Thursday, March 31, 2011

Lab Pe Masooma Ke Qasida Abbas



Lab Pe Masooma Ke Hai Tera Qasida Abbas
Kehti Hai Fatema Zehra Tujhe Beta Abbas


Labe Darya Hai Tera Roab Ye Kaysa Abbas
Sehma Sehma Hai Hawao Ka Bhi Lehja Abbas


Tarka Aula Teri Nazron Mein Hai Shayad Ye Bhi
Sard Jhonka Jo Nahin Tujhko Gawaara Abbas


Kulle Imaan Use Kehta Hoon Is Nisbat Se
Kulle Imaan Ke Dil Ki Hai Tamanna Abbas


Ye Bhi Hai Maujuzae Taate Binte Zehra
Teri Talwar Pe Hai Zainab Ka Kabza Abbas


Uski Taazim Ko Uth Jaata Tha Beemaar Imam
Jab Kabhi Bazm Mein Aata Tera Beta Abbas


Jis Ghari Aayenge Parde Se Imam-E-Aakhir
Hoga Takmeel Tera Jung Ka Jazba Abbas


Tere Aaney Ki Khabar Ho Gayi Shayad Rann Mein
Saaf Aata Hai Nazar Khaime Se Darya Abbas


De Diya Jaane Payambar Ko Hifazat Mein Teri
Tujh Pe Hai Fatema Zehra Ko Bharosa Abbas



No comments:

Post a Comment