Wednesday, March 30, 2011

us ko juda hue bhi zamana bahut hua-Ahmed Faraz



us ko juda hue bhi zamana bahut hua
ab kya kahen ye qissa purana bahut hua
dhalati na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq
ae marg-e-nagahan tera aana bahut hua
hum khuld se nikal to gaye hain par ae khuda
itane se vaqaye ka fasana bahut hua
ab hum hain aur sare zamane ke dushmani
us se zara rabt badhana bahut hua
ab kyon na zindagi pe muhabbat ko var den
is aashiqi mein jan se jana bahut hua
ab tak to dil ka dil se tarruf na ho saka
mana ki us se milana milana bahut hua
kya kya na hum kharab hue hain magar ye dil
ae yad-e-yar tera thikana bahut hua
kehta tha nasehon se mere muh na aaio
phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua
lo phir tere labon pe usi bevafa ka zikr
ahmad ‘faraz’ tujh se kaha na bahut hua


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment