Seeny se laga ke kaha kerti thi maa mujh ko to laaal hai na sata mujh ko
pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi na chahty hue bhi akela choor jaun gi
zamana dikhaee ga garmi ki shiddat tujh ko yaad kerke roye ga tu phir mujh ko
muddad se meri maa ne seeny se nahin lagaya a ab so gayi khaak main jab kuch
kehny ka waqt aya
Maa Sath ha to saya-e-Qudrat bi sath ha Maa k beghair lagy din b raat ha .
Mein dur jaon to uksa mery sar pe hath ha Mery liye to meri Maa hi kaynat ha .
Daaman mein Maa k sirf wafaon k phool hein Hum sarey apni Maa k Qadmoon k dhool hein .
Aulaad k Sitam usey Hass k Qabool hein Bachon ko Bakash deina hi Maa k Usool hein .
Din Raat Us ne Paal Pos k bada kiya Girney laga to Maa nemuje phir khara kiya
Ek baar Ishwar kaap utha tha vichilit hua tha
Soch ke who bhi khabraya tha, Ki Prem who apna kaise baatein
Koti Prashno ne janm liya fhir uske vishal Hridya mein???
Kaun hai who, jo degi Sheetal chayaa
Jo Pilayegi Mamta kaa jal
Jo Sawaare gi, Dulare gi,
Choth lage agar shishu ko toh usko bhi dard hoga.
Inn prashno ko rakha gaya anyaa devtaaon ke saamne jab,
Woh devta baandhane lage Inn Prashno ko dhaage se tab,
Baandh Baandh Ek murat bani jise naam dena zaroori tha,
Jo Ishwar se bhi unchi hai, use sammman dena zarori tha,
OM, RAM, RAHIM ko le jab uss Murat ka ucchhaar hua,
Tab unn aksharon ke anth ke “M” se “MAA” akshar kaa Nirnmaan Hua,
Tab Ishwar ne mann mein socha,
Kash Meri bhi “MAA” hoti, toh aaj jise meine racha hai….
Share with us more Shayari on mother .in comments section below.
No comments:
Post a Comment