Thursday, August 5, 2010

Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay



Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiyey Mujhay


Hur Rooz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Main Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiyey Mujhay


Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiyey Mujhay


Main Kia Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhay Kuch Khabar Nahin
Hain Aap Kitni Duur Zara Sada Dijiyey Mujhay


Ki Main Ne Apne Zakham Ki Tash’heer Ja Baja
Hum Mantey Hein Jurm, Saza Dijiyey Mujhay


Qaim Tou Ho Sakey Koi Rishta Ap Key Saath
Gehre Samandaroon Main Baha Dijiyey Mujhay


Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasney Se Faida
Hai Tairgi Tou Aag Laga Dijiyey Mujhay


Jaltey Dinoon Main Khud Pas Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Main Laga Dijiyey Mujhay


Youn Tou Shoola-E-Jaan Sard Ho Chuka
Laikin Sulag Uthoon Tou Hawa Dijiyey Mujhay



No comments:

Post a Comment