Sunday, August 8, 2010

Wo Intazaar Thaa Jis Kaa



Wo Intazaar Thaa Jis Kaa, Ye Wo Sehar To Nahiin


Ye Wo Sehar To Nahiin Jis Kii Aarazuu Lekar
Chale The Yaar K Mil Jaayegii Kahiin Na Kahiin


Falak Ke Dasht Mein Taron Kii Aakharii Manzil
Kahiin To Hogaa Shab-E-Sust Mauj Kaa Saahil


Kahiin To Jaa Ke Rukegaa Safinaa-E-Gam-E-Dil
Jawaan Lahuu Kii Pur-Asaraar Shaaharaahon Se

Chale Jo Yaar To Daaman Pe Kitane Haath Parey
Dayaar-E-Husn Kii Be-Sabr Khwaab-Gaahon Se


Pukaratii Rahiin Baahein, Badan Bulaatey Rahey
Bahut Aziiz Thii Lekin Rukh-E-Sehar Kii Lagan


Bahut Qariin Thaa Hasiinaan-E-Nuur Kaa Daaman
Subuk Subuk Thii Tamannaa, Dabii Dabii Thii Thakan



No comments:

Post a Comment