Sunday, March 13, 2011

Tha mustear husn se usake jo nur tha – Meer Taqi Meer



Tha mustear husn se usake jo nur tha
khurshid mein bhi us hi ka zarra-e-zahur tha
pahuncha jo aap ko to main pahuncha khuda ke tain
malum ab hua ki bahot main bhi dur tha
kal panv ek kasa-e-sar par jo aa gaya
yak-sar wo istakhvan shikaston mein choor tha
kahane laga ke dekh ke chal reh be-khabar
main bhi kabhu kisu ka sar-e-pur-gurur tha
tha wo to rashk-e-hur-e-bahishti hamin mein ‘meer’
samajhe na hum to feham ka apne qasur tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer



No comments:

Post a Comment