Dayam pada hua tere dar par nahi hun main
khak aisi zindagi pe ke paththar nahi hun main
q gardish-e-mudam se ghabara na jaye dil
insan hun, pyala-o-sagar nahi hun main
yarab! zamana mujh ko mitata hai kis liye
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main
had chahiye saza mein uqubat ke waste
aakhir gunahagar hun, kafir nahi hun main
kis waste aziz nahi janate mujhe
lal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main
rakhate ho tum qadam meri aankhon se q dareg
rutabe mein mahr-o-mah se kamatar nahi hun main
karte ho mujhako mana-e-qadambos kis liye
kya aasman ke bhi barabar nahi hun main
‘ghalib’ wazifakhwar ho, do shah ko dua
wo din gaye ki kahate the “naukar nahi hun main”
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment