Sunday, August 26, 2007

Din ko bhi itna andhera hai mere kamare mein – Zafar Gorakhpuri



Din ko bhi itna andhera hai mere kamare mein
saya aate hue darta hai mere kamare mein
gham thaka hara musafir hai chala jayega
kuch dinon ke liye thahara hai mere kamare mein
subah tak dekhana afasana bana dalega
tujh ko ek shakhs ne dekha hai mere kamare mein
darbadar din ko bhatakata hai tasavvur mera
han magar raat ko rehta hai mere kamare mein
chor baitha hai kahan soch raha hun main ‘zafar’
kya koi aur bhi kamara hai mere kamare mein


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Zafar Gorakhpuri



No comments:

Post a Comment