Tuesday, August 31, 2010

Sharam Shayari



Plate Main Biscuts Hai Khaati Kiyoon Nahein
Paaet Main Baby Hain Batati Kiyoon Nahien


Aankhon Main Sharam Hain To Kiya
Dil Tera Naram Hain To Kiya
Badan Tera Chikna Hain To Kiya
Aaj Tujhe Khane Ka Man Hain Jaana
Aa Meri Machli Frypan Main Hain Tujh Jaaana



Jis Ki Fitrat Thi Baghawat Karna

Jis Ki Fitrat Thi Baghawat Karna
Tum Ne Us Dil Pe Hakoomat Ki Hai...

Jis Ki Fitrat

Shiddat e talab

Shiddat-E-taLaB se Mujhe Chaha, Mujhe Apnaya 0r apNa kr Chh0rr Gaya…..!!!!


Kitni Mehnat ki Us shaks ne,SirF Ek diL Dukha Ne ke Liye……!!!!

Meera 2 Shopkeeper

Meera 2 Shopkeeper: Aap k paas Calculator hai?


Shopkeeper: CASIO?


Meera: Mai theek hn, aap sunaayen? 😀

Monday, August 30, 2010

Kaheen to karavan-e-dard ke manzil thahar jaye – Faiz Ahmed Faiz



Kaheen to karavan-e-dard ke manzil thahar jaye
kinare aa lage umr-e-ravan ya dil thahar jaye
aman kaisi ki mauj-e-khun abhi sar se nahi guzri
guzar jaye to shayad bazu-e-qatil thahar jaye
koi dam badaban-e-kashti-e-sahaba ko tah rakho
zara thaharo gubar-e-khatir-e-mahafil thahar jaye
hamari khamoshi bas dil se lab tak ek vaqfa hai
ye tufan hai jo pal bhar bas lab-e-sahil thahar jaye
nigah-e-muntazir kab tak karegi aainabandi
kaheen to dasht-e-gam mein yar ka mahamil thahar jaye



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



6 khobsorat AAHADEES

6 khobsorat AAHADEES


1-Jo shakhs har wqt bawuzu rahega ALLAH uski rozi kushada farmaega.


2-ALLAH ki khushi bap ki khushi me or nrazgi bap ki nrazgi me he.


3-Sood or haram kamai khany wale ki dua qabool nhi hoti.


4-Jis ne apni namazon ki fikar chordi ALLAH ne uski fiqr chordi.


5-Hr Farz Namaz k bad AYAT-UL-KURSI parhny wale or janat k drmyan sirf maut he.


6-ALLAH us shaks ko abad krta he jo Hadis sun k dosron tak pohnchata he.

Rooz Saza Deta Hai

wo kaisa shakhs hai k her roz saza deta hay
phir hansata hay wo itna k bhula deta hay


kabi jo ro day to mujko b bhool jata hay
aur phir bhool k mujko b rula dayta hay


us say poochon k bata kis say muhabat hay tumhai
Naam sargoshi main mera hi suna dayta hay


khud he kehta hai na dohraon purani yadain
main na dohraon to phir khud he suna deta hay


khud he likhta hai k jazbat main halchal na karo,
aur phir khud he nayee aag laga deta hay

Cat VS Elephant

CAT: tumhari kya umer hy


ELEPHANT: 5 year


CAT: mager tm to bohut bare ho


ELEPHANT: Nido jo peeta hun.


Behtrin nashonuma ki 10 khoobiyon wala.


or tumhari kya umer hai?


CAT: I am 30 years.


ELEPHANT: mager tum tu bohut choti nazar aati ho.


CAT: Ponds(cream) lagati hun.


Barrhti umar jese tham c gayi hy 😉

Wo Kitaabon Me Darj Tha Hi Nahi

Wo Kitaabon Me Darj Tha Hi Nahi
Jo Parhaya Sabaq Zamany Ne...

Wo Kitaabon Me

Sunday, August 29, 2010

We Started As Friends



We Started As Friends
Chatting And Talking
Seeing Smiling Face
Everyday As We Talk In The Net…


So Funny I Remember
Talking To Each Other
Until Finally We Can See
From Each Others Face
The Different Shine On The Eyes
When We Start Saying..
“Hi, How Are You?”
“ What Takes You So Long To Be On Line?”

This Time Is So Different
From The Casual Conversation
We Can Make Simple Things
So Significant And Worth Remembering


Until Finally, We Want Each Other
More Each Day…
Apologizing For Being Not On Time
And This Came To Be
Not Realizing We Have Finally Found
Each Other To Be Together
Wanting It To Be Forever


Someone To Share My Life,
Happiness Even Sadness
Just As Long As We Will Be Together
For Whatever I Do
Its Got To Be You…
Just You…


I Love U



Depth of My Heart

One day I’ll go far away in the depths of my grave.
My Real Home.
Nobody can meet me,
I’ll b all alone.
My parents can’t come to help me.
I’ll b afraid of dark.
But,
Ur prayers may lighten my grave.
So,Please do remember me in ur prayers & forgive my last year’s mistakes in this Holy month of Ramzan If I have ever hurt you I’m saying sorry from depth of my heart and soul. Please accept my apology.
Regards…

Aansoo sms in hindi



Woh sagar nahi aansoo the mere,
Jispar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhe yeh aarzo thi meri,
Issliye hum aansoo bahate rahe.



Aansoo May Na Dhoondna Humey
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega,
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge



Share with us more Aansoo sms in hindi in Comments Section below.




Saturday, August 28, 2010

Urdu Shayari – Mera Intezaar Karna



Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko Kabhi Humkinaar Karna
Mein Phir Aaoyoun Ga Palat Kar Mera Intezaar Karna


Mujhe Darr Hai, Mere Aansoo Teri Aankh Se Na Jhalkien
Zara Sooch Kar Samajh Kar Mujhe Sogawaar Karna


Ussey Dhoond Sab Se Pehlay Jo Mila Nahien Hai Tujh Ko
Yeh Sitarey Aasmaan Kay Kabhi Phir Shumaar Karna


Mere Shaher Ki Fiza Mein Koi Zahar Bhar Gaya Hai
Tere Husn Par Hai Laazim Ussay Khusgawaar Karna


Mein Uthayoun Gaa Na Ihsaan Tere Baad Na-Khuda Ka
Mujhe Tu Ney Hi Daboya, Mujhe Tu Hi Paar Karna


Mere Bad-Naseeb sathi, Teri Zindagi Hi Kya Hai
Na Kisi Sey Dil Lagaana, Na Kisi Sey Pyaar Karna


Kabhi Iqtidaar Bakhshey Jo Khuda Qateel Tujh Ko
Jo Rawish Hai Qatiloon Ki, Woh Na Ikhtiyaar Karna



Neimaton Ka Shukar

MAYUS WO HOTA HY


Jo “ALLAH” Pe “Yaqeen” Nhin Rkhta.


Aur


MEHROOM WO HOTA HY


Jo “ALLAH” Ki Di Hui Be Shumar Neimaton Ka Shukar Ada Nhin Krta.

Thak Sa Gaya Hun Khud Ko Sahi Saabit Karte

Thak Sa Gaya Hun Khud Ko Sahi Saabit Karte Karte

Tareeqe Ghalat Ho Sakte Hain Magar Meri Mohabbat Nahi...

Thak Sa Gaya Hun

Ishq Ne To Sarsari Dekha - Hijar Dard

Ishq Ne To Sarsari Dekha,
Mager!
Parh Raha Hai Hijar Tafseelan Mujhe…

Dard

Friday, August 27, 2010

Garz Howi To Pyar Kiya

Jab Garz Howi Tab Payaar Kiya,


Jab Waqt Mila Tab Yaad Kiya,,,


Ab Or Haqiqat Kaya Likhon Is Doar K Mukhlis Yaaron Ki..!

Kya Mila Tumhe Sari Umer Mohabbat Kar K

Kya Mila Tumhe Sari Umer Mohabbat Kar K
Bas Aik Rone Ka Hunar Aur Raaton Ka Jagna...

Kya Mila Tumhe

Me And You Poem of Love



Me And You


The Way You Make Me Feel Every Day,
Is More Then Any Words Can Say.
The Happiness You Bring To Me,
Is More Then Can Ever Be Seen.
Happiness Comes And Happiness Goes,
But My Love For You Just Grows And Grows.
I Get A Twinkle In My Eye When I See The Most Beautiful Person,
Is Cause Of You, But Only I Know Why,
The Reason Is That I Love You,
Because Without You I Would Not Live.



Thursday, August 26, 2010

Hum Ko To Teri Har Aadat Achi Lagi Faraz



Aisa Nhi Keh Hum Ko Muhabbat Nhi Milli


Tmhein Chahte Thy, Pr Teri Ulfat Nhi Milli


Milne Ko Zindgi Mein Tu Kyi Humsafar Mile


Pr Un Ki Tabiyt Sy Tabiyt Nhi Mili


Chehrun Mein Dosron Key Tujhe Dhondte Rahein


Surat Nhi Milli Kahein Sirat Nhi Milli


Bahot Dairy Sy Aya Tu Mere Paas


Alfaz Dhondne Ki Bhi Mohlut Nhi Milli


Tujh Ko Gila Hay Keh Tawajja Na Dyi Tujhe


Lakin Hum Ko Tu Khud Apni Muhabbat Nhi Milli


Hum Ko To Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz


Afsos Keh Tujh Sy Meri Adat Nhi Milli..!!!



Pholon Ke Kaghaz Per

Yadon ki Barsat Lie


Duaon ki Soghat Lie


Dil ki Gehrayi Sey


Chand ki Roshanai Sey


Pholon Ke Kaghaz Par


Ap Ke Lie Sirf 3 Lafz


Happy Valentine Day

Wednesday, August 25, 2010

Every Love Story

Why in every love story sister suports brother but brother doesnt suport sister…..?


bcoz sister knows what love is..


and brother knows what boys are..:-D


😉

Outside is so pleasant

Look Outside


Its So Pleasant!


Sun Smiling For You


Trees Dancing For You


Birds Singing For You


Because I Requested Them All To Wish You


**..*EID MUBARAK*..**

Tujhe chor dein ge

Har Baar Na Kaha Kar K Tujhe Chor Dein Ge Hum


Na Hum Itny Aam Hein Na Ye Tery Bas Ki Baat Hai.

Tuesday, August 24, 2010

Geo Pakistani girls

Parosi ka Bacha: Uncle ye lain mithaee Ammi aur Baji ne bheji hai :)


Uncle: ALLAH mubarak kare, kya khush khabri hai beta :)


.
.
.
.
.


Bache: Woh HUMSAFAR mai Ashar ko sab pta chal gaya hai na… 😀


Geo Pakistani grls :p

Ghar Main Ek Ann-Parh Burhi

Ghar Main Ek Ann-Parh Burhi
Mera Dil Parh Leti Hai...

Ghar Main Ek

Ishq ka Sila

maine ishq kiya aur ishq ka sila liya akela tha akela rahay gia ,


na ki kisi se koi shikaiyaat Aye Dost


tujhe sila diya aur Khud ko Gila diya.

Pyar mujhase jo kiya tumane to kya paogi – Javed Akhtar



pyar mujhase jo kiya tumane to kya paogi
mere halat ke aandhi mein bikhar jaogi
ranj aur dard ke basti ka main bashinda hun
ye to bas main hun ke is hal mein bhi zinda hun
khwab q dekhun wo kal jisape main sharminda hun
main jo sharminda hua tum bhi to sharamaogi
q mere sath koi aur pareshan rahe
meri duniya hai jo viran to viran rahe
zindagi ka ye safar tumako to aasan rahe
hamasafar mujhko banaogi to pachataogi
ek main kya abhi aayenge divane kitne
abhi gunjege muhabbat ke tarane kitne
zindagi tumako sunayegi fasane kitne
q samajhati ho mujhe bhool nahi paogi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Javed Akhtar



Sad for being single

I am not sad for being single
.
.
.
.
.
.
.
Rather im sad for the girl who is
single bcoz of me
Bichari bhatak rahi hogi darr badar

Monday, August 23, 2010

Mat Kar Kisi Se Pyar Itna K Wo Teri Zindagi Ban Jaye

Mat Kar Kisi Se Pyar Itna K Wo Teri Zindagi Ban Jaye

Tu Ye Kese Bhool Gaya K Zindagi Kabhi Kisi Se Wafa Nahi Karti...

Mat Kar Kisi Se

Kaiyaan Nu Maan Wafavan Da

Kaiyaan Nu Maan Wafavan Da
Kaiyaan Nu Naaz Adaavan Da
Assi Peele Patte Darakhtan De
Sanu Rehnda Khof Hawavan Da...

Kaiyaan Nu Maan

Bharosa shayari



ham Ki Barish ne bhi us ka naksh dhoya nahi
Us ne mujhe kho diya main ne usay khoya nahi


Need ka halka Ghulabi sa khumaar aankho me tha
Yu laga jese woh shab ko de’r tak soya nahi


Janta Hoon aik aisay shakhs ko main bhi Zohaib
Gham se Pathar ho gaya lakin kabhi roya nahi



iska Gham Nahi Ki Tu Meri Na Ho Saki,
Meri Mohabbat Me Mera Sahara Na Ban Saki,
Gham To Iska Bhi Nahi Ki Sukoon Dil Ka Lut Gaya,
Gham To Iska Hai Ki Mohabbat Se Bharosa Hi Uth Gaya…



saaye ne jab dhoop ka jama pahan liya
hujoom darkhton ka fir saamne to kya
ahasas ki sakht dhoop me rooh tak jhulas gayee
aye abre baran jhoom ke ab barsa to kya
kar gaya mujhko juda mujhse hi woh napaq rooh
gar maseeha baad me fir aaya to kya
rounaqen sab jati rahi ek tere jane ke baad
aaina andhere me mujhko toone dikhlaya to kya


Share with us more Bharosa shayari .in comments section below.



Dua Koi Bhi Rad Nahi Jati

Dua Koi Bhi Rad Nahi Jati
Log Itnizar Hi Nahi Karte...

Dua Koi Bhi Rad

Sunday, August 22, 2010

900 chuhe khake billi

Teacher Fill in the blank 900 chuhay kha k bili ______chali.


Sardar 900 chuhay kha k bili holi holi chali.


Teacher oye tenu pata nei eda ki jawab ay?


Sardar Me tuhada lehaaz rakhya A tusi mere master ho


Nei te 900 chuhay kha k te bili hil v nei sakdi ! ! !


Me te fer v holi holi tor diti Ay…

Hum Tujhe Bhula Nahi Sakte | Romantic Poetry


Bohat Kehny Ki Khuwahish Hai,
Mgr Bta Nahi Sakty.. 

Teri Batain, Teri Yaadain, 
Hamara Dil Dukhati Hain.. 

 Bohat Takleef Hoti Hai, 
Tujhe Suna Nahi Sakty.. 

Tere Sath Chalna Hai, 
Teri Manzil Bhi Ban Nahi Sakty .. 

Bohat Thak Gaye Hain Hum, 
Ab Aagy Ja Nahi Saktay.. 

Suno Hum Toot Jaen Ge, 
Humain Kese Sametto Ge.. 

K Mar K Bhi Meri jaan! 
Hum Tujhe Bhula Nahi Sakty...!!!

Tags: Mar ke bhi poetry, toot jayn ge, toot jayenge, bohat takleef, tujhe bata nahi sakte, kehne ki khwahish hai

Lifes Critical Decision

Dont make lifes critical decision on the basis of your mood.
A mood is a dangerous state of mind
because it can crush reason under the weight of feeling.

Wafa ka Andaaz

unki wafa ka andaaz kuch elag hai….


aqeel___


kuch pal yaad kia aur bhool gy humain

Rooh Men Khushbu Ki Tarha

Khushbu tha Magar nazuk pholoon ki trha tha…..
Ek Shakhs Andheroon Men Ujaloon Ki trha tha…..
Khuwabon Ki trha tha Na Khyaloon Ki trha tha…….
Wo Ilm-e-Ryazi K Sawaloon Ki Tarha tha…..
Uljha Huwa Aisa K Kabhi Hal Ho Nahi Paya……
Suljha Huwa Aisa K Missaloon Ki Tarha Tha…..
Wo Mil to Gaya Tha Magar Apna He Muqaddar…..
Shatranj Ki Uljhi Huwi Chaalon Ki Tarha Tha…..
Wo Rooh Men Khushbu Ki Tarha Ho Gaya Tehleel……
Jo Door Bohat Chand K Haloon Ki Tarha tha……

Saturday, August 21, 2010

An American Family

An American Family
Youngest Son: Dad, whats d diff between Potentially & reality?


Dad turns to wife: Would u sleep with Robert Redford for 1 million $?


Wife: of course! I would never waste such an opportunity.


Then Dad asks daughter: would u sleep with Brad Pitt for 1 Million $?


Daughter:Yes He s my fantasy!


Dad asks elder son: Would u sleep with, shahruk khan for 1 million $?


Elder Son:Why not? Imagine what I could do with that money!


Father turns to his younger son: u see son, Potentially we r sittin
wid 3 million $, but in Reality we r living wid 2 prostitutes & 1
gay..!!!! 😀

Maar se Samjahti Nahi

Principal ROUND pe nikla. dekha 1 teacher 1 ladhki ko
kiss kar raha hai.


PRICIPAL – what is this ?


Teacher – Maar se samjahti nahi, isiliye PYAR se samjha raha tha …..;)

Ay Kash Mujhe Likhna Ata



Ay Kash Mujhe Likhna Ata
Tu Likhti Har Us Baat Ko Mein
Jo Sochti Hoon Har Raat Ko Mein


Keh Bhook Se Woh Bilakte Lub
Aur Nanne Pait Tarapte Jub
Phir Ro Ro Kar Woh Sojayein
Khwabon Mein Apne Kho Jayein
Tu Likhti In Halat Ko Mein
Aik Maa Keh Phir Jazbat Ko Mein


Ay Kash Mujhe Likhna Ata
Tu Likhti Har Us Baat Ko Mein
Jo Sochti Hoon Har Raat Ko Mein


Naam Aankhon Se Aik Rani Jo
Yun Rukhsat Ho, Dil Sehma Ho
Baba Ka Dil Muztarib Ho
Mayan Ki Soch Muntashir Ho
Tu Likhti In Halat Ko Mein
Aik Beti Ki Faryad Ko Mein


Ay Kash Mujhe Likhna Ata
Tu Likhti Har Us Baat Ko Mein
Jo Sochti Hoon Har Raat Ko Mein


Jub Sarkun Par Chalte Howe
Bint E Hawa Darte Howe
Yeh Soch Soch Keh Ho Nadim
Kiyun Ghorta Hy Ibn E Adam
Tu Likhti In Halat Ko Mein
Behen Ke Esasat Ko Mein


Jo Kash Mujhe Likhna Ata
Tu Likhti Har Us Baat Ko Mein
Jo Sochti Hoon Har Raat Ko Mein


Jub Kash Mujhe Likhna Aye
Phir Manzar Yun Palta Khaye
Har Maa Ka Ghar Khush Hali Ho
Har Behen, Beti Matwali Ho
Phir Likhon Aise Halat Ko Mein
Diya Se Roshan  Khiyalat Ko Mein


Jo Kash Mujhe Likhna Ata
Tu Likhti Har Us Baat Ko Mein
Jo Sochti Hoon Har Raat Ko Mein..?



Friday, August 20, 2010

Momemts of Professional life

Momemts of Professional life:


.


1. Most irritating moment:


Morning alarms


.


2. Most dfficult task:


to find apropriate dress


.


3. Most dreadful journey:


way to office


.


4. Most lovely time:


Meeting friends


.


5. Most tragic news:


Suddenly boss calls in office


.


6. Most wonderful news:


Boss is absent Yahooooo!


.


7. Most funny moment:


Boss cracks a joke & nobody laughs;-)


.


8. Most happy moment:


Salary in hand. :-)


Enjoy professional life!

Aansoo poetry

Likhna to tha ke khush hoon tere bager bhi,
Aansuu magar kalam se pehle hi girr gaye…

Thursday, August 19, 2010

Good Morning

Pani ki Boond Pholon ko Mehka rhi hai,


Thandi Hawa Tazgi Jaga rhi hai,


Ho jao Ap bhi is mein Shamil,
….
.
1 Pyari Si Subha Ap Ko Jaga rahi Hai.

Har Subah Teri Yaad Chali



Ab Bhi Har Subah Teri Yaad Chali Aati Hai
Din Humare Sang Bita Kar Raat Ko Hi Jaati Hai


Teri Yaadon Ke Aane Jaane Ka Silsila Yun Hi Chalta Rehta Hai
Aur Dil Hamara Shama Ki Tarah Jalta Rehta Hai


Aate The Khayalon Me Ab Sapnon Me Bhi Aate Ho
Apne Chahne Waalon Ko Kyon Itna Tadpaate Ho


Hum Hain Bechain Yahan Tum Wahan Muskuraate Ho
Dil To Liya Humara Ab Kya Jaanlena Chahte Ho


Ein Nigaho Se Humein Aise Na Dekho Humari Jaan Jati Hai
Jaan Jane Ko Hi Hoti Hai Par Tumhe Dekhkar Jine Ki Aas Hoti Hai



Wednesday, August 18, 2010

beautiful Girl

“A Beautiful Girl cannot give you a Beautiful Future


ButA Beautiful Future can give you many Beautiful Girls”


(Hitler)


Submit By: nabeel

I know how difficult I’ve made your life



I know how difficult I’ve made your life
Now that you’ve brought home another father.
You have your new dominion as a wife
While I still mourn the absence of the other.
And yet I recognize your right to choose
The man you love, whatever I might feel.
Life is not a game to win or lose:
For that the pain on both sides is too real.
It therefore is my place to make a place
Within my heart for one who lives in yours.
There is no way to do this but with grace,
For one must be at home with open doors.
Please forgive the failure of my love.
Your love for me should mine for your love move.



The Monkey In The Zoo

SomeOne..
MiSSES U..
NeeDS U..
Worries About U
Lonely Without U
Guess Who?
THE MONKEY IN
… THE ZOO .

Tuesday, August 17, 2010

Qadmon K Nishan

Ye Keh Kr Frishton Se Jannat Men Chala Jaon Ga


Apni MAA K Qadmon K Nishan Dhond Raha Hon…!!!


ALLAMA IQBAL

Height of Stupidity

Height of Stupidity
One day some friends were walking down the beach..
One shouted,”Look at that dead bird!!”
All looked up at the sky and asked:”Where Where?

Dil Jeet Le Woh Jigar

Dil jeet le woh jigar hum rakhte hai
Katal kar de woh nazar rakhte hai
Wada kiya hai kisi se hamesa muskurane ka
Warana hum bhi ankhon mai samunder rakthe hai..

Monday, August 16, 2010

funny teacher sms

Chemsitry ke class mein


teacher ne ek ladki se pucha-what is Nitrate?


Ladkhi sharmakr boli:-


Sir , Night rate is 1500/-&


Hotel charges alag se…

Dharkan Ko Us Ki Yaad Se Tehreek Mil Rahi

Dharkan Ko Us Ki Yaad Se Tehreek Mil Rahi Hai

Chaahat Agar Sazaa Hai To Theek Mil Rahi Hai...

Dharkan Ko Us Ki

Teri Muskaan

Teri MuSkaan, Tera LehJa,


Tere Masoom Se Alfaaz


KiYa KaHun BasS


BoHat YaaD Aaty Ho TuM.

Eid Mubarak to you

Eid Mubarak to you and your family.
May Allah shower His blessings upon you and your family.


Remember me in your prayer.

Ab Main Sone Se Darti Hoo



Kaha Tha Na!
Mujhay Tum Iss Tarah Sootay Huay Matt Chor Ker Jana
Mujhay Bayshak Jaga Daina
Bata Daina
Muhabbat Ke Safar Main Saath Mairay Chal Nahin Saktay
Judai Main, Hijar Main Saath Mairay Jal Nahin Saktay
Tumhain Rasta Badalna Hai
Mairi Hadd Se Nikalna Hai
Tumhain Kis Baat Ka Derr Tha
Tumhain Jaanay Nahin Daiti?
Kahin Per Qaid Ker Laiti?
Array Pagal!
Muhabbat Kee Tabiyat Main Zaberdasti Nahin Hoti!
Jissay Rasta Badalna Ho
Ussay Rasta Badalnay Se
Jissay Hadd Se Nikalna Ho
Ussay Hadd Se Nikalnay Se
Na Koi Rok Paya Hai
Na Koi Rok Pai Ga
Tumhain Kiss Baat Ka Darr Tha
Mujahy Baishak Jaga Daitay
Tumhain Main Daikh Hee Laiti
Tumhain Koi Dua Daiti
Kam-Az-Kamm Yun Tu Na Hota
Mairay Saathi! Haqeeqat Hai


Tumharay Baad Khonnay Ke Liya Kuch Bhee Nahin Baaqi
Mager Khonnay Se Derti Hoon
MAIN AB SONAY SE DERTI HOON



Dosti ka pyar

Hmko DOSTI ka pyar itna do k


had na ho, mgr eitbar b itna krna k


shak na Ho DOSTI itni sachi


krna k bewafai na ho or Dua bas itni krna k


kabi judai na ho

Hindi shayari rona




haath bhii jaate hue wo to mila kar na gaya
main ne chaha jise seene se laga kar rona


haath bhii jaate hue wo to mila kar na gaya
main ne chaha jise seene se laga kar rona


tere deevane ka kiya haal kiya hai gham ne
muskurate hue logon mein bhi jaa kar rona


log par lete hain chehre pe likhi tehriren
itna dushvaar hai logon se chupa kar rona..!




Share with us more Hindi shayari rona in Comments Section below.



Sunday, August 15, 2010

Us Ki Aankhon Me Mohabbat Ka Taqaza Kya

Us Ki Aankhon Me Mohabbat Ka Taqaza Kya Hai
Kabhi Parda Kabhi Nazara Ye Tamasha Kya Hai...

Us Ki Aankhon

Rabi ul Awwal Month sms

…Dua…
Aae mere Allah iss “rabe ul awal” k pak mahine mein mere iss dost k ache naseeb ki raah main aane wali her rukawat ko asani main badal day, iss ki zindagi ko khushion se bhar de aur iss per aisa karam kar k sari kaaeynaat rashk karay, aur her dua zaban se nikalny se pehle qabool farma!!
beshak Tu her cheeze pe “QADIR” hai.
(Ameen)

Bacha Upset Q Hai

Bap: Aaj Mera Bacha Upset Q He..??


Beta: Mai Apko Nai Bata Sakta


Bap: Mujhe Apna Dost Samjho Yar


Beta: Yar Teri Bhabhi Nraz HoGai He

Tum Ap Hi Apny Daam Kaho

Har Fard Yahan Par Taajir Hai
Har Waqt Tijarat Hoti Hai
Tum Ap Hi Apny Daam Kaho
Chup K Nahi Sar-e-Aam Kaho
Kya Lo gy Apni Yari Ka
Kya Lo gy Tum Dildari Ka
Ghum khawar Bano Gy Kitny Main
Tum Pyar Krogy Kitny Main
Sub Jazby Mery Naam Karo
Hum Naam Tum Apna Daam Kaho
Phir Daam Chukaany Ki Khaatir
Hum Apna Daftar Kholen To
Hum Apni Jaib Tatolen To
Bas Pyar Mily Ga Thora Sa
Aazaar Mily Ga Thora sa
Ye Sikkay Yahan Kab Chalty Hain
Kya Udhaar Mily Ga Thora Sa?
Ye Duniya Be aitbari Ki
Ye Arz Hai Har Beyopari Ki
Chal Chor Tamana Jazbon Ki
Hum Khali Hath Hi Aye Thy
Chal Khali Hath Hi Jayen Hum.

Saturday, August 14, 2010

Main Usko Bhool Kar Khush Hun

Hakikat Hai Yakeen Kar Lo Main Usko Bhool Kar Khush Hun,
Mohabbat Mar Chuki Ab To Main Usko Bhool Kar Khush Hun,

Badalti Rut Ki Waja Se Tabiyat Kuch Bojhal Si Hai,
Yun Mera Haal Mat Poocho Main Usko Bhool Kar Khush Hun,

Mere Lehje Pe Mat Chonko Meri Aankhon Mein Mat Jhaanko,
Yun Hairat Se Na Dakho Main Usko Bhool Kar Khush Hun,

Tumhe Kya Weham Hai Tum Q Mujhse Poochte Ho,
Ae Mere Dost Main Usko Bhool Kar Khush Hun,

Tum Uski Yaad Se Keh Do Main Usko Bhool Kar Khush Hun
,
Ab To Udasi Saare Ghar Mein Phelti Jaati Hai Gum Bankar,
Dar-E-Deewar Pe Likh Do Main Usko Bhool Kar Khush Hun!

New Research of Astrologers

New research of astrologers.


never beleive in 3 people.


sagitarius, capricorn, pices. Bcz they never belive in anyone.


never lose 3 people,


libra, cancer, aries. Bcz they are the most sincere n true lovers.


never share with 3 people,


virgo, taurus,scorpio, bcz they can never keep secrets n cheat people by crocodile tears.


never reject 3 people,


leo, gemini, aquarius


bcz they are true friends n never think bad 4 any one.

Muhabbat Hath Main Pehni Hui Choori

Muhabbat Hath Main Pehni Hui Choori Ki Maanid Hai,
Sanwarti Hai, Khanakti Hai, Khanak Kr Toot Jati Hai...

Muhabbat Hath Main Pehni

Bata ke so jatay

Muntazir Rehna BahOt Takleef Deta Hai,
Bata Kar Hi Soo Jatay Agar Sona Zarori Tha

Tum Pucho Aur Me Na Bataun Aise To Halaat

Tum Pucho Aur Me Na Bataun Aise To Halaat Nahi

Aik Zara Sa Dil Toota Hai Aur To Koi Bat Nahi...

Tum Pucho Aur Me

Friday, August 13, 2010

I Need You

I dont need a diamond ring.


I dont need the best chocolates.


I dont need the most expensive fresh flower.


But all i need is


Your love.
Your care.
Your time.


And most importantly I need you.

Zahanaton Ko Kahan Karb Se Farar Mila



Zahanaton Ko Kahan Karb Se Farar Mila
Jise Nigaah Milii Usako Intazaar Mila


Vo Koii Raah Kaa Patthar Ho Yaa Hasiin Manzar
Jahan Se Raastaa Thaharaa Vahiin Mazaar Mila


Koii Pukaar Rahaa Thaa Khulii Fizaaon Se
Nazar Uthaaii To Chaaro Taraf Hisaar Milaa


Har Ek Saans Na Jaane Thii Justajuu Kis Kii
Har Ek Dayaar Musaafir Ko Bedayaar Milaa


Ye Shahar Hai Ki Numaish Lagii Huii Hai Koii
Jo Aadamii Bhii Milaa Banake Ishtahar Milaa



Tear Burns

Fact: A tear burns Hundred drops of blood
when it comes out of an EYE.
Crying some1 means ur gradually dying for some1


SO ALWAYS VALUE SOMEONES TEAR……. 😀

Dard Ko Samjtay The

Jo Dost Dard Ko Samjtay Hein Wo Kabi


Dard Ki Waja Nhi Bantay,


Aur


Jo Dost Sachi Dosti krtay Hein


Wo Dard Sehna To Jantay hein


Par Dard Dena Nhi Jantey.

Love you Like

I am Not Perfect,


But I Know That,


You Will Never..


Ever. . .
Ever. . .
Ever,


Find Someone Like ME. . . and No One Can Love You Like The Way


I Do !!!

Allah se kaho

I LOVE U
Allah se kaho!
I MISS U
Namaz se kaho!
I BELIVE U
Quran se kaho!
I TRUST U
Rasool se kaho!
I HATE U
Gunaho se kaho!
I’M Muslim fakhr se kaho.

Assi Nazuk Dil Dey Lok Han - Baba Bulleh Shah Poetry

Assu-Nazuk-Bulleh-Shah

Baba Bulleh Shah Poetry

Assi Nazuk Dil Dey Lok Han, Sada Dil na Yar Dukhaya Kar,
Na Jhooty Wady Kitta Kar, Na Jhooti Qasmaan Khaya Kar,
Tenu Kinni Wari Me Aakheya Ay, Menu Wal Wal Na Azmaya Kar,
Teri Yad De Vich Mein Mar Ja Saan, Menu Enna Na Yad Aaya Kar…!

Dhoop Ka Safar



Dhoop Ka Safar Chhav Me Thehar Gaya,
Kadam Ke Faasale Rahguzar Se Bichhad Gaya.


Wasl-E-Nazar Hui Ek Kali Se Baad-E-Sahar,
Dopahar Ko Gul Hua Sham Ko Bikhar Gaya.


Rahguzar Ka Marasim Manzil Se Hai Ta Umr Ka,
Gar Manzil Bhi Karwat Le To Musafir Kidhar Gaya.



Meharban Ho Agar Chaman Pe Bahaaran,
Dekhte Hi Dekhte Gul Ki Kismat Sawanr Gaya.


Safar-E-Saman Ab Kyo Halka Hua,
Gethri Jo Kholi,Dekha Umr Guzar Gaya.


Zindagi Dhoop Ki Si Hai Atiq,
Jo Sahar Se Chali Sham Ki Chaukhat Pe Thar Gaya.



Mere Humsafar Ka Ye Hukm Tha K Me Kalam

Mere Humsafar Ka Ye Hukm Tha K Me Kalam Us Se Km Karun
Mere Hont Aise Silay K Phir Meri Chup Ne Us Ko Rula Dia...

Mere Humsafar Ka

Thursday, August 12, 2010

PIA Air Hostess

PIA Air Hostess Passenger se: Aap Khana Khayen ge…?
Passenger: Choices kia kia hain….???


.


.


.


.


.


.


.


.


.


.


.


.


.
Air Hostess:


YES or No.

Tumhari Akhri Wish

Judge: Tmhari akhri wish?


Mujrim:
Aap ki beti se shadi, Nokia N97, 5 crore Rs,
USA ka viza, 2 saal ka haneymoon, 6,
7 bache jo aap ko nana nana kahen or mujhe papa,
or men un sab ki shadi karwa dun us k baad aap jo fesla do mjhe manzoor hoga.


Judge: Hahaha !! meri koi beti hi nhi. Tanggo kamine nu.!

Search of Seat

In search of seat in train,


Pessengr 1: thori takleef krein gy ap?


Psngr2: oi oi oi hui hui hui haye haye haye. . !
Enni kafi ay ya hor kran.

Bazar e Muhabbat

Her aik chor jata hai Bazar-e-Muhabbat Main


Bhar jaye jab Dil to loag Khilona badal liya kartay hain

Wednesday, August 11, 2010

Gunahoun Mein Guzri

Un ki tareef kia poochtey ho


Umar sari gunahoun mein guzri


Paarsa ban rahey hein wo aesey


Jesey ganga nahaye howey hein


Ishq mai kia tujhey hum batayen


Kis kadar chowt khaaye hoe hen

Ab Na Dhoondna Mujhe Zameen-o-Aasman Ki Gardish Mein

Ab Na Dhoondna Mujhe Zameen-o-Aasman Ki Gardish Mein,
Tere Dil Mein Nahi Hum To Phir Kahin Bhi Nahi….

Dil Shayari

Ek Murghi k Kawway s rishta ho gaya



murgi


Ek Murghi k Kawway s rishta ho gaya,
.
Jab Murghay ko pata chala, to wo Murghi k paas gaya or Bola:
.
Mujh men kya kami hai? Smart hoon, Kawway se zyada khoobsurat hun, Tumhari biradari ka hun,
Meri awaz pooray sheher men goonjti hai.
Murghon ki Union ka President hun”
.
Murghi:
Main tumhare jazbaat ki qadar karti hun,
.
Lekin!!
Amma Abba ki khwahish hai k Larka Air Force men ho ;-)



Khaak mujh me

“Khaak mujh me kamal rkha hai,


Mustafa ne sambhaal rAkha hai…,


Mere aibon pe


daal k parda,


Mujhe achhon me daal rakha hai,


Apne daman se kr k wabasta,


Hr musibat ko taal rakha hai,


Me to kab ka he marr gaya hota,


AAQA


tere tukron ne


paal rakha Hai.


Subhan ALLAH

Tum Ko Dekhun Ga To Phir Roshani Hogi

Tum Ko Dekhun Ga To Phir Roshani Hogi Mujh Me
Tum Milo Ge To Mera Chaand Mukammal Hoga...

Tum Ko Dekhun Ga

Tuesday, August 10, 2010

Meri zindgi mera sath de

Meri zindagi mery sath chal


Tu tham k mera hath chal


Mery hath mein Tu hath de
Tu Umer bhar mera sath de


Tujy dekhna meri arzoo


Tujy sochna meri justjoo


Mujy din de apny khial ka
Mujy apny qurb ki raat de


Main akaily bhatkoon kahan kahan


Tery dam se ye saansain rwan dwan
Ye safr boht tavil hy


Tera sang hseen-o-Jamil hy


Meri dhrkno ko qrar de
Mery bigry hal sanwar de


kbi khd b mery pas a


mujhe uljhno se nijat de


Meri zindgi mera sath de.”

Mere Paas Se Guzra Mere Haal Tak Na Pocha

Mere Paas Se Guzra Mere Haal Tak Na Pocha 
Main Kese Maan Jao Ke Dor Ja K Roya Ho Ga

Submitted By: Abdul Jabbar

raton mein gar na ashk bahaun to kya karun- Murad Lucknawi



raton mein gar na ashk bahaun to kya karun
ik pal bhi us ko bhool na paun to kya karun
main ne suna hai un ko andhere nahi pasand
rahon mein ab main dil na jalaun to kya karun
tumhin kaho ki chod de jab zindagi bhi sath
phir maut ko gale na lagaun to kya karun
socha to tha ki chod dun us ke gali ‘murad’
lekin kaheen qarar na paun to kya karun


Poet of The Poem / Ghazal or Nazam : Murad Lucknawi



Send Ur Girlfriend On A Treasure Hunt

Send ur girlfriend on a treasure hunt.
Start wid a clue at home,
dan send her on a tour of ur favorite spots all over town.
Wen she gets 2 da last hint, da prize shuld b u on 1 knee.

Raton ko saja dega

meri soony soony raton ko saja dega


pyaar hota hai kya smjha dega


ishq mein wo kabhi na daga dega


sirf chahe ga mujh ko wafa dega


ik din usko ana hoga jaye ga kahan


aye ga aye aye aye ga


wo raja me khwabon ka wo raja me khwabon ka
.
.
.
.
mein ne banaya hai …….

Dosti jab kisi se ke jaye – Rahat Indori



Dosti jab kisi se ke jaye
dushmanon ke bhi raye li jaye
maut ka zeher hai fizaon mein
ab kahan ja ke sans li jaye
bas isi soch mein hun duba hua
ye nadi kaise par ke jaye
mere mazi ke zakhm bharne lage
aj phir koi bhool ke jaye
botalen khol ke to pi barason
aj dil khol ke bhi pi jaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Rahat Indori



1 Larke Or Larki

1 Larke Or Larki
Ki Shadi Howi To
Garmi Bohot Thi
Ap Yaqeen Karo
K Dosre Din Hi
Un
K
Gher
Bacha Howa
.
.
.
.
.
.
.
.
.
SaLaN Khrab
Ho Gaya.

Monday, August 9, 2010

Maxak ke haad

Log ap ko bura kahe D0NT MIND


Pagal kahe gussa na hona


Jahil kahe to b cool rahna


Lekin agar khobsurat kahe to rakh k chamat marnaQ k mazaq ki b 1 had hoti ha.

No Matter The Sky

No matter the sky is black or blue,
no matter theres stars or moon,
as long as ur heart is true, sweet dreams will always
be wif u. Gd Nite!

SHAB-E-QADR ki raat MUBARAK

Hawa ko khushbu
.
MUBARAK
Fiza ko mausum
.
MUBARAK
Chaman ko gul MUBARAK
.
Aapko humari taraf se
SHAB-E-QADR
ki raat MUBARAK.

ABBA ki Barat ma

Tamam Pakistanio ko inform kia jata hy k hr match hm nhi jeet skte q k baqi teams yahan apne ABBA ki Barat ma nhi i hy!


A Pblic Service Msg by


Shahid AFRIDI:)

Burst Into Tears

You Hurt Me, I Kept Silent……!!!


You Teased Me, I Kept Silent… !!!


You Ignored Me, I Kept Silent….!!!


But, One Day You Leave Me, I Burst Into Tears


Coz, You Hurt Me More Than I Deserve …!!

Jaye Humse Khata

Itni ulfat Na Karo K Bikhar Jain Hum,
Thora Danta B Karo K Sudhar Jain Hum,
Agar Ho Jaye Humse Khata,
To Ho Jana Khafa,
Magar Itna B Nai K Mar Hi Jain hum.

Sunday, August 8, 2010

Wo Intazaar Thaa Jis Kaa



Wo Intazaar Thaa Jis Kaa, Ye Wo Sehar To Nahiin


Ye Wo Sehar To Nahiin Jis Kii Aarazuu Lekar
Chale The Yaar K Mil Jaayegii Kahiin Na Kahiin


Falak Ke Dasht Mein Taron Kii Aakharii Manzil
Kahiin To Hogaa Shab-E-Sust Mauj Kaa Saahil


Kahiin To Jaa Ke Rukegaa Safinaa-E-Gam-E-Dil
Jawaan Lahuu Kii Pur-Asaraar Shaaharaahon Se

Chale Jo Yaar To Daaman Pe Kitane Haath Parey
Dayaar-E-Husn Kii Be-Sabr Khwaab-Gaahon Se


Pukaratii Rahiin Baahein, Badan Bulaatey Rahey
Bahut Aziiz Thii Lekin Rukh-E-Sehar Kii Lagan


Bahut Qariin Thaa Hasiinaan-E-Nuur Kaa Daaman
Subuk Subuk Thii Tamannaa, Dabii Dabii Thii Thakan



Gussa kiya hai

Kisi buzurg sy pocha gaya
“Gussa kia ha”
un buzurg nay fermaya
“kisi ki ghalti ki saza khud ko daina”
jazakAllah
Gud Morning

ik nigah k faiz se

kahin be kenar se rat jagey kahin zar nigar se khoab day
tera kia asol ha zindagi? mujhe kon is ka jawab dey
jo bicha sakon tery wastey jo saja sakon tery rasty
meri dastras men sitary rakh meri muthiyon ko gulab dey
ye jo khohishon ke parindey han inhen mosmon se garz nahi
ye urey ga apni moj men ise ab de k serab dey
tujhe cho lia to bharak uthy merey jismon jan men charag se
kabi yon b ho mery robaro k men nazar mila k ye keh sakon meri khoahishon ka hisab de
teri ik nigah k faiz se meri zeast harf mehk uthy
mear lafz lafz ho kehkshan mujhe aysi koi kitab dey

My Love For You

My love for you will never end
There are no two thoughts,
nor pretend,
Since the time I saw you,
I have fallen in love with you,
That time I had no clue,
That I wont be able to live
without you, Baby,
today I want you to know,
Though I dont have many
words to show That I love you..!!

Saturday, August 7, 2010

Zara si der ko aaye the khwab aankhon mein – Iftikhar Arif



Zara si der ko aaye the khwab aankhon mein
phir us ke bad musalsal azab aankhon mein


wo jis ke naam ke nisbat se raushan tha vujud
khatak raha hai wohi aaftab aankhon mein


jinhen mata-e-dil-o-jan samajh rahe the hum
wo aaine bhi hue behijab aankhon mein
ajab tarah ka hai mausam ke khak udati hai
wo din bhi the ke khile the gulab aankhon mein
mere gazal teri vahashaton ke khair ki hai
bahut dinon se bahut iztarab aankhon mein
na jane kaisi qayamat ka peshkhema hai
ye uljhane teri be-intasab aankhon mein


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Iftikhar Arif



Urdu Manqabat Shayari



Ahmed Hain Shehr E Ilm To Dar Murtaza Ali
Kaaba Aggar Sadaf Hai, Gohar Murtaza Ali


Woh Zarra E Haqeer Bhi Khursheed Ban Gaya
Jis Par Pardi Tumhari Nazar Muratza Ali


Zahra Hain Deen Ka Jism To Quwwat Hasan Hossein
Dil Hain Rasul E Paak, Jigar Murtaza Ali


Badr O Hunain Khayber O Khandaq Mein Sochiyey
Kiya Woh Tabah Na Hotay Aggar Muratza Ali


Mumkin Nahin Key Barq Nashaiman Jala Sakey
Likha Ho Aashiyaan Pe Aggar Murtaza Ali


Hai Khaak E Pai Shabbar O Shabbeer Yeh Ghulam
Safdar Pe Ho Karam Ki Nazar Muratza Ali



Dil-o-dimag ko ro lunga aah kar lunga – Akhtar Shirani



Dil-o-dimag ko ro lunga aah kar lunga
tumhare ishq mein sab kuch tabah kar lunga
agar mujhe na milin tum tumhare sar ke qasam
main apni sari javani tabah kar lunga
mujhe jo dair-o-haram mein kaheen jagah na mili
tere khayal hi ko sajdagah kar lunga


jo tum se kar diya maharum aasman ne mujhe
main apni zindagi sarf-e-gunah kar lunga


raqib se bhi milunga tumhare hukm pe main
jo ab talak na kiya tha ab aah kar lunga


tumhari yaad mein main kat dunga hashr ke din
tumhare hijr mein raten siyah kar lunga
harim-e-hazarat-e-salama ke simt jata hun
hua na zabt to chupke se aah kar lunga
ye naubahar ye abr-o-hava ye rang-e-sharab
chalo jo ho so ho ab to gunah kar lunga
kisi hasina ke masum ishq mein “akhtar”
javani kya hai main sab kuch tabah kar lunga


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Akhtar Shirani



Hathon ke lakeere

Wo jo badalta hai to besakhta meri aankhain……


Apny Hathon ki lakeeron mein ulaj jati hain….


From: Qamar Saghir ( 03315161307)

Khushiyon Ki Bhi Koi Dukan Hoti

Tanha chaand ko dekha hoga
Koi yaad to aaya hoga


Zabt ka sheesha chatkha hoga
Yaad ne kankar phenka hoga


Sawan ki bheegi khushboo ne
Saanson ko sulgaya hoga


Ghagar se chimti hai radha
Shyaam jo usko chhoota hoga


Ham kya khaak ghazal likkhen jab
Angdaai par pehra hoga


Tere taiwar dekhke aksar
Maosam rang badalta hoga


Jisne pyaar lutaya uska
Aansu hi sarmaya hoga


Wasl ki chaah me tapta suraj
Sagar doobke rota hoga


Sonp ke maojon ko bechaini
Pyasa sahil sota hoga


Tara toota aur dil dhadka
Tujhe kisine maanga hoga

Friday, August 6, 2010

Urdu sher



Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye


Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye


Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye


Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye


Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye



Na jane kiyon tumhare naam se itni muhabbat hai
Kisi ka naam leti hoon to tumhara naam aata hai


Jab khayalon me nideyen palak hoti hai
Dil me paida teri yaadon ki mahak hoti hai


Tu shabo roz ka hasil hai mera saath na chod
Tu hi ham raaz ke qabil hai mera sath na chod


Share with us more Urdu sher in comments section below



Main Jab Bhi Teri Yaadon Ka Sahara Thaam Leta

Main Jab Bhi Teri Yaadon Ka Sahara Thaam Leta Hun

Bhula Deta Hun Dard-O-Gham Zara Aaram Leta Hun

Na-Jane Kon Sa Jazba Mujhe Majboor Karta Hai

Main Aksar Be-Khudi Me Bhi Tumhara Naam Leta Hun

Yaqeen Karta Nahi Koi Bhi Meri Be-Gunahi Ka

Main Khud Chup Chap Apne Sar Pe Har ilzam Leta Hun

Mujhe Har Bat Par Rona Kabhi Acha Nahi Lagta

Isi Khatir Main Apne Gham Hansi Me Taal Deta Hun...

Main Jab Bhi Teri

The Night With Sweet Dreams

Night Is A Theater


Dream
Is A
Movie

God
Is The
Director,


Nature
Is The
Producer


U R
The Hero
“Enjoy”
The Night With Sweet Dreams…:-)

Thursday, August 5, 2010

Chaand Dekha Hai To Yaad Aai - Eid Chand Poetry

Eid Shayari

Best Eid Shayari 2012

Chaand Dekha Hai To Yaad Aai Hai Teri Soorat,
Haath Uthte Hain Mager Harf-e-Dua Yaad Nahi…

He Will Fight The World To Stop Ur Tears

May b I am wrong but the Person who Loves U,
will Fight with
U more


but


if
U drop a tear


he will Fight the worLd to Stop Ur tears…

Dil To Kehta Hai

DiL to kehta hai k
chhor jaon yeh DUNiYA


MAGAR


Phir KHAYAAL ata hai k
hAley tey mera weya wi
ni hoya.

Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay



Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiyey Mujhay


Hur Rooz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Main Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiyey Mujhay


Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiyey Mujhay


Main Kia Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhay Kuch Khabar Nahin
Hain Aap Kitni Duur Zara Sada Dijiyey Mujhay


Ki Main Ne Apne Zakham Ki Tash’heer Ja Baja
Hum Mantey Hein Jurm, Saza Dijiyey Mujhay


Qaim Tou Ho Sakey Koi Rishta Ap Key Saath
Gehre Samandaroon Main Baha Dijiyey Mujhay


Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasney Se Faida
Hai Tairgi Tou Aag Laga Dijiyey Mujhay


Jaltey Dinoon Main Khud Pas Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Main Laga Dijiyey Mujhay


Youn Tou Shoola-E-Jaan Sard Ho Chuka
Laikin Sulag Uthoon Tou Hawa Dijiyey Mujhay



Best Wishes

May the festival of lights be the harbinger
of joy and prosperity. As the holy occasion of
Ramadan is here and the atmosphere is
filled with the spirit of mirth and love,
here is hoping this festival of beauty brings
your way, bright sparkles of contentment,
that stay with you through the days ahead.


My Best wishes for u on Ramadan

Pir(Monday) ka Roza

Nabi-e-Karim (Sallaho Alaihi Wosallam) se Pir(monday) k din “roza” rakhne k bare main sawal kiya gaya, To Aap (Sallaho Alaihi Wosallam) ne farmaya k : main pir k din paida howa, aur pir ke hi din se mojh par Qura’an ka nazool shoro howa..(Muslim Shareef)

Tadap uthun bhi to zalim teri duhai na dun – Ahmed Faraz



Tadap uthun bhi to zalim teri duhai na dun
main zakhm zakhm hun phir bhi tujhe dikhai na dun
tere badan mein dhadakane laga hun dil ke tarah
ye aur baat ke ab bhi tujhe sunai na dun
khud apne aap ko parakha to ye nadamat hai
ke ab kabhi use ilzam-e-bevafai na dun


mujhe bhi dhundh kabhi mahv-e-ainadari
main tera aqs hun lekin tujhe dikhai na dun


Poet of the Poem /  Ghazal or Nazam: Ahmed Faraz



Aankhon se hamesha

aankhon se hamesha rahtey hain Door


Wah Wah


jo aankhon se hamesha rahtey hain door
.
.
.
.
.
Wo Question Exam me aatey hain Zaroor.

Wednesday, August 4, 2010

Wo Rishtey Nate Tor Chale

Lo Apna Jahan Ae Duniya Walo,
Hum Iss Duniya Ko Chhor Chale,
Jo Rishtey Nate Jore Thy
Wo Rishtey Nate Tor Chale,
Kuch Sukh K Sapne Dekh Chale Kuch Dukh K Sapne Jhel Chale,
Taqder Ki Andhi Gardish Ne Jo Khel Khellae Khel Chale
Her Cheez Tmhari Lotadi Hm Lekar Kuch Na Saath Chale
Phr Dosh Na Dena Ae Logo Hm Dekh Lo Khali Haath Chale
Ye Raah “FARAZ” Akeli Kat’ti Hy Yahan Sath Na Koi Yar Chale,
Us Paar Najane Kya Hoga
Is Paar To Sb Kch Haar Chaly

Us Marhaly Ko Mout Bhi Kehte Hain

Us Marhaly Ko Mout Bhi Kehte Hain Dosto
Ek Pal Me Toot Jaen Jahan Umer Bhar K Sath...

Us Marhaly Ko

The Greatest Mistake

The Greatest Mistake Which We Humans Comit In Our Relationships:
“We Listen Half, Understand Quarter, Think Zero And React DOUBLE.”

Tuesday, August 3, 2010

Us Ka Mayaar Abhi Mujhse Juda Hai

Us Ka Mayaar Abhi Mujhse Juda Hai Lekin

Wo Bhi Bikhre Ga To Ho Jaega Mere Jesa...

Us Ka Mayaar Abhi

Kisi K Dil Me Kya Chupa Hai Ye Bas Khuda

Kisi K Dil Me Kya Chupa Hai Ye Bas Khuda Hi Janta Hai

Dil Agar Be-Naqaab Hote To Socho Kitne Fasaad Hote...

Kisi K Dil Me

Hain sabhi ko

Hain sabhi ko
hum say shikayatein,
Pr humain ksi se
gila nahin
FARAZ…
Yeh usool hum
ne bana liya,
Na mila karo,
Na gila karo..

Khird ke pas khabar ke siwa kuch aur nahi – Allama Iqbal



Khird ke pas khabar ke siwa kuch aur nahi
tera ilaj nazar ke siwa kuch aur nahi
har muqam se aage muqam hai tera
hayat zauq-e-safar ke siwa kuch aur nahi
rangon mein gardish-e-khun hai agar to kya hasil
hayat soz-e-jigar ke siwa kuch aur nahi
urus-e-lala munasib nahi hai mujhase hijab
ki main nasim-e-sahar ke siwa kuch aur nahi
jise qasad samajhate hain tajaran-e-firang
wo shay mata-e-hunar ke siwa kcuh aur nahi
giranbaha hai to hifz-e-khudi se hai warna
gohar mein aab-e-gauhar ke siwa kuch aur nahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Allama Iqbal



dard ko dard se na dekho

dard ko dard se na dekho ,,,


Dard ko b Dard hota hai,,,,


Har dard ko zarorat hai dost ki,,,,


akhar dost hi hai jo dard main


Hum Dard hota hai


Nasir Mehmood(03325868807)

Monday, August 2, 2010

Kon kehta hai mohabbat ke zuban hoti hai – Sahir Hoshiarpuri



Kon kehta hai mohabbat ke zuban hoti hai
ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
wo na aaye to satati hai khalish si dil ko
wo jo aaye to khalish aur jawan hoti hai
ruh ko shad kare dil ko jo puranur kare
har nazare mein ye tanvir kahan hoti hai
zabt-e-sailab-e-mohabbat ko kahan tak roke
dil mein jo baat ho aankhon se ayan hoti hai
zindagi ek sulagati si chita hai “sahir”
shola banti hai na ye bhuj ke dhuan hoti hai



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Hoshiarpuri



Do hi lafzon ka Afsana

“…Do hi lafzon ka tha woh afsana…,”
“…Jo suna kar khamosh ho baithey..!”


“..Ibteda ye k tum ko chaha tha.,”
“..Inteha ye k khud ko kho baithey”

2 Dog kissed each other

Boy and girl are sitting in a park 2 dogs kissed each other
.
.
.
Boy: jaanu agar tum bura Na mano to main bhi ??


Girl: ok, par sambhal ke…


kahi kutta kaat na le…!

Tanhai ki chadar

Tanhai ki chadar or’rhe
Teri Yaadon k kamre mein band
Hijr ki kaali ratoon meinJab aansu
mere girte heinEk naam tumhara lete hein
Palkon pe jhoolte chand qatreJab daman mein aa girte hein
Pegham mujhe ye dete hein
K pyar to bus ek dhoka haiKab kon kisi ka hota hai..

Funny bijili sms

Agar tumari zindgi andairy main doobi hui hai
to mayoos mut hona aur Khuda se roshni ki dua mango
agar phir bi andaira door nahi hota to kanjoosi mut karo
aur apna bijli ka bill ja kar jamma karwa aao.


Submit By: Zain Shuja

A mother’s love determines how



A mother’s love determines how
We love ourselves and others.
There is no sky we’ll ever see
Not lit by that first love.
Stripped of love, the universe
Would drive us mad with pain;
But we are born into a world
That greets our cries with joy.


How much I owe you for the kiss
That told me who I was!
The greatest gift–a love of life–
Lay laughing in your eyes.


Because of you my world still has
The soft grace of your smile;
And every wind of fortune bears
The scent of your caress.



Dosto Ko Har Sanss Ke Saat Yaad

Bhulna Meri Aadat Nahi Yaadasht Chalajye Tu Alag Baat Hai
Dosto Ko Har Sanss Ke Saat Yaad karta hon Sans Chala Jaye tu Alag Baat Hai

Sunday, August 1, 2010

Zindagi Jis K Damm Se

Zindagi jis k damm se hai Dost,
Yaad us ki azaab-e-jaan bhi hai…

Deshbhakti Shayari 15th August

Wahi Purab hai, Wahi Paschim hai,
Washi Uttar hai Wahi Dakshin,
Tukde-Tukde Meri Dharti ke,
Nahi Bhulta mai woh kshan.


Kaise Beete pata nahi hai,
64 Warsh Azadi ke.
Azad Hindustan kaisa hoga,
Sapne har ek manav ke.


Jan-Jan mein goonjta naam hai,
Bharat ke veer shahidon ka.
Aaj bhi aisi veer shahidi,
Bhula na sakta Hindustan.


Karwan ki pakdi dagar aisi,
Grihatyag balidaan kiya.
Maatribhumi ko sheesh chadhane,
Veeron ne kaisa pran liya.


Ahinsa ke bal Gaandhi koode,
Raajneeti Nehru ji ki.
Subhash Chander, Shekhar jaison ne,
Laaj bachai bharat ki.


Raajguru, Batukeshwar Dutt bhi,
Shaheed ho gaye is ran mein.
Amar shaheedi tabhi bachi hai,
Swatantra bharat ke kan-kan mein.


Chale gaye Angrej chhod desh,
Apni dharti tod gaye.
Bharat aur Pakistan banaakar,
Fir se jhagda jod gaye.


“Angrejo Bharat Chhodo”,
“Jai Hind” Hamara Naara tha.
Bharat ki dharati goonj uthi,
Jan-Jan ne yahi pukara tha.


Aao aaj fir se hum,
Unhi palon ko yaad karen.
Yah Shubh din Amar rahe,
Baar-baar fariyaad karen.


“Jai Hind” “Jai Bharat” Bolo,
Deshbhakti mein amrit gholo.
Swatrata diwas amar rahe,
Hindustani dil se bolo.
…………………..UMESH TAPSE (UST)

Beth Jata Hun Khaak Par Aksar - 2 Line Poetry

Khaak Shayari

2 Line Urdu Poetry

Beth Jata Hun Khaak Par Aksar,
Apni Auqaat Achi Lagti Hai….!!

Computer Shairi – Part 2



 Urdu Computer Shairi , Computer Poetry , Funny Hindi Computer Poetry , Hindi Computer Shayari , Urdu Funny Shayari


Computer Shairi – 2


Shayad Mere Pyar Ko ,Test Karna Bhool Gaye
Dil Sey Aisa Cut Kiya,Ke Paste Karna Bhool Gaye


Jo Muddat Se Hota Aaya Hai,Woh Repeat Kar Doonga
Tu Naa Mili To Apni Zindagi,Ctrl+Alt+Delete Kar Doonga


Laakhon Honge Nigaah Mein ,Kabhi Mujhe Bhi Pick Karo
Mere Pyaar Ke Icon Pe,Kabhi To Double-Click Karo


Roz Subha Hum Karte Hain ,Pyar Se Unhe Good Morning
Woh Aise Ghoor Ke Dekte Hain ,Jaise 10 Errors Aur 5 Warning
Jabse Meri Zindagi Mein, Aayi Hai Ik Female
Bhool Gaya Hai Sab Kuchh ,Kya Mailbox, Kya E-Mail