Sab Karte Hai Faryad Aur Nuksan Ki Baat
Koi To Kare Insaan Aur Imaan Ki Baat..
Insan Se Badhkar To Nahi Koi Rakam..
Fir Bhi Is Baat Ko Kyu Nahi Samajh Rahe Hai Hum..
Jidhar Dekho Udhar Bas Kamyabi Aur Paise Ki Chahat..
Magar Ek Insaan Se Behtar Kya Koi De Sakta Hai Sukoon Aur Rahat..
Ye Kaisa Daur Aa Gya “Sharique..
Jaha Insaano Se Zyada Machino Ko Mil Rahi Tarjeeh..
Wafadaro Ka To Koi Nahi Hua Aur Beawafao Ko Mil Rahe Hai Sabhi..
Insaano Ko Karni Par Rahi Hai Sirf Sabr. .
Aur Is Daur Me Shaitaniyat Khod Rahi Insaaniyat Ki Kabr..
Magar Insaan To Insaan Hai Aur Hai Ashraful Makhluqaat..
Shaitan Ka Kaun Dega Maidan-E-Hashr Me Saath…!!
No comments:
Post a Comment