Sunday, August 12, 2007

Takra hi gai meri nazar un ke nazar se – Faiyaz Hashmi



Takra hi gai meri nazar un ke nazar se
dhona hi pada hath mujhe qalb-o-jigar se
izhar-e-mohabbat na kiya bas isi dar se
aisa na ho gir ja un kaheen un ke nazar se
ae zauq-e-talab josh-e-junun ye to bata de
jana hai kahan aur hum aaye hain kidhar se
‘fayyaz’ ab aaya hai junun josh pe apna
hansata hai zamana main guzarata hun jidhar se


Poet of the Poem /  Ghazal or Nazam: Faiyaz Hashmi



No comments:

Post a Comment