hum to jaise yahan ke the hi nahi
dhup the sayaban ke the hi nahi
raste karavan ke sath rahe
marhale karavan ke the hi nahi
ab hamara makan kis ka hai
hum to apne makan ke the hi nahi
in ko aandhi mein hi bikharana tha
bal-o-par yahan ke the hi nahi
us gali ne ye sun ke sabr kiya
jane wale yahan ke the hi nahi
ho teri khak-e-astan pe salam
hum tere aastan ke the hi nahi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jaun Eliya
No comments:
Post a Comment