Friday, August 10, 2007

Ghalib shayari in hindi

Rote rahe tum bhi rote rahe ham bhi,
kehte rahe tum bhi aur kehte rahe ham bhi.
Na jaane is jamane ko hamare ishq se kya dushmani thi,
bas samjhate reh gaye tum bhi aur samjhate reh gaye ham bhi

Har ek baat peh kehtay ho tum ke ” tu kya hai?”…
Tumhi kaho ke yeh andaaz-e-guftugu kya hai…

Na sholey main yeh karishma na barq main yeh ada…
Koi batao ke woh shokh-e-thund o khu kya hai…

Yeh rashk hai ke woh hota hai hum-sukhan tumse…
Warna khauf-e-bad’aamozi-e-udu kya hai….

Chipak raha hai badan par lahoo say pairahan…
Hamari jaib ko ab haajat-e-rafu kya hai….

Jala hai jism jahan dil bhee jal gaya ho gaa….
Khuredtay ho jo ab rakh, justuju kya hai…

Ragon main daudtay phirnay ke hum nahi qaa’el…
Jab aankh hi say na tapka to phir lahu kya hai…

Woh cheez jis kay liye ho hamain bahisht azeez…
Siwaey baada-e-gulfaam-e-mushkabu kya hai…

Piyoon sharab agar kam bhee to dekh loon do chaar…
Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-subu kya hai…

Rahee na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi…
To kis umeed pe kahiye keh aarzu kya hai….

Bana hai sheh ka masahib, phiray hai itraata…
Warna shehar main ‘Ghalib’ ki aabru kya hai.

Warna shehar main ‘Ghalib’ ki aabru kya hai…

Share with us more Ghalib shayari in hindi .in comments section below.

No comments:

Post a Comment