Ae Khuda Sabhi Ko Jeene Kaa Saleeka Sikha De,
Har Dil Ke Kone Mei Kahin,Chiraag-E-Wafaa Jala De,
Kitne Hi Dil Toot Gaye,Par Tu Sada Hi Chup Raha,
Kuch Aisa Kar Kii Koi Kabhi,Phir Kisi Ko Naa Daga De,
Un Toote Dilon Ke Dher Me,Kahin Kuch Tukde Mere Bhi The,
Kam Se Kam Us Bewafa Ko Un Tukdon Ka Hisaab To Bata De,
Keh Khuda Apni Hawa Se,Ki Ab To Apna Rukh Mod Le,
Meri Daastaan-E-Dil Jaakar Us Bekhabar Ko Suna De,
Wo Shakhs Bharam Mei Jee Raha,Dil Tod Ke Khush Baitha Hain,
Nahi Bheegi Palkein Uski Ab To Use Rula De,
Uske Dard Me Ta-Umr Jal-Jal Ke Raakh Hui Hoon Main,
Kab Tak Jalaayega Mujhe,Ab To Is Aag Ko Bujha De,
Gar Tu Hai Is Jahaan Me,To Apne Hone Kaa Ehsaas Dila,
Meri Roothi Taqdeer Ko Chand Khushiyon Ke Gehno Se Saja De,
Uthti Hai Kayi Baar Kasak,Ke Dil-O-Zehen Mei Bhi,
Tamaam Gulistaan Naa Sahi,Par Dil Mei Ekk Phool To Khila De
No comments:
Post a Comment