Saturday, August 7, 2010

Zara si der ko aaye the khwab aankhon mein – Iftikhar Arif



Zara si der ko aaye the khwab aankhon mein
phir us ke bad musalsal azab aankhon mein


wo jis ke naam ke nisbat se raushan tha vujud
khatak raha hai wohi aaftab aankhon mein


jinhen mata-e-dil-o-jan samajh rahe the hum
wo aaine bhi hue behijab aankhon mein
ajab tarah ka hai mausam ke khak udati hai
wo din bhi the ke khile the gulab aankhon mein
mere gazal teri vahashaton ke khair ki hai
bahut dinon se bahut iztarab aankhon mein
na jane kaisi qayamat ka peshkhema hai
ye uljhane teri be-intasab aankhon mein


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Iftikhar Arif



No comments:

Post a Comment