Bana gulab to kanten chubha gaya ik shakhs
hua chirag to ghar hi jala gaya ik shakhs
tamam rang mere aur sare khvab mere
fasana kah ke fasana bana gaya ik shakhs
main kis hawa mai udun kis faza mai laharaun
dukhon ke jal har-su bicha gaya ik shakhs
palat sakun main na aage badh sakun jis par
mujhe ye kon se raste laga gaya ik shakhs
muhabbaten bhi ajib us ke nafaraten bhi kamal
meri tarah ka hi mujh mai sama gaya ik shakhs
wo mahatab tha marham-ba-dast aaya tha
magar kuch aur siva dil dukha gaya ik shakhs
khula ye raz ke aaina-khana hai duniya
aur is mai mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Obaidullah Aleem
No comments:
Post a Comment