Tanha chaand ko dekha hoga
Koi yaad to aaya hoga
Zabt ka sheesha chatkha hoga
Yaad ne kankar phenka hoga
Sawan ki bheegi khushboo ne
Saanson ko sulgaya hoga
Ghagar se chimti hai radha
Shyaam jo usko chhoota hoga
Ham kya khaak ghazal likkhen jab
Angdaai par pehra hoga
Tere taiwar dekhke aksar
Maosam rang badalta hoga
Jisne pyaar lutaya uska
Aansu hi sarmaya hoga
Wasl ki chaah me tapta suraj
Sagar doobke rota hoga
Sonp ke maojon ko bechaini
Pyasa sahil sota hoga
Tara toota aur dil dhadka
Tujhe kisine maanga hoga
No comments:
Post a Comment