Dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganva dete
tumhin ne hum ko sunaya na apana dukh varana
dua wo karte ki hum aasaman hila dete
hamen ye zom raha ab ki wo pukarenge
unhen ye zid thi ki har bar hum sada dete
wo tera gham tha ki tasir mere lahaje ki
ki jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulana hi avval to dastaras mein nahi
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
tumhari yaad ne koi javab hi na diya
mere khayal ki aansu rahe sada dete
sama’ton ko main ta-umr kosata syed
wo kuch na kahate magar honth to hila dete
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Wasi Shah
No comments:
Post a Comment