Apnay Bister Per Bohat Der Se Main Neem Daraz
Sochti Hon K Is Waqt Who Kahan Ho Ga
Mai Yahan Hon Magar Is Koocha-E-Rango-Bo Main
Roz Ki Tarah Who Aaj Bhi Aya Ho Ga
Aur Jub Us Nai Wahan Mujh Ko Na Paya Ho Ga
Aap Ko Maloom Hai Who Aaj Nahi Ayi Hain
Meri Her Dost Se Us Nai Yehi Poocha Ho Ga
Chalte Chalet Koi Manoos Si Ahat Pa Ker
Dosto Ko Bhi Kisi Uzr Se Roka Ho Ga
Rahdari Mai Haray Lawn Main Phoolon K Qareeb
Us Nai Her Simt Mujhay Aan Kar Dhoonda Ho Ga
Jub Mili Ho Gi Use Meri Halat Ki Khabar
Us Ne Ahista Se Deewar Ko Thama Ho Ga
Yad Kar K Mujhay Nam Ho Gain Hon Gi Palkain
Ankh Main Par Gaya Kuch! Keh Kar Tala Ho Ga
Or Ghabra Kar Kitabon Main Jo Li Ho Gi Panah
Her Sitr Main Mera Chehra Ubher Aya Ho Ga
Ittefaqan Mujhay Us Sham Meri Dost Mili
Mai Nai Poocha Suno Aye Thay Who Kaisay Thay?
Mujhay Poocha Tha?Mujhay Dekha Tha, Choro Janab!
Us Nai Aik Lamhe Ko Dekha Mujhay Or Hans Di
Is Hansi Main Tu Who Talkhi Thi K Is Se Agay
Kia Kaha Us Nai Mujhay Yad Nahi Bus
Bus Itna Maloom Hai K
KHOABOON KA BHARAM TOOT GAYA!!
No comments:
Post a Comment