Kon kehta hai mohabbat ke zuban hoti hai
ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
wo na aaye to satati hai khalish si dil ko
wo jo aaye to khalish aur jawan hoti hai
ruh ko shad kare dil ko jo puranur kare
har nazare mein ye tanvir kahan hoti hai
zabt-e-sailab-e-mohabbat ko kahan tak roke
dil mein jo baat ho aankhon se ayan hoti hai
zindagi ek sulagati si chita hai “sahir”
shola banti hai na ye bhuj ke dhuan hoti hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Hoshiarpuri
No comments:
Post a Comment