Phoolon ke aarzoo mein bade zakhm khaye hain
lekin chaman ke khar bhi ab tak paraye hain
us par haram hai gam-e-dauran ke talkhiyan
jisake nasib mein teri zulfon ke saye hain
mahashar mein le gai thi tabiyat ke sadagi
lekin bade khulus se hum laut aaye hain
aaya hun yaad bad-e-fana unko bhi ‘adam’
kya jald mere sikh pe iman laye hain
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Abdul Hameed Adam
No comments:
Post a Comment