Mushkil Tha,
Par Iske Aage Jo Hua,
Woh Batana Bhi Mushkil Hai

Usne Mera Haath,
Haatho Me Lekar Kaha,
Yeh To Janam Janmo,
Ka Bandhan Hai

Phir Mujhe Yaad Aaya,
Woh Saawan Ka Mausam,
Woh Poonam Ki Raat,
Yeh To Raksha Bandhan Hai!



Funny Urdu poetry sms

Pyar ki rasmo ko ye zamana kiya jane,


Dil ka dard,dil torne wala kiya jane,


Hoti hai kitni mehnat Ek larki phasane me,


Yeh ghar pe betha ABBA kiya jane.

HUM CHAHAIN AAP KO

HUM CHAHAIN AAP KO
AAP CHAHAIN KISI AUR KO


AAP JISAY CHAHAIN KHUDHA KARAY
WO CHAHAIN KISI AUR KO

Moyassar tha

:Buhut kuch:
Tujh sy barh kar bhi, “Moyassar tha” “Moyassar hai”
Na janey phir bhi kiyon “Teri”


“Zarurat”kam nahi hoti….. !

Sunday, March 13, 2011

Shadi K Chances

Only For Unmarried.


Jis Se Ap Pyar Krte Ho Us Se Shadi K Kitne % Chance Hain.


Koi Ek Select Karen.
A,
B,
S,
N,
E,
F,
T,
Y,
R,
K.


Reply Must


——


Answer Is


A…00%
B…50%
S…100%
N…90%
E…10%
F…75%
T…05%
Y..60%
R…98%
K…20%.

Maa Shayari Mother Shairy



Zindagi Main Kuch Paya Or Kuch Koya
Lakin Tuje Kona Nhi Chahtha Maa


Zindagi Na Kabhi Hasaya Or Kabhi Rulaya
Lakin Tuje Rulana Nhi Chahtha Maa


Yaad Athi Hai Uhoht Tere Bachpan Ki Wo Lory
Isi Liye Tere Ghod K Ilawa Kahin Or Sona Nhi Chahtha Maa

Kithna Danta Tha Tune Bachpan Main
Ab Q Nhi Dandthi Tu Muja Maa


Kesa Zinda Reh Paonga Main Tere Baghair
Kabhi Fursat Mile Muja Tu Ye Tho Batha Maa


Kiya Hoon Main Tere Dil Main Ab Thak?
Kabhi Tho Dhek Mere Dil Ko Cheer K Apne Aap Ko Maa


Zindagi Tu Na Tho Meri Roshan Kar Di
Lakin Khud Kiss Andhera Main Ko Gayi Tu Maa


Kabhi Tho Kila Muja Apne Hath Ki Roti
Aaj Kal Bhuk Bohoth Lagthi Hai Muja Maa


Kahaan Ho Tum, A Kar Lagalo Gale Iss Bebas Ko
Na Jane Kis Kash Main Nikal Jaye Meri Saans Maa



Ehsaas Lyrics by Atif Aslam



Main Ek Fard Hoon Ya Ek Ehsaas Hoon
Main Ek Jism Hoon Ya Rooh Ki Pyaas Hoon
Ki Such Ki Talaash Hai, Door Aakaash Hai
Manjil Paas Nahin, Kya Tu Mere Paas Hai


Kabhi Main Am Rahoon, Kabhi Beam Rahoon
Gar Tujhme Nahin To Phir Main Mehal Hoon
Ke Such Ki Talaash Hai Door Aakaash Hai
Manjil Paas Nahin, Kya Tu Mere Paas Hai


Ke Such Ki Talaash Hai Door Aakaash Hai
Manjil Paas Nahin, Kya Tu Mere Paas Hai
Such Ki Talaash Hai Door Aakaash Hai
Manjil Paas Nahin, Kya Tu Mere Paas Hai


Main Ek Fard Hoon Ya Ek Ehsaas Hoon
Main Ek Jism Hoon Ya Rooh Ki Pyaas Hoon



Aayat-e- Qurani

Lab Pe Hadeeson Ki Rawani Le Chal,


Seenay Me


Aayat-e- Qurani Le Chal,


Agar Milna Ho Baag-e-Jannat Me


To Peshani Pe


Sajday Ki Nishani Le Chal.

Funny Sardar Mother Sms

Sardar ki bevi:


Rat kafi ho gae he par sardar g nae ay,


zrur koe larki ka chkr hai sardar ki


mother: Hmesha bura hi sochna,


kya pta ksi truck k niche a gaya ho

Love sms in punjabi words



Dunia naal ni mildi pasand saadi, asi
vakhra pasand kuchh karde han, Oye rang
roop te sab rab diyan datan ne, assi tan
mitha bolan vale te marde han….


Kadde preet de bagi bahar aondi hai ..
kadde patcharr de badall cha jande ne…
dost mille te bahut khushi hundi hai…
waqt pain te oh hi dost rula jande ne..


Akhian wich majburi changi ni hundi, O
yaara, mitran naal duri changi ni hundi,
kade tusi v yaad kar liya kro sanu, har
vari sadi pehal ta ZRURI ni hundi…


Ae chand chamkna chad vii de
teri chandni saanu staandi ae
tera varga hai usda chehra
tenu vekh ke usdi yaad aandi ae


Assi Kise V Gal te groor nahi kita,Assi
kadi v kisi nu majbur nahi kita,Pr jis nu
wasa leya DIL wich,osnu kade v DIL to dur



Aj Te Yar Skoon Ni Aya..


MENU TERA FON NI AYA..


Eni V Ki Beprwaii?


Teri Koi Miscal Ni i..


Tu Dil Apna Kithe Laya?


Menu Tera Fon ni aya..


J Ni Balnce Te ethon Kallan!.


Fer Kran Ge Rj Rj Gallan..


Kede Lyi A Maal Kmaya?


Menu Tera Fon ni aya..


J Dil Kidhre La Bethe en..


Meri Yad Bhula Bethe en..



O Waqt Bra Acha C


Jdo Main Nikka Bcha C


Golia, Tafia Khanda C


Nikar, Kachy Panda C


Hfty Bad Nanda C


Cycle Niki chlanda C


Ty Racan Gdi Nal Landa C


Na Lokan d Koi Tension C


Na Abby d Lgi Pension C


Na Kuriyan da Koi Rola C



Share with us more Love sms in punjabi  words .in comments section below.



DUA Tu Khush Rahe Khuda Karay



(DUAA)


Tu Khush Rahe Khuda Karay


Mera Dil Yehi Dua Kray


Teray Hont Muskarayin Sada


Teri Aankh Sada Hansa Kray


Teri Bazm Sada Saji Rahay


Sada Bahar Teri Gali Rahay


Tou Gham Se Kbhi Ashna Na Ho


Tou Zeest May Kbhi Tanha Na Ho


Zindagi May Na Kuch Khoay Tou


Mazaq May Bhi Na Roay Tou


Tera Hr Khawab Poora Ho


Koi Sapna Na Adhoora Ho


TOU KHUSH RAHAY KHUDA KRAY


MERA DIL YEHI DUA KRAY…?



Kanjoos Customer TUM HI TO HO

Dear Kanjoos Customer,


U have Subscribed Kanjoosi Package Successfully.
U can Enjoy saving of Msgs. Your Subscrption Kanjoosi is Valid Untill.


ALLAH give U Taufeeq to send Me sms. Thanks for using Kanjoosi package. “Kanjoos” TUM HI TO HO,.?:-

Tha mustear husn se usake jo nur tha – Meer Taqi Meer



Tha mustear husn se usake jo nur tha
khurshid mein bhi us hi ka zarra-e-zahur tha
pahuncha jo aap ko to main pahuncha khuda ke tain
malum ab hua ki bahot main bhi dur tha
kal panv ek kasa-e-sar par jo aa gaya
yak-sar wo istakhvan shikaston mein choor tha
kahane laga ke dekh ke chal reh be-khabar
main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-gurur tha
tha wo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin mein ‘meer’
samajhe na hum to feham ka apne qasur tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



Lot of Things Go Unquestioned

Lot of Things Go Unquestioned
&
A Lot of Questions Go Unanswered.
Few Words Go Unsaid
&
Few Go Unheard.
Some Dreamz are Born dead
&
Some are Burried alive.
Thats Life.
Some flowers grow best in the sun,others do well in the shade! GOD always knows what is best for us. So He puts us where we grow the best.

Saturday, March 12, 2011

Mohabbat Zaat Ke Ander

Mohabbat Zaat Ke Ander Koi Guum Zaat Hoti Hai………..
Mohabbat Ke Taqub Mein Hamesha Ghaat Hoti Hai…….


Mohabbat Mein Khushi Se Mout Ko Ham Orh Laitay Hain
Zara Socho Ke Is Mein Aisi Koi Baat Hoti Hai…………………..


Mohabbat Shehaid Mei Lipta Howa Ik Zeher Hai Laikin
Mohabbt Jeet Hoti Hai, Mohabbat Maat Hoti Hai………….


Mohabbat Khud Zamana Ho Ke Bhee Hai MosmoN Jaisi
Kubhi Ye Subaah Hoti Hai, Kubhi Ye Raat Hoti Hai………….


Mohabbat Aisi Khushbu Hai Kubhi Yukjaa Nahee Rehti
Ksi Se Door Hoti Hai,Ksi Ke Paas Hoti Hai……………………….


Mohabbat Jis Ko Haasil Ho Muqaddar Ka Sikander Wo
Mohabbat Rab Ki Jaanib Se HaseeN Sogaat Hoti Hai……!

Amar Nath Yatra Shayari and Poetry in Hindi and Urdu



Find latest Amar Nath Yatra Shayari and Poetry in Hindi and Urdu on shayarionline.com. Celebrate Amar Nath Yatra 2015 in style though our wonder full poetry and shayari to use on cards. This poetry can also be used as Happy Amar Nath Yatra sms greeting.


Srinagar, June 28 (IANS) Over 5,000 pilgrims Tuesday reached the Baltal base camp in north Kashmir and another 2,000 poured into south Kashmir’s Nunwan base camp Pahalgam resort town as the annual Amarnath pilgrimage was flagged off from Jammu in the morning amid religious fervour.


The Yajurveda describes Shiva as ascetic warrior whose robe is of Deer Skin and He carries Trishul. According to the verse Satyam, Shivam ,Sundaram ,the life is described as having three facets Truth (Satyam), Good (Shivam) and the Beautiful (Sundaram). Shiva is a living God. The most Sacred and ancient books of India, the Rig Veda narrates His presence in the hymns. Vedic myths, rituals and even astronomy testify to His existence from the dawn of time .The Mohinjodaro and Harappa findings confirm Shiva worship in the ancient India. According to the older scriptures, He has three places of His residence. One is Kailash Parvat another is Lohit Giri under which Brahamputra flows and third is Muzwan Parvat.


Happy Amar Nath Yatra Mubarak to all of you from shayari Online Team



Friday, March 11, 2011

K@bh! W@qt M!l@y T0u Aaj@0



K@bh! W@qt M!l@y T0u Aaj@0


Hum Jheel K!n@r@y J@ Ba!tha!n



Tum @pne $ukh K! B@at K@r0


Hum @pne Dukh K! B@at K@ra!n



J0 S@ng Tumh@re Beet G@ye


@ur Ehd-e-Kh!zaan K! N@z@r H0we



!n S@bz Rutt0n Kay D@man Ma!n


Hum Py@r K! Khushbu Mehkaya!n



!n B!khray S@bz N@zar0n K0


Hum @nkh0n M@!n Ta$weer K@ra!n



Ph!r Apnay Pya@r Kay Jaadoo Say


Hum L@mh0n K0 J@geer K@ra!n



K@bh! W@qt M!lay T0u Aajaao


Hum Jheel K!naray J@ Ba!tha!n



Zindagi Bhar Rishta

Agar Ghalati Na Hone Par Bhe Aap Say Koi Muafi Maang Lay,


To Samajh Lena Wo Aap Se Zindagi Bhar Rishta Rakhna Chahta Hai

Aap K Be-Hijaab Hone Tak

Aap K Be-Hijaab Hone Tak

Hum Bhi Shamil The Hosh Walon Me...

Aap K Be-Hijaab

Sheikh martey WAQT

Sheikh martey WAQT:


Begum Tum Kahan Ho?


BEGUM: aap k Pass


sheikh:Aur mere BACHEY?


Wo Bhi Ap K Pas hyn


To Phr Sath Wale kamrey ka Pankha Q chal rha hai..

Shaadi shayari



SHADI KI LAZZATO KO MAIN  JAN TO GAYA
ARMAN DIL ME JO THA WOH ARMAN TO GAYA
AAKHO KI TAB DATO KI KU_VAT AUR SUKUNE DIL
AB MAIN BHI JANEWALA HU SAMAN TO GAYA



Naseeb azmaney ke din aarahe hain
Kareeb aney ke din arahe hain,


Jo dil se kaha hai, jo dil se suna hai
Sab us ki sunaney ke din arahe hain,


Abhi se dil o jaan sare raah rah doon
Ke lutne lutaney ke din arahe hain,


Tapakne lagi in ankhon se masti
Nigahen churaney ke din aarahe hain



Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi,
Khawon me jaisa maine deka bilkul vaisi lagegi..!
Khubsurat pari is sindar,
Gore honthon me mehndi bhi badi gehri chadegi,
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi..!
… …
Hosh ud jayenge dekhne walo ke,
Jab tere mathe ki bindiya tare jaisi lagegi..
Jab tere hathon me chudiya khankegi,
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi..!


Sajkar niklegi tu ghar se bahar,
zamane ki nazre tera peecha karenge..
Aankhon me kajal lagakar jaana “janam”,
Isse tu buri najar se bachegi..
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi..!


Resham se balon ko jab tu ghunghat se dhakegi,
Nagin se lahrayengi yeh julfe..
Jab tu hole si chalegi,
Na reh paunga bin tuje dekhe..
Us raat yeh aankh kaise lagegi,
Dulhan ke laal jode me tu kaisi lagegi


Share with us more Shaadi shayari .in comments section below.



Thursday, March 10, 2011

Bewafa ke Yaad Me

us bewafa ke yaad me jaam hanto me uthaliiya


phir lagaya bread pe or phata fat kha liya
.
.
.
.
moral sary aashiq saharbi nhi hoty

Bad things in life

Sometimes bad things in life


open up your eyes to the good things


you were not paying attention to before

12 Rozay Bachay Hain

Mery 12 Bachay Hai or Tmhare Kitny Bachay Hai? , , , , , , , , , , , , , , , , ,


Ary Yaar 12 Rozay Bachay Hain! Kbi to acha s0ch liya kro.

Wednesday, March 9, 2011

Hum to jaise yahan ke the hi nahi – Jaun Eliya



hum to jaise yahan ke the hi nahi
dhup the sayaban ke the hi nahi
raste karavan ke sath rahe
marhale karavan ke the hi nahi
ab hamara makan kis ka hai
hum to apne makan ke the hi nahi
in ko aandhi mein hi bikharana tha
bal-o-par yahan ke the hi nahi
us gali ne ye sun ke sabr kiya
jane wale yahan ke the hi nahi
ho teri khak-e-astan pe salam
hum tere aastan ke the hi nahi



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jaun Eliya



Unke Didar ke Aas

Wo Is Dil Ka Ehsaas Samajh Pate….!


Mere Sine Me Atki Har Saans Samjh Pate….!!


Unki Ankho Ne To Dekhi Hai Mehfile Hazar….!


Meri Ankho Me Unka Didar Ke Aas Samjh Pate…!!

Tuesday, March 8, 2011

Har ek chehare ko zakhmon ka aaina na kaho – Rahat Indori



har ek chehare ko zakhmon ka aaina na kaho
ye zindagi to hai rahamat ise saza na kaho
na jane kon si majaburiyon ka qaidi ho
wo sath chod gaya hai to bevafa na kaho
tamam shahar ne nezon pe q uchala mujhe
ye ittefaq tha tum is ko hadasa na kaho
ye aur baat ke dushman hua hai aj magar
wo mera dost tha kal tak use bura na kaho
hamare aib hamen ungaliyon pe ginvao
hamari pith ke piche hamen bura na kaho
main vaqiyat ke zanjir ka nahi qayal
mujhe bhi apne gunahon ka silsila na kaho
ye shahar wo hai jahan rakshas bhi hai “rahat”
har ek tarashe huye but ko devata na kaho



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rahat Indori




Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi



Ek Bewafa Ko Hum Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi
Khuwabon Ki Duniya Apni Us Se Hi Saja Di Thi


Chaha Tha Us Ko Hum Ne Khud Se Bhi Bohat Barh Kar
Us Chahat Mein Hum Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi


Maloom Nahi Tha Hum Ko Woh Bewafa Bhi Hoga
Us Per Bharosa Karke Khud Ko Hi Saza Di Thi


Socha Tha Sath Mil Ke Kaatenge Zindagi Ko
Us Ne To Ek Pal Main Har Baat Bhula Di Thi


Kaisa Sitam Hai Dekho Woh Kab Se Judda Hai Mujh Se
Apni Zindagi Jis Ka Saya Sa Bana Di Thi


Kiya Tha Us Per Bharosa Kyun Hadh Se Barh Kar
Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi



Jhuke Ga Aasmaan Zameen Bhi Dagmagaye Gi

Jhuke Ga Aasmaan Zameen Bhi Dagmagaye Gi
Ye Meri Sar-Parasti Kabhi To Rang Laye Gi

Mere Qadmon K Nishaan Bhi Banenge Misaal
Dasht-e-Duniya Yahan Kabhi To Sar Jhukaye Gi

Abhi Chota Hun Nadaan Hun Teri Basti Me
Ek Din Teri Hi Basti Mujhe Bara Banaye Gi

Ugte Suraj Ko Karte Hain Sab Salaam Shams
Meri Hasti Bhi Ye Kar K Kabhi Dikhaye Gi...

Submitted By: Shamsul Hasan

Monday, March 7, 2011

Agar Dard-E-Muhabbat Se Na Insaan Aashnaa Hota




Agar Dard-E-Muhabbat Se Na Insaan Aashnaa Hota


Ana Marne Kaa Mazaa Hotaa, Na Jine Kaa Mazaa Hotaa



Hazaaron Jaan Dete Hain Buton Ki Bevafaai Par


Agar Un Men Se Koi Baa-Vafaa Hotaa To Kyaa Hotaa



Dam Bhar Bhi Mit Jaatii Khalish-Khaar Tamanna


Dil Hasrat Talab Ko Apnii Hastii Hai Gilaa Hota



Ye Maana Be-Hijaabaana Nigaahen Qahr Karti Hain


Magar Husn-E-Hayaparvar Kaa Aalam Duusra Hota




Funny Riddle Sms

Jis Ghar mein KUTTA hota hai wahan FARISHTAY nai aate.


Ye MULK hamra ghar hai…


baqi ap samajhdar hain..


Sakhti bhot hai warna tafseel se batay  😉

Dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete – Wasi Shah



Dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganva dete


tumhin ne hum ko sunaya na apana dukh varana
dua wo karte ki hum aasaman hila dete
hamen ye zom raha ab ki wo pukarenge
unhen ye zid thi ki har bar hum sada dete


wo tera gham tha ki tasir mere lahaje ki
ki jis ko hal sunate use rula dete


tumhen bhulana hi avval to dastaras mein nahi
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete


tumhari yaad ne koi javab hi na diya
mere khayal ki aansu rahe sada dete
sama’ton ko main ta-umr kosata syed
wo kuch na kahate magar honth to hila dete




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Wasi Shah



Santa Daurte Daurte Ruk Gya

Santa daurte daurte ruk gya.
.
why?
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
thak gya tha wo b insaan h
tum log b na jaan lelo santa ki

Bike Hone Chaye

Girlz and Boyz Ka Muqabla Chal Rha Tha


To 1 Girl Ne Boyz Ko Point Mara:


Boyz K Pas BIKE Honi Chahye Warna
.
.
.
.
.
Aqal Se To Wese Hi Paidal Hote Hein
.
.


Jis Pr 1 Boy Ne Girls Ko Point Mara :


Girlz Ki Kho0bsorati To Sadgi Me Hoti Hai


Warna
.
.
.
.
Make-Up To KHUSRY B Karte Hein.

Tumhari Yaad Mein



Tumhari Yaad Mein Tumhein Dhoondti Har Pal Nazar
Wo Masoom Saa Chehraa Apna Dikhaa Jao Na Ek Din
Sadiyon Se Tumhein Dil Se Pukara Hai Maine
Apne Dil Ki Baat Mujhe Bhi Sunaa Jao Na Ek Din



Tumhaare Sang Jeevan Bitana Meri Hai Khwahish
Mere Sang Reh Kar Meri Is Ruh Ko Mehka Jao Na Ek Din
Tumhaare Bin Ye Jindagi Hai Bas Kuch Hi Pal Ki
Main Tumhaare Liye Hun Banaa Ye Dikha Jao Na Ek Din


Bechain Ye Dil Tarse Pal Pal Pyaar Ko Tumhaare
Apne Hothon Se Wo Pyar Ki Bahar Barsa Jao Na Ek Din
Is Mehki Fiza Mein Meri Khwahishein Hain Bikhri
Saare Jahaan Ki Khushiyan Dene Aa Jao Na Ek Din


Jindagi Bhar Saath Nibhaane Ka Wada Kiya Jo Tumne
Sang Jeene Marne Ka Wo Wada Nibha Jao Na Ek Din
Dil Ka Dil Se Rishta Dil Mein Basa Naam Tumhara
Tum Bhi Apne Dil Ki Har Baat Bata Jao Na Ek Din


Tum Bin Jindagi Ki Sab Khushiyan Hain Adhoori
Har Khushi Ko Meri Jindagi Mein Basa Jao Na Ek Din
Tumhari Aakhon Se Dekhe Jo Khwab Ab Tak Maine
Meri Palkon Pe Wo Sunehre Khwab Saja Jao Na Ek Din


Har Phool Mein Basi Jaise Tumhaari Hi Khushboo
Meri Bagiya Mein Bhi Ek Phool Khila Jao Na Ek Din
Har Sitaare Mein Hai Tumhari Choodiyon Ki Chamak
Apne Haathon Ki Wo Choodiyan Khanka Jao Na Ek Din



Sunday, March 6, 2011

Mere Jaan-O-Dil, Mery Humsafar Koi Baat Kar



Mere-Jaan-o-Dil-Mery-Humsafr-Koi-Baat-Kar-Koi-Baat-Kar-Poetry


Mere Jaan-O-Dil, Mery Humsafar
Koi Baat Kar, Koi Baat Kar,

Tery Lab Hilain, To Katy Safar
Koi Baat Kar, Koi Baat Kar,


Koi Bojh Hay To Utaar Dy
Koi Khouf Hay To Nikaal Dy,


Mera Haath Hay Tere Haath Par
Koi Baat Kar, Koi Baat Kar,


Nahi Yaad Kitny Baras Gaye
Teri Guftgu Ko Taras Gaye,


Meri Khirkiyaan, Mere Baam-O-Dar
Koi Baat Kar, Koi Baat Kar,


Tujhe Chup Hay Kesi Lagi Hoi
Abhi Umer To Hay Parri Hoi,


Abhi Muskura, Abhi Gham Na Kar
Koi Baat Kar Koi Baat Kar…!!



time to smile

Don’t take life too serious,,
Always find time to smile..
Remember that smile not adds years to ur life,,
But certainly adds more “LIFE” to ur years..

Gham khareed ker

Dil K Gham Khareed Leta Hun,


Bus Yehi RoOzgaar Hai Apna

Meaningful Line

A very Meaningful Line for a true Relation.


“Hurt Me with Truth,
but ..
Never Satisfy Me with a Lie”

Jaan Se Jayenge

Sirf Hum Jaan Se Hi Jaayenge..!!


Tere Roothne Se Or Kya Hoga..!!

Rudad-e-muhabbat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye – Sagar Siddiqui



Rudad-e-muhabbat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye
do din ke masarrat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


jab jam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahafil mein
wo hosh ke sa’at kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


ehasas ke maikhane mein kahan ab fikr-o-nazar ke qandilen
aalam ke shiddat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


ab apni haqiqat bhi “sagar” berabt kahani lagti hai
duniya ke haqiqat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sagar Siddiqui



Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara



Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Ho Ga
Ek Din Aayega Wo Shakhsh Hamara Ho Ga


Ye Achanak Jo Ujala Sa Hua Jata Hai
Dil Ne Chupke Se Tera Naam Pukara Ho Ga


Ishq Karna Hai To Din Raat Usse Sochna Hai
Aur Kuch Zehan Mein Aaya To Khasara Ho Ga


Jis Ke Hone Se Meri Saans Chala Karti Thi
Kis Tarah Uss K Bagair Apna Guzara Ho Ga


Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Loonga Uss Ko
Mere Maula Ka VASI Junhi Ishara Ho Ga


Wasi Shah



14th August Azadi poetry

|>>>>>>
|>>(*>>>
|>>>>>>
|
Khuda kray k meri arz?e?pak pe utray, wo fasl?e?gul,


jisay andaisha?e?zawal na ho…Ameen!


14th August Happy Independence(Azadi) day..

Saturday, March 5, 2011

Advance Mahe Ramadan Mubarak



Wo Chand Ka Chamkna
Wo MasjidoKa “Sawrna”
Wo Musalmano Ki “Dhoom”


Ramzan is Coming Soon


Wo Sehri Ka “Mazaa”
Wo Aftri Ki “Bhouk”
Wo Quran Ki “Telawt”
Wo Namz Ka “Mahmool”
Wo Rozee Ki “Barkt”
Wo Rozee Ka “Noor”
Sirf … 1 Din “Door


“Advance Mahe Ramadan Mubarak..?



Funny Pathan Jugnoo Se

Pathan raat ko machardani laga kar so raha tha,


Achanak ek Jugnoo aa nikla.


Pathan: . . . . . . . Ya khudaya. .


Ye machar humko torch le kar dondh raha hay

mujhe APNA kar de

Meri qismat mein bhi aisa koi sajda kar de..!


Jo mere saare gunahon ka madava kar de..!


Saari dunya se chura kar, mujhe APNA kar de..!


Meri mitti ko Khudaya sona kar de..!


Main Tera chahne wala hun mgar hai hasrat…


Jin ko TU chahta hai mujh ko bhi Waisa kar de..!


Ek nazar Apny gunah’gaar pe kar k Mola…


Apni Rehmat ka haqdaar hamesha kar de..!

Yakeen Ki Bisaaat Py

Yakeen ki bisaaat py aj phr. .


Me bht aetimaad sy haari. . .

Friday, March 4, 2011

Fazul kharch biwi shohar

“Ek fazul kharch biwi shohar ke liye romal ka kapra layi


Shohar: Romal ke liye intna saara kapra?


Biwi: Agar romal se bach gaya tau mein suit bana loon gi!”

Girl Loves

Girl Loves without any special reason
Cares without any condition
Laughs at her own stupidity
Helps the maximum she can. Cries at someone else’s pain
Dedicated to an emotional, cute, pretty, sweet & sincere lady
Thats me!
Thats u!
Thats a “GIRL”
Proud to be a girl
stay blesSEd !! Shab Bakhair:-)

Thursday, March 3, 2011

Faraz Aftari Sms

Apny doston ko main kyse smjhaon ‘Faraz’


K muhabt msg krny se nahi
Aftari krwany se bharhti hy (‘.’) Kuch
Socho
_/”_ Zalimo..

Kiss Qadar Masoom

Kiss Qadar Masoom Sa Lehja Tha Un Ka FARAZ


Dheere Sey Jaan Keh Kar Humein Bejaan Kar Gaya

Chal Para Hun Me Zamany K Asoolon

Chal Para Hun Me Zamany K Asoolon Pe MOHSIN
Me Ab Apni Hi Baaton Se Mukar Jata Hun...


Chal Para Hun

Mujh Ko Mujh Mein Jaga Nahi Milti

Mujh Ko Mujh Mein Jaga Nahi Milti,
Tu Hai Mojood Is Qadar Mujh Mein…

Mojood-Shayari

Sochta Hun Us Ki Yad Akhir

Sochta Hun Us Ki Yad Akhir
Ab Kise Rat Bhar Jagati Hai...

Sochta Hun Us

Wednesday, March 2, 2011

Mere Chehrey Se Mera Dard Na Parh Pao Ge ‘Wasi’

Mere Chehrey Se Mera Dard Na Parh Pao Ge ‘Wasi’
Meri Aadat Hai Har Baat Pe Muskura Dena….

Wasi Shah

Khafa mat samjhna

Jo Dur Ho UsE Kabhi Juda Na Samajhna
Jo Dil M Ho Use Kabhi Bewafa Na Samajhna
Waqt Or Halaat Majbur Kr Deta H Kabhi kabhi
Jo Intezar May Chup Ho Use Kabhi Khafa Na Samajhna.

Guys Are Not Blind

Girls Improve Their Looks,
Not Their Minds..!!


Because They Know


Some Guys May Be Stupid


.


.


.


But Not Blind

Islam Is Peace, Islam Is Ease



Islam Is Peace, Islam Is Ease.
Islam Is Not Danger Or Disease.
Islam Is Love And Prosperity.
Islam Is Not Hatred Or Adversity.
Islam Is Salvation Through Repentance.
Islam Has Love For All In Abundance.
Islam Means No Harm Or Affliction.
Islam Implores You With Affection.
Islam Is Neither Maze Nor Craze.


Islam Is Giving Allah All Praise.
Islam Is Acing Through The Race.
Islam Will Be On Everyone’s Face.
Islam Is Worshipping Only The Creator.
Islam Is Not Mere Numbers On A Calculator.
Islam Gives You Power When You Surrender.
Islam Is Not A Terrorist Or For A Pretender.
Islam Is Patience And Perseverance.
Islam Eases Your Vengeance Through Tolerance.
Islam Is Life For All Eternity.
Islam Gives You Respect, Moreover Dignity.
Islam Is Winning Hearts Through Honesty.
Islam Is Giving Openly In Charity.
Islam Makes You Wholesome And Trustworthy.
Islam Is In Wealth As Well As In Poverty.
Islam Is Your Shield Against All Evil.
Islam Is For Your Soul’s Retrieval.
Islam Is Not Fundamentalism Or Fanaticism.
Islam Is Not Nationalism Or Racism.



Tuesday, March 1, 2011

Payar Ki Inteha Bhi Dosti Hai



Kia Khabar Tum Ko Dosti Kia Hai
Ye Roshni Bhi Hai Andhera Bhi Hai
Khwahishon Say Bhara Jazeera Bhi Hai
Bohat Anmol Ik Heera Bhi Hai
Dosti Ik Haseen Khwab Bhi Hai
Pass Say Dekho Tou Sarab Bhi Hai
Dukh Milnay Pe Ye Azab Bhi Hai
Aur Ye Piyar Ka Jawaz Bhi Hai
Dosti Yoon Tou Maya Jaal Bhi Hai
Ik Haqeeqat Bhi Hai Khayal Bhi Hai
Kabhi Furqat Kabhi Vissal Bhi Hai
Kabhi Zameen Kabhi Falak Bhi Hai
Dosti Jhoot Bhi Hai Such Bhi Hai
Dil Main Reh Jaiay Tou Kassuk Bhi Hai
Kabhi Ye Haar Kabhi Jeet Bhi Hai
Dosti Saaz Bhi Sangeet Bhi Hai
Sheir Bhi Nazam Bhi Geet Bhi Hai
Wafa Kia Hai Wafa Bhi Dosti Hai
Dil Say Nikli Dua Bhi Dosti Hai
Bus Itna Samajh Lay Tou
Payar Ki Inteha Bhi Dosti Hai



Tumhaaray Aanay Se

Kabhi Yaaden. Kabhi Baaten. Kabhi Beeti MulaQaaten


Bohat Kuch Yaad Aata Hai. Yaad tumhaaray Aanay Se

Hijar Ki Raat Katne Wale - Dard Shayari

Hijar Ki Raat Katne Wale..!!
Kia Kare Ga Ager Sehar Na Hui..??

Night Poetry