Sunday, August 12, 2007

Khuddariyon ke khoon ko arzan na kar sake – Sahir Ludhianvi



Khuddariyon ke khoon ko arzan na kar sake
hum apne jauharon ko numayan na kar sake
hokar kharab-e-may tere gham to bhula diye
lekin gam-e-hayat ka daraman na kar sake
tuta talism-e-ahad-e-mohabbat kuch is tarah
phir aarzoo ke shama furezan na kar sake
har shay qarib aake kashish apni kho gai
wo bhi ilaj-e-shauq-e-gurezan na kar sake
kis darja dil-shikan the mohabbat ke hadase
hum zindagi mein phir koi araman na kar sake
mayusiyon ne chin liye dil ke val-vale
wo bhi nishat-e-ruh ka saman na kar sake


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi



No comments:

Post a Comment