Tu nahi to zindagi main aur kya reh jayega
dur tak tanhaiyon ka silsila reh jayega
kijiye kya guftagu kya un se mil kar sochiye
dil-shikasta khvahishon ka zayaqa reh jayega
dard ke sari tahen aur sare guzri hadase
sab dhuan ho jayenge ek vaqiya reh jayega
ye bhi hoga wo mujhe dil se bhula dega magar
yun bhi hoga khud usi mein ek khala reh jayega
dayar-e-inkar ke iqarar ke saragoshiyan
ye agar tute kabhi to fasala reh jayega
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Iftikhar Imam Siddiqui
No comments:
Post a Comment