Sunday, August 1, 2010

Deshbhakti Shayari 15th August

Wahi Purab hai, Wahi Paschim hai,
Washi Uttar hai Wahi Dakshin,
Tukde-Tukde Meri Dharti ke,
Nahi Bhulta mai woh kshan.


Kaise Beete pata nahi hai,
64 Warsh Azadi ke.
Azad Hindustan kaisa hoga,
Sapne har ek manav ke.


Jan-Jan mein goonjta naam hai,
Bharat ke veer shahidon ka.
Aaj bhi aisi veer shahidi,
Bhula na sakta Hindustan.


Karwan ki pakdi dagar aisi,
Grihatyag balidaan kiya.
Maatribhumi ko sheesh chadhane,
Veeron ne kaisa pran liya.


Ahinsa ke bal Gaandhi koode,
Raajneeti Nehru ji ki.
Subhash Chander, Shekhar jaison ne,
Laaj bachai bharat ki.


Raajguru, Batukeshwar Dutt bhi,
Shaheed ho gaye is ran mein.
Amar shaheedi tabhi bachi hai,
Swatantra bharat ke kan-kan mein.


Chale gaye Angrej chhod desh,
Apni dharti tod gaye.
Bharat aur Pakistan banaakar,
Fir se jhagda jod gaye.


“Angrejo Bharat Chhodo”,
“Jai Hind” Hamara Naara tha.
Bharat ki dharati goonj uthi,
Jan-Jan ne yahi pukara tha.


Aao aaj fir se hum,
Unhi palon ko yaad karen.
Yah Shubh din Amar rahe,
Baar-baar fariyaad karen.


“Jai Hind” “Jai Bharat” Bolo,
Deshbhakti mein amrit gholo.
Swatrata diwas amar rahe,
Hindustani dil se bolo.
…………………..UMESH TAPSE (UST)

No comments:

Post a Comment