Sunday, August 19, 2007

Sirf Meri Tanhai Hai



Main Hoon Aur Mere Saath
Sirf Meri Tanhai Hai
Pehle Saaya Toh Tha Mere Saath
Aaj Kal Woh Bhi Harjaai Hai
Aaj Phir Aansuon Ki Baarish Hai
Aaj Phir Yaad Unki Aayi Hai
Jaanta Hun Kahin Nahi Hai Woh
Dil Ko Shak Hai Yaheen Kahin Hai Woh
Kaash Yeh Mera Dil Sanbhal Jaaye
Yeh Haseen Wahem Bhi Nikal Jaaye
Ek Dilkash Haseen Chehra Tha
Aks Aankhon Me Uska Gehra Tha
Roz Milte The Baat Hoti Thi
Har Jageh Mere Saath Hoti Thi
Haath Me Haath Apne Hote The
Chaand Taare Bhi Saath Hote The
Kya Samaan Khoob Woh Bhi Hota Tha
Dil Hamara Kahin Jo Khota Tha
Apni Duniya Ajeeb Hoti Thi
Maano Jannat Kareeb Hoti Thi
Ek Dooje Ki Aankhon Me Aankhen
Aankhon Aankhon Mein Pyar Ki Baaten
Zulf Se Khelti Machalti Woh
Bahke Andaaz Se Sanbhalti Woh
Aaj Har Oos Haseen Lamhe Ki
Har Kali Phir Se Muskurai Hai
Main Hoon Aur Mere Saath
Sirf Meri Tanhai Hai…
Sirf Meri Tanhai Hai…



No comments:

Post a Comment