Friday, August 17, 2007

Husn ko be-hijab hona tha – Majaz Lucknawi



husn ko be-hijab hona tha
shauq ko kamayab hona tha
hijr mein kaif-e-iztarab na puch
khun-e-dil bhi sharab hona tha
tere jalvon mein ghir gaya aakhir
zarre ko aafatab hona tha
kuch tumhari nigah kafir thi
kuch mujhe bhi kharab hona tha
raat taron ka tutana bhi ‘majaz’
bais-e-iztarab hona tha


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Majaz Lucknawi



No comments:

Post a Comment