Friday, August 17, 2007

Zalim tha wo aur zulm ke aadat bhi bahut thi – Kaleem Ajiz



Zalim tha wo aur zulm ke aadat bhi bahut thi
majabur the hum us se muhabbat bhi bahut thi
us but ke sitam sah ke dikha hi diya hum ne
go apni tabiyat mein bagavat bhi bahut thi
vaqif hi na tha ramz-e-muhabbat se wo warna
dil ke liye thodi si inayat bhi bahut thi
yun hi nahi mashur-e-zamana mera qatil
us shakhs ko is fan mein maharat bhi bahut thi
kya daur-e-gazal tha ke lahu dil mein bahut tha
aur dil ko lahu karne ke fursat bhi bahut thi
har sham sunate the hasinon ko gazal hum
jab mal bahut tha to sakhavat bhi bahut thi
bulava ke hum ‘ajiz’ ko pasheman bhi bahut hain
kya kijiye kambakht ke shoharat bhi bahut thi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Kaleem Ajiz



No comments:

Post a Comment