Bahut Hansa Tha Main,
Jinko Bhi Hansaane Ki Liye.
Wahi Chod Gaye Hain Mujhe Aaj,
Tanhai Main Aansoo Bahaane Ke Liye.
Woh Hanste Hain Haamare Saamne,
Shayad Hamein Tadpaane Ke Liye.
Par Hum To Kambakht Ro Bhi Nahi Sakte,
Zamaane Ko Gum Dikhane Ke Liye.
Khushiyan Sab Woh Le Gaye,
Aashk Hain Bas Aab Mere Liye.
Par Yeh Aashk Bhi Aab Nahi Dete Hain Saath,
In Aankhon Se Aashk Bahaane Ke Liye.
Bade Sambhal Kar Rakhe The Kadam Humne,
Unke Saaye Ko Bhi Bachaane Ke Liye.
Par Aaj Apna Hi Saaya Saath Chod Gaya,
Humein Tanhai Ka Ehsaas Dilaane Ke Liye.
Ruke The Hum Har Moad Par,
Unke Intezaar Ke Liye.
Aaj Chod Gaye Hain Woh Ek Naye Moad Par,
Zindagi Bhar Intezaar Karwaane Ke Liye
Bahut Khushiyan Hain Aas-Pass,
Mujhe Khush Karne Ke Liye.
Phir Bhi Koi Wajah Doondhta Hoon,
Shaayad Main Muskuraane Ke Liye.
Kuch Yaadein Hongi Unke Pass Bhi,
Humein Yaad Karne Ke Liye.
Par Woh Kabhi Humein Na Yaad Kar Payenge,
Doondhenge Kisi Bahane Ke Liye.
Kabhi To Woh Bhi Sochenge,
Humaare Pass Waapis Aane Ke Liye.
Lekin Tub Hum Honge Hi Nahi,
Unko Pachtaane Ka Mauka Dene Ke Liye.
Zinda Laash Hai Aab To Yeh Zism,
Aapna Hi Bhoja Dhone Ke Liye.
Thodi Si Zamin Talaashta Hoon,
Khud Ko Dafnaane Ke Liye.
No comments:
Post a Comment