ret par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolati hain pyar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko halat ke rudad sunaya na karo
ye zaruri nahi har shakhs masiha hi ho
pyar ke zakhm amanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehasas mein pattharav bahut hain ‘mohsin’
dil ko shishe ke jharonkhon mein sajaya na karo

Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Mohsin Naqvi
No comments:
Post a Comment