Tuesday, March 22, 2011

Mustafa jane rehmat pe lakhon in urdu translation



Jis taraf uTh gayee dam mein dam aagya
Uss nigaah i ‘inaayat pe laakhon salam


Kis ko dekha yeh Musa se pooche ko’ii
Aankhon walon kii himmat pe laakhon salam


Door o nazdeek kay sun-nay waalay woh kaan
Kaan e la’l e karaamat pe laakhon salam


Patli patli gul e quds ki patiyaaN
Un laboN ki nazaakat pe laakhon salam


Jinkay guchchay se lachchay jhaRein noor kay
Un sitaaroN kii nuzhat pe laakhoN salam


Woh dahan jis kii har baat wahi e Khuda
Chasma e ‘ilm o hikmat pe laakhon salam


Jiskay paani se shaadaab jaan o jinaan
Us dahan kii tarawaT pe laakhon salam


Jis se khaaray kunwein sheerah-e-jaan banay
Uss zulaal halaawat pe laakhon salam


Voh zubaan jis ko sab kun kii kunji kehein
Uski nafiz hukumut pe laakhon salam


Uski pyaarii fasaahat pe bayhad durood
Uski dilkash balaaghat pe laakhon salam


Uski baaton kii lazzat pe laakhon durood
Uskay khutbay kii haybat pe laakhon salam!


Rîsh e khush mu’tadil marham rîsh e
Haala e maah i nudrat pe laakhon salam


Khat kii gird dahan who dil-aara phaban
Sabza i nahr e rahmat pe laakhon salam


Jis mein nehrein shîr o shakar kii rawaaN
Us galay kii nazaarat pe laakhon salam


Dosh bar dosh hai jinkay shaan e sharaf
Aisay shaanon kii shawkat pe laakhon salam


Hajr e aswad e Ka’aba e jaan o dil
Ya’ni mohr e Nabuwwat pe laakhon salam


Bay-saheem o qaseem o adeel o maseel
Johar e fard e izzat pe laakhon salam


Jis ko baar e do aalam kii parwaa nahin
Aisay baazoo kii quwwat pe laakhon salam


Ka’aba e deen o imaan kay donon sutoon
Sa’idayn e Risaalat pe laakhon salam


HaaTh jis simt uThaa ghanii kardiya
Mawj e bahr e samaaHat pe laakhon salam


Jis kay har khat mein hai mawj e noor e karam
Is kaf e bahr e himmat pe laakhon salam


Noor kay chashmay lehrain, daryaa behein
Ungliyon kii karaamat pe laakhon salam


Eid e mushkil-kushaa’ii kay chamakay hilaal
Naakhunon kii bashaarat pe laakhon salaam


Rafa’ e zikr e jalalat pe arfa’ durood
Sharh e sadr e sadaarat pe laakhon salam


Dil samajh se waraa’ hai magar yoon kahoon:
Ghuncha e raaz e wahdat pe laakhon salam


Kul jahan milk aur jaw kii roTi ghiza
Us shikam kii qana’at pe laakhon salam


Jo ke `azm e shafa’at pe khinchkar bandhii
Uss kamar kii hamaayat pe laakhon salam


Anbiya teh karein zaanoo Inkay huzoor
Zanoo’on kii wajaahat pe laakhon salam


Saaq e asl e qadm, shaakh e nakhl e karam
Shama’ e raah e isaabat pe laakhon salam


Khaaii Qur’an ne khaak e guzar kii qasam
Uss kaf e paa kii hurmat pe laakhon salam


Qad e bay-saaya kay saaya-e-marhamat
Zill e mamdood o raafat pe laakhon salam


Taairaan e quds jis kii hain qumriyaan
Uss sahi sarw e qaamat pe laakhon salam


Jis kay aagay sar e sarwaraan khum rahain
Us sar e taaj e rif’at pe laakhon salam


Shabnam-e-baagh e Haqq, ya’ani rukh kaa `arq
Us kii sachchii baraaqat pe laakhon salam


Bheenii bheenii mehak par mehaktii durood
Pyaarii pyaarii nafaasat pe laakhon salam



Share with us more Mustafa jane rehmat pe lakhon in urdu translation in Comments Section below.



No comments:

Post a Comment