Wednesday, August 22, 2007

Tu kaheen bhi rahe sar pe tere ilzam to hai – Sabir Jalalabadi



Tu kaheen bhi rahe sar pe tere ilzam to hai
tere hathon ke lakiron mein mera naam to hai
mujhko tu apna bana ya na bana teri khushi
tu zamane mein mere naam se badanam to hai
mere hisse mein koi jam na aaya na sahi
teri mahafil mein mere naam koi sham to hai
dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main khush hun muhabbat ka ye anjam to hai
wo sitamagar hi sahi dekh ke usako “sabir”
shukr is dil-e-bimar ko aaram to hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sabir Jalalabadi



No comments:

Post a Comment