Friday, August 17, 2007

Jo bhi bura bhala hai ALLAH janata hai – Akhtar Shirani



jo bhi bura bhala hai ALLAH janata hai
bande ke dil mein kya hai ALLAH janata hai
ye farsh-o-arsh kya hai ALLAH janata hai
pardon mein kya chupa hai ALLAH janata hai
jakar jahan se koi vapas nahi hai aata
wo kon si jagah hai ALLAH janata hai
neki-badi ko apne kitna hi tu chupaye
ALLAH ko sab pata hai ALLAH janata hai
ye dhup-chaon dekho ye subah-sham dekho
sab q ye ho raha hai ALLAH janata hai
kismat ke naam ko to sab janate hain lekin
kismat mein kya likha hai ALLAH janata hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Akhtar Shirani



No comments:

Post a Comment